Poetry / Poetry Sms

Ghazal Noor

Masiha

Wo masiha jab se ban gaye
bemariyoo se hamare yarane ho gaye

· -3 Like · Nov 07, 2022 at 11:11
Category: poetry-sms
 
Poetry / Relegious

Ghazal Noor

Hisab Be Hisab

Khudaya nawaza tu ne mujy be hisab hy
magr mangna mujy b tuj se be hisab hy

dya tu ne mujy meri aouqat se zyada
shukar karoon tera Nafa jis mein be hisab hy

dy dy mujy usky sare gham lay lay meri sari khushiyan
ankhon mein meri ansoo ajj be hisab hain

nichawar kr chaman ki bharein barsa dy khushiyon ki barish

maola shamil meri zindagi mein usy kr dy
chahat mere dil mein jis ki be hisab hy

dikha roshni ki kiran pak sab burayon se kr dy mujy
k ay Rab-e-Zuljilal tera dar mujy be hisab hy

paar mujy pull siraat se krna ya rab
kali kamli k saye ki shidat dil mein be hisab hy

· 1 Like · Nov 06, 2022 at 07:11
Category: relegious
 
Poetry / Poetry Sms

Ghazal Noor

Dunya K Mare

Dekho jaghmaghata chaand aur jo pur noor Sitare hain
ham aasmaa se kia barsen ham to dunya k mare hain

ham agr pareshaa hain to usko dosh na do dunya walo
usne b to kahan barsoon se apny bal sanware hain

· 3 Like · Aug 13, 2021 at 14:08
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Ghazal Noor

Dunya K Mare

Dekho jaghmaghata chaand aur jo pur noor Sitare hain
ham aasmaa se kia barsen ham to dunya k mare hain

ham agr pareshaa hain to usko dosh na do dunya walo
usne b to kahan barsoon se apny bal sanware hain

· 1 Like · Aug 11, 2021 at 03:08
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Ghazal Noor

Dunya K Mare

Dekho jaghmaghata chaand aur jo pur noor Sitare hain
ham aasmaa se kia barsen ham to dunya k mare hain

ham agr pareshaa hain to usko dosh na do dunya walo
usne b to kahan barsoon se apny bal sanware hain

· 1 Like · Aug 05, 2021 at 00:08
Category: poetry-sms
 
Poetry / Love

Haqeeqat Jaan Lo Bichad Jaane Se Pehle

Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehle,
Meri sun lo apni sunaane se pehle,
Ye soch lena bhulane se pehle,
Bahut royi hain ye aankhein muskurane se pehle!

· 3 Like · Jul 30, 2021 at 14:07
Category: love
 
Poetry / Friendship

Jasbaate Ishq Naakaam Naa Hone Denge

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

· 4 Like · Jul 19, 2021 at 09:07
Category: friendship
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Tum Ne

Tum ne kaha tha ik din
chaand pey ghar banaen gy

charkh pey jhulein gy
taroon se kia karein gy baten
hongi chaand nagri mein mulaqaten

tum ne kaha tha ik din

duniya se door jangal main karein gy basera
raz dan hongy be jan pairr poday
sath honghe pholoon si fizaen

tery lams ka bandhan ho ga

tum ne kaha tha ik din
tery lams ka bandhan ho ga

tery bin jiwan ka tasawar na ho ga
shumar bin tery mera jiwan na ho ga

teri ankho mein meri ankhon ka noor ho ga
tery dukh ka ik b lamha qayamat se kam na ho ga

tum ne kaha kise se ajj dobara
suna ham ne b hy ajj dobara

nasaboon ky talooq badal se gaey hein
ham kuch toot se gaey hain ajj dobara

· 6 Like · Jul 17, 2021 at 13:07
Category: 0
 
Poetry / Love

Ghazal Noor

Kahani

Kuch dair hamare sath chalo
ham dil ki kahani keh dain gey

samjhy na jise tum ankho se
wo bat zubani keh dein gey

pholon ki tarha jab hontoon py
ik shokh tabasum bikhry ga

dhere se tumhare kanoo mein
ik bat purani keh dein gey

izhar-e-wafa tum kia jano
ikrar-e-wafa tum kia jano

ham zikar karen gey auroo ka
aur apni kahani keh dein gey

· 6 Like · Jul 08, 2021 at 20:07
Category: love
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Anjany Log

Kuch log anjany hote hain
beghane hote huwe bhi apny hote hain
jin k door hone se katete nhi din raten hamare
paas jab hote hein apne lamhe bhi paraey hote hain
purany makanoo ke entoo ki tarha be rang be boo
tarpate aur satate huwe taluq kia itne pyary hote hain
aftab-e-garoob ki tezi se mit jate hain
jab ham inhain dekhte hain shafaq main kiu nhi hote

· 4 Like · Jul 07, 2021 at 15:07
Category: 0
 
Anas(R.A) farmate hain
Posted by Kashif Yaqoob
Posted on : Aug 29, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS