Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Faqiraana aaye sadaa kar chale
miyaan khush raho ham duaa kar chale
jo tujh bin na jiine ko kahte the ham
so is ahd ko ab wafaa kar chale
koii naa-ummiidaana karte nigaah
so tum ham se muunh bhii chhipaa kar chale
bahot aarzuu thii galii kii terii
so yaan se lahu mein nahaa kar chale
dikhaaii diye yuun ki bekhud kiyaa
hamein aap se bhii judaa kar chale
jabiin sajdaa karte hii karte gaii
haq-e-bandagii ham adaa kar chale
parastish kii yaan taiin ki ayei but tujhe
nazar mein sabon kii khudaa kar chale
gaii umr dar band-e-fikr-e-ghazal
so is fan ko aisas badaa kar chale
kahein kyaa jo puuchhe koii ham se "Meer"
jahaan mein tum aaye the, kyaa kar chale

Advertisement
· 5 Like · Dec 15, 2018 at 05:12
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Balon ki Hifazat
Posted by mahrukh nida
Posted on : Sep 11, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS