Poetry / Love

Ghazal Noor

suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
muhabat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai

suna hai wahan diloon ka milan hota hai
rohoon ka visal aur hijar ka inkar hota hai

wahan zulf bikhray tu raat ka aalam
jo simtay tu savera hota hai

suna hai ashk jab koi bahaye tu
wahan sawan ka mousam hota hai

taara jab bhi tootay kaheen asmaan may
nazuk hatoon may kashkool-e-dua hota hai

suna hai wahan kalaam karti hain Mohabbatein
nafratoon ka qatal-e-aam hota hai

suna hai wo bhi makeen hai teri basti ka
jo sadiyun se rooh-e-jaan hamari hota hai

usko salam-e-muhabat kehna
jiski ankh may ashk meray naam ka hota hai

wo bhi shayed mehsoos karta ho
dard jo firaaq may yahan hota hai

uski muskaan ka bhi aalm kuch biyaan ho
kia ab bhi usay dekh kar chandni ka guman hota hai

suna hai ab bhi wo nazar jhuka kar milta hai
kaheen ankh may uski piyar ka rang hota hai

chalo us basti ki janib chaltey hain Qais
jahan rang-e-qos qazah, aur raqs ishq may hota hai

Advertisement
· 1 Like · Dec 24, 2016 at 07:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

World's Most Amazing Juggling
Posted by Interesting Videos
Posted on : Nov 01, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS