Poetry / Love

Pyaar ke deep jalane wale kuch kuch pagal hotay hain
Apni jaan say jaane walay kuch kuch pagal hotay hain

Hijar ke gehray zakham milay tou mujhko yeh ehsass hua
pagal ko samjhanay walay kuch kuch pagal hotay hain

Jaan say pyaare logon say kuch kuch parda laZim hai
Saari baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain

khuwabon main bhi piya milan kay sapnay dekhte rehte hain
neendon main muskuranay walay kuch kuch pagal hotay hain

es jhooti nagri main hum nay yehi hamesha dekha hai
sachi baat bataane walay kuch kuch pagal hotay hain

Pyaar jinhe hojaye unko chain bhala kab mill paata hai?
shab bhar ashk bahane walay kuch kuch pagal hotay hain

Apni Zaat ke ujray gulshan se woh pyaar kahan karte hain?
Auroon ko mehkaane walay kuch kuch pagal hotay hain

Issi ke ishq main bheeg ke sanam hum ko yeh ehsaas hua
Dil ki baat main Anay Walay kuch kuch pagal hotay...!

Advertisement
· 2 Like · Nov 22, 2017 at 16:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS