Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

khwahish hay k iss toor se jeewan ko guzaroon
har aks tere husn ka ankhun main utaroon

woh tishna labi hay k samjh kuch nahi ata
dariya ko sada doon k samander ko pukaroon

jeewan bhi tu uljhi hoi dooron ki terha hay
iss soch main gum hon k isey kaise guzaroon?

ab iss k siwa mera koi khwaab nahi hay
her saans ko khushnoodi-e-janaa pe main waaroon

bahter hay k ab moot ko seene se laga loon
iss mann ko tere hijr main ab kitna main maaron

pehle tu faqat hasrat e deedar thi Wasiq
ab yeh bhi talab hay k USEY jeet k haarun

Advertisement
· 1 Like · Oct 10, 2016 at 07:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS