Poetry / Poetry Sms

Rumana Shahzad

Badan Se Rooh Jati Hai To Bichti Hai Saf E Matam

Badan se rooh jati hai to bichti hai saf-e-matam,
Magar kirdar mar jae to kiyo matam nhi hota?.

· 4 Like · Feb 02, 2018 at 04:02
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Sakeena Hussain

Mohabbat Karnay Walon Ki Ab Talaash

mohabbat karnay walon ki ab talaash chhore di ham ne
log to shayad waqt guzaarnay aur dil jalanay kay liye miltay hain

· 3 Like · Feb 01, 2018 at 09:02
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Sanam Baloch

Na Dekho Youn Samandar Ko Khudara Tiktiki Bandhay

na dekho youn samandar ko khudara tiktiki bandhay
tars khao samandar par, samandar doob jayega

· 5 Like · Jan 30, 2018 at 13:01
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Muzammil Shahzad

Meri Ankhon Pe Merta Tha

Meri ankhon pe merta tha

Meri baton pe hansta tha

Najaney shkas tha kaisa

Muje khoney se darta tha

Muje jab be wo milta tha

Yahe hr bar kehta tha

Suno

Agar mein bhol jaon to

Agar mein rooth jaon tho

Kabi Wapis na aon to

Bhula pao gy ye sab kuch

Yonhi hansty rho gy kia

Yehi batein hen bas us ki

Yehi yadein han bas us ki

Muje Bas pata hai itna

Muje wo pyar kerta tha

Muje khone se darta tha

· 2 Like · Jan 16, 2018 at 12:01
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Zamanay Se Nahi Darta

Zamanay se nahi darta, Zamanay ko bata do tum,
Mohabbat naam hai mera, Zamanay ko bata do tum,

Dikhayi bhi nahi deta, kisi insaan ki aankho ko,
Judayi zakhm hai aisa, Zamanay ko bata do tum,

Najanay kyu Khutakta hu, mai ab un ki nigaho mai,
Mai thukrata hu ye dunya, Zamanay ko bata do tum,

Jala do ga teri bewafaa basti ki galiyo ko,
Mai hu ik aag ka darya, Zamanay ko bata do tum,

Hasnain Abhi to waqt un ka hai, rula ley jee bhar ke,
Hamara waqt bhi aaye ga, Zamanay ko bata do tum...!

· 2 Like · Oct 30, 2017 at 03:10
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Tairay Siva

Nahin Aur Kuch Bhi Tere Siva
Mere Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be Basi
Mera Alam Bhi
Mera Naam Bhi
K Meri Subah
K Mere Sham Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Attaa Kare
Mere Jaan To Yaqeen To Kar
Mujhe Mangna Tu na Aa Saka
Main Ne Phir Bhi Mangi Yehi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jub Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi

Tairay Siva .. Tairay Siva !!

· 2 Like · Oct 29, 2017 at 21:10
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho

Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho

Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho

Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho

Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho

Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho

Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho

Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho

Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho...!

· 2 Like · Oct 29, 2017 at 14:10
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Usay Mera Ya Mujhe Uska Karde

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Usay Mera Ya Mujhe Uska Karde

Bahut Dukh Sahay He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde

Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kam Karde

Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Usay Utna Kareeb Karde

Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde...!

· 2 Like · Oct 29, 2017 at 08:10
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Tasawwurat Ka Haasil Wohi Nishaana E Dil

Tasawwurat ka haasil, wohi nishaana e dil
Usi ke zikr se dilchasp hai fasaana e dil

Mujhe yeh khauf k teri adm tawaja se
UjaR na jaye kahin abke aashiyana e dil

Chali gayi woh kisi jism ki sakoonat mein
Hazaar hum ne sajaya nigaar khaana e dil

Yahan pe kitne haseeN walwale humaktay the
Bhara rehta tha kabhi mera aastana e dil

Bahut aziz hai dast e tahi ka karb mujhe
Isi ke dam se mere paas hai khazana e dil

Zara Thahar K yahi saataiN qayam ki haiN
Phir es ke bad badal jaayega zamaana e dil...!

· 1 Like · Oct 14, 2017 at 03:10
Category: poetry-sms
 
Ultimate Dog Tease
Posted by Funny Videos
Posted on : Dec 27, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS