Poetry / Sad

Zahid Mahmood

Abhi Ik Hijr Baaqi Hai.

Abhi Ik Hijr Baaqi Hai ....
Abhi Ik Hijr Baaqi Hai.
Abhi Toh Bas Aziat Hai.
Aziat Dar Aziat Hai.
Abhi Kuchh Talkhia''n Bhi Hein.
Abhi Takleef Ke Manzar.
Bohot Pursoz Hein Lekin
Abhi Rastay Bhi Baaqi Hein.
Abhi Pa''on Salamat Hein.
Abhi Aankhen Nahin Thehri.
Abhi Manzil Se Mayoosi Nahin.
Umeed Toh Kuch Hai.
Abhi Tareekh Lamho''n Ne.
Seher Ki Baat Toh Ki Hai.
Abhi Zindah Hein Hum Lekin.
Kabhi Jab Hum Nahin Hon Ge.
Toh Ab Samjhe.
Abhi Ik Hiijr Baaqi Hai ...

· 0 Like · Jun 15, 2018 at 17:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Owais Kareem

Bebasi

Bebasi ka ajeeb aalam hai
Mujhko mujh mai wo ab nahi milta

· 1 Like · Jun 15, 2018 at 09:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Pinky Queen

Barish

Pehle barish hoti thi to yaad aatay thay
Ab jab yaad aatay ho to barish hoti hai

· 0 Like · Jun 15, 2018 at 02:06
Category: sad
 
Poetry / General

Uzma Shaheen

Unwan E Guftugo

· 0 Like · Jun 14, 2018 at 20:06
Category: general
 
Poetry / Sad

Wajeeha Ali

Dil Mai Jaga

· 0 Like · Jun 14, 2018 at 14:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mehwish Jatt

Yeh Dastaar Le Jao

· 0 Like · Jun 14, 2018 at 08:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sehar Saeed

Maine Kuch Na Maanga Tha Us Ke Siwa.



· 0 Like · Jun 14, 2018 at 00:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jalaluddin Ahmed

Bas Nazar Ka Aik Dh0ka Hai.

BaS Nazar Ka Aik Dh0ka Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
Tu Nahin Ye Tera Saya Hai, SamJhta Ky0n Nahin,
Baat Meri Maan Le Tu D00b JayeGa Yahan,
Ye Samandar TuJh Se Gehra Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
Kab Talak Aankhen ChurayeGa Tu Apne Aap Se,
Aaine MEin AkS Tera Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
TuJh K0 LaGta Hai Ke Har Gham BaS Teri MiraS Hai,
K0i Tere Gham MEin R0ta Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
Aur Kya De PayeGa TuJh K0 Saraab0n Ke Siwa,
JuStJu MEin Khud Ye Sehra Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
Dill AGar HaSsaS h0 T0 RanJ Bhi H0Ga Zar00r,
Kuchh Na Kuchh T0 Sehna Parta Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
''Shaad'' Karte Hain Yahaan Sab Chadte SuraJ K0 Salaam,
Haan ISi Ka Naam Duniya Hai, SamaJha Ky0n Nahin...!!

· 0 Like · Jun 13, 2018 at 18:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mohammad Iqbal

Hasrat Bhari Nigahon Ko Aaram Tak Nahi.

Hasrat Bhari Nigahon Ko Aaram Tak Nahi,
Palti Wo Zindigani K Phir Shaam Tak Nahi,
Jis Ki Talab Mein Zindagi Apni Guzaar Di,
Us Bewafa K Lab Pe Mera Naam Tak Nahi,
Jo Keh Gaye Thay Sham Ko Bethen Ge Aaj Phir,
Kuch Saal Ho Gaye Koi Paighaam Tak Nahi,
Hoon Dafan Tere Hijr Ki Ek Aisi Qabar Mein,
Kutbay Pe Jis K Aaj Koi Naam Tak Nahi,
Be-Ikhtiyaar Uth''tay Hain Mere Qadam Udhar,
Halaan K Us Gali Mein Mujhe Kaam Tak Nahi.

· 0 Like · Jun 13, 2018 at 12:06
Category: sad
 
Ranbir''s Tribute to Gabbar - ASKME
Posted by Video Ads
Posted on : May 05, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS