Poetry / Love

Muzammil Shahzad

har aik baat na kiyon zeher si hamari lagey
keh hum ko dastay zamana kay zakhm kaari lagey

udaasiyaan hon musalsal، tou dil nahi rota
kabhi kabhi ho tou yeh kefiyat bhi pyari lagey

bazahir aik he shab hai, firaq-e-yaar magar
koi guzarne baithy tou umr saari lagey

ilaj, iss dlِ dard aashna ka kya kijiye?
keh teer ban kay jise harf-e-ghum-gasari lagey

hamare paas bhi betho، bas itna chahtay hain
hamaray saath tabiyat agar tumhari lagey

faraz tairay Junoon ka khayaal hai warna
yeh kya zaroori woh surat sabhi ko pyari lagey

Advertisement
· 1 Like · Oct 10, 2016 at 23:10
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Cute love birds
Posted by jiya daniyal
Posted on : Jan 07, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS