Poetry / Love

chaman mein jab bhi saba ko gulaab pochte hain
Tumhari ankh ka ehwaal,khwab pochte hain

Kahan kahan hoye roshan humare baad charagh
Sitaray deeda e tar se hisaab pochte hain

Woh tishna lab bhi ajub hain ju moj e sehra se
suraag e habs mizaaj e saraab pochte hain

Kahan basi hain woh yaadain,ujaarna hay jinhain?
Dilon ki baanjh zameen se azaab pochte hain

Baras pare teri ankhain tou yeh bhaid khula
Sawal khud se bhi apna jawab pochte hain

Hawa ki humsafari se ab aur kya hasil
Bus apne shaher ko khaana kharab pochte hain

Ju be nayaz hain khud apne husn se Mohsin
Kahan woh mujh se mera intikhab pochte hain...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 13, 2017 at 01:09
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Wazu ki Fazilat
Posted by sadaf faiz
Posted on : Nov 10, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS