Poetry / Love

Tum Bin

tere jesa mera bhi haal tha na sukoon tha na qarar tha
ye ho umr thee mere humnashen ke kisi ko mujh se bhi pyar tha

mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
isi gam ka to bhi aseer hai isi gam ka mein bhi shikar tha

faqat ek dhun thee ke raat din isi khawab zaar mein gum rahen
wo surror aisa surror tha wo khumar aisa khumar tha

kabhi lamha bhar ki guftugo meri os ke sath na ho saki
mujhe fursaten na mil saken wo hawa ke rath pe sawar tha

hum ajeeb tarz ke log thay hamare aur hi rog thay
mein khizan mein tha os ka muntazir ose intezar bahar tha

ose parh ke tum na samajh sake ke meri kitab ke roop mein
koi qarz tha kaii roz ka kaii ratjagon ka odhaar tha

Advertisement
· 1 Like · Nov 03, 2018 at 04:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Taj Mahal
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 21, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS