Poetry / Love

Ussay Apny Farda Ki Fikr Thi

Ussay apny farda ki fikr thi
wo jo mera wakif-e-haal tha
wo jo us ki subh e urooj thi
wohi mera waqt-e-zawal tha

Mera haal kaisay janta
meri bat kaisay manta
wo tu khud fana k safer pe tha
usay rokna bhi mahaal tha

Wo louta tu sadyon k baad bhi
mere lb pe koi gila na tha
ussay meri chup ny rula diya
jisay guftagu main kamal tha

· 1 Like · Jul 01, 2015 at 06:07
Category: love
 
Poetry / Love

Barish Me Hum Thy Aur Ghani Ho Rahi Thi Sham,

Barish me hum thy aur ghani ho rahi thi sham

Tm ne liya tha kanptay hountoon se mera nam

Main ne kaha tha aoo yunhi bheegty chalain

In rastoon main dair tak ghoomtay rahin

Meri kamar main yah hath phoolon sa daal kr

kandhe pe mery yunhi rakhy raho apna sar

Hathoun ko main kabhi! Kabhi baloun ko chum loun

Daikho meri traf tu ankhoon ko chum loun

Pani k yah jo phol hain ruksaar pe khilay hoy

In main Dhanak k rang hain sary ghulay hoy

Hontoon se in ko chuntay rahen khush dilly k sath

Yunhi kisi darakht k neechay kharay rahen

Barish k dair baad Bhi liptay kharay rahen

Nasha sa charooun oorh phelta geya

Pher us k baad main ne tumain kuch nahi kaha!

· 1 Like · Jul 01, 2015 at 00:07
Category: love
 
Poetry / Love

Kabhi Tum Milny Aoo Na

KABHI TUM MILNY AOO NA

Tumain mahsos karna hai

Tumari zaat main kho kar

Tumhara hisa banena hai

Teri viran ankhoon main

Tumari bikhri batoon main

Wafa k rang bharnay hain

Tumhare phool chahry pay udasi ka jo manzer hai

Yahn apni chahat se hasi NAQSH karni hai

Kabhi tum milny aoo na…

· 2 Like · Jun 30, 2015 at 18:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Wo Aik Larki

Udass Logon Ki Bastiyon Main,
Wo Titlion Ko Talash Karti,

Wo Aik Larki,

Wo Sanwla rang Wo Kali Aankhein,
Jo Karti Rehti Hazaar Baatain,
Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi,

Wo Aik larki,

Wo Mohabbaton K Nisaab Jane,
Wo Janti Hey Ehad Nibhane,
Wo Achi Dost Wo Achi Saathi,

Wo Aik Larki,

Wo Jhootay Logon Ko Sacha Samjhe,
Wo Saari Duniya Ko Acha Samjhe,
Wo Kitni Saada Wo Kitni Pagli,

Wo Aik Larki

Wo Aik Larki,,

· 1 Like · Jun 27, 2015 at 05:06
Category: love
 
Poetry / Love

Masoom Si Muhabbat Ka Bas Itna Sa Fasana Hai

masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai
kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai..

kya shart-e-muhabbat hai kya shart-e-zamana hai
awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

us paar utarne ki umeed bahot kam hai
kashti bhi puraani hai tufaan bhi aana hai..

samajhe wo ya na samajhe is andaaz-e-muhabbat ko
ek shakhs ko aankhon se ek shair sunana hai..

bholi si aada koi phir ishq ki zid par hai
phir aag ka dariya hai phir doob ke jana hai..

· 2 Like · Jun 21, 2015 at 14:06
Category: love
 
Poetry / Love

Sharam Aayi Humen Is Shiddat Se,

Sharam aayi humen is shiddat se
Ke hum nazre jhuka baithe.
Jab wo hame dekhne k khatir
Hamara chilman utha baithe.

Jhuki nazren larazte lab
Dhadakta dil aur mohabbat.
Wo hum ko dekh kar hi
Apna dil ghuma baithe.

Haseen si thi suhani sham
Aur dilaon me muhabbat.
Hum ek doosre se kar
Wadaa-e-wafa baithe.

Bhool k apni sharam-o-haya
Hum kareeb aa baithe.
Us haseen raat ko hum
Yaadgaar bana baithe.

· 2 Like · Jun 20, 2015 at 19:06
Category: love
 
Poetry / Love

Kuch Door Hamare Saath Chalo

Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge

Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khud ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge

Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge

Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Aashik mager
Har baat poorani kehdein ge...

· 1 Like · Jun 18, 2015 at 17:06
Category: love
 
Poetry / Love

Rumana Shahzad

Aap Se Kabhi Mil Na Paaye Hum

Aap se kabhi mil na paaye hum
phir bichadne ka dar kaisa
meri har dhadkan me aap ho shamil
phir aapki judaai ka gham kaisa

deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
unki talaash hai ab har taraf
umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
ab maut se bhi hume ghabraana kaisa

aapki yaad yun zindagi ko mehka de
bahaar bankar fiza me rang bhar de
sanwaara hai mujhe aapne is kadar
k patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa

sitaron ki mehfil saji thi har taraf
phir bhi roshni ko taras gaye the hum
mahtaab jo ban gaye aap zindagi ke
ab andheron ka humse naata kaisa

Khuda se jo maangi humne duayen
kabool kiya unhone hamaari mohabbat ko
zamana hume ab baddua de bhi toh kya
hume ab zamaane se shikayat kaisi

· 1 Like · Jun 18, 2015 at 11:06
Category: love
 
Poetry / Love

Obaid Kayani

Main Apni Khuahishon

main apni khuahishon main bas tumhain hi yaad karta hoon

sadaien jab bhi daita hoon tumhain faryaad karta hoon

tere aik baar kehne pe main duniya chod jaoon ga

tere aik harf pe main zindagi barbad karta hoon

bas aik koney main baithe mera har din guzarta hai

main teri yaadon se is ghar ko bhi aabad karta hoon

ghalat bayani hai teri hamare dil se niklo ge

nikal sakte ho to jao tumhain aazad karta hoon

· 1 Like · Jun 15, 2015 at 03:06
Category: love
 
'Kismat Se' ft. Shreya Ghoshal
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Dec 09, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS