Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Karne Walay Dil
Bas Unka Aik Hi Mahwar
Bas Unka Aik Hi Markaz
Bas Unki Aik Hi Manzil
Bas Unki Justaju Ka Aur Tarap Ka
Aik Hi Haasil
Unhain Bas Aik Hi Dhun Hai
KHUDA Mehboob Ko Unke
Hamesha Shaadman Rakhay
Na Uska Dil Kabhi Tootay
Na Koi Saneha Guzray
Koi Ghum Choo Nahi Paaye
Udaasi Pass Na Aaye
Mohabbat Karnay Walay Dil
Buhat Hassaas Hotay Hain
Mohabbat Karnay Walay Dil
Kabhi Sauda Nahi Kartay
Na Koi Shart Rakhte Hain
Na Unke Moawzey Ki Hiras Hoti Hai
Kisi Rad-E-Amal Se Ya Badal Se
Unko Kya Matlab
Ana Se Unka Kya Rishta
Jafa Se Kya Ilaqa
Unhe To Aik Hi Dhun Hai
KHUDA Mehboob Ko Unke
Hamesha Shaadmaa Rakhey
Bas Unka Aik Hi Mahwar
Bas Unka Aik Hi Markaz
Bas Unki Aik Hi Manzil
Bas Unki Justaju Ka Aur Tarap Ka
Aik Hi Haasil
Unhain Bas Aik Hi Dhun Hai
KHUDA Mehboob Ko Unke
Hamesha Shaadman Rakhay
Na Uska Dil Kabhi Tootay
Na Koi Saneha Guzray
Koi Ghum Choo Nahi Paaye
Udaasi Pass Na Aaye
Mohabbat Karnay Walay Dil
Buhat Hassaas Hotay Hain
Mohabbat Karnay Walay Dil
Kabhi Sauda Nahi Kartay
Na Koi Shart Rakhte Hain
Na Unke Moawzey Ki Hiras Hoti Hai
Kisi Rad-E-Amal Se Ya Badal Se
Unko Kya Matlab
Ana Se Unka Kya Rishta
Jafa Se Kya Ilaqa
Unhe To Aik Hi Dhun Hai
KHUDA Mehboob Ko Unke
Hamesha Shaadmaa Rakhey
Advertisement
·
1 Like ·
Dec 20, 2015 at 00:12
Category: love
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video