Poetry / Sad

Andaleeb Siddiqui

Aankhen Bhi Wohi Hain

ankhen bhi wohi hain to darecha bhi wohi hai
aur soch ke aangan mein utartaa bhi wohi hai

woh jis ne diye mujh ko mohabbat ke khazanay
baadal ki terhan aankh se barsa bhi wohi hai

· 0 Like · Apr 11, 2018 at 23:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Akram Rahi

Aao Farig Ho To Tum Ko Bhi Ley Chalun Adaalt E Ishq Mein.

....Aao fariG ho To tuM ko bhi leY chaluN
Adaalt-E-Ishq Mein.....

....Suna hai aJ mohabbat ko saza_E_moat honi hai....

· 1 Like · Apr 11, 2018 at 16:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Farhan Bilal

Jab Har Koi Thukra De Ga.

Jab har koi thukra de ga
Lagta hai tu mujhy apna le ga,

Tu is be-naam se phool ko
Apney aangan mein jaga de ga,

Mein to jaan boojh kar bhi sookh jaunga
Ky tu mujhey apney hath se paani pila de ga. . !

· 0 Like · Apr 11, 2018 at 10:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jalaluddin Ahmed

Meri Awargi Logo

· 0 Like · Apr 11, 2018 at 04:04
Category: sad
 
Poetry / General

Anam Lateef

Safar Khizaan Ka, Bahaar Manzil

Safar khizaan ka, bahaar manzil,
Hai fasilon ki shikaat manzil,
Mujhe ussi ne yeh khauf bakhsha,
Ke jis ne di thi udhaar manzil,
Ilaahi kuch tu hi silaa de,
Nazar ki hadh se guzaar manzil,
Tu jeet jaye ga, jeet mujh ko,
Tere galey ka hai haar manzil,
Tujhe talab thi ke mein bhi ro’un,
Aa dekh zaar-o-qitaar manzil,
Hird ka ultaa moaamla tha,
Gulaab rahain, to khaar manzil,
Jalaa ke nikla jo apne ghar ko,
Dhuaan si rahain, ghubaar manzil,
Ke meri sansain ukharr rahi hain,
Abhi to mujh ko pukaar manzil,
Khabar mili hai woh laut aya,
Ab us ke sar par se waar manzil,
Main aasmanon ko khaujta hoon,
Sunaa tha unke hai paar manzil,
Azal-abad ki talaash mein hai,
Ujaal rahain, sanwaar manzil,
khud hi kuch susst tha warna,
Talab mein thi be’qaraar manzil

#poetry

· 0 Like · Apr 10, 2018 at 22:04
Category: general
 
Poetry / Poetry Sms

Usaman Khan

Jis Ahad Me Lut Jaye Faqeeron Ki Kamai

Jis ahad me lut jaye faqeeron ki kamai
uss ahad ke sultan se koi bhool hui hai

· 2 Like · Apr 10, 2018 at 15:04
Category: poetry-sms
 
Poetry / General

Madiha Shahid

Patharon Ki Tabiaton Me Khod Ko Parakhane Wale

Patharon ki tabiaton me khod ko parakhane wale
Patharon k shehar me dil laga k kia karna
Nikal ae baton baton me agar mera tazkara
Khataen chopa kar meri sifat beyan karna
Tujhe chahne walon ki jo fehrisit likhane betho
To halka sa naam hamara bhi shumaar karna
Jane se pehle bus yahi bat yad rakhana
Jab bhi dil lagao to mohabbat lazawal karna
Tham lo kisi aur ka hath bhi lakin
Zindagani apni bus hamare hi naam karna
chahe cheen lain log tum se tumhara piar
Bus Khoda ki zaat par hi bharosa karna

#poetry

· 0 Like · Apr 10, 2018 at 09:04
Category: general
 
Poetry / General

Maleeha Bukhari

Yeh Kaafi Hai Ke Hum Dushman Nahin Hain

Yeh kaafi hai ke hum dushman nahin hain,
Wafaadari ka daava kyon karain hum..

#poetry

· 0 Like · Apr 10, 2018 at 02:04
Category: general
 
Poetry / General

Mahu Arish

Kitnay Nadaan Hain Tujhe Bhoolnay Walay Tujhe

· 0 Like · Apr 09, 2018 at 20:04
Category: general
 
in case of fire take stairs
Posted by iJunoon
Posted on : Jun 04, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS