Poetry / Humorous

hawa k khauf se zakhmi kabhi ana na karo
bujhay charag to bujhnay do ilteja na karo

kuch ehtram baroon ka bhi lazmi hai magar
ghuman guzray khushamad ka youn jhuka na karo

ye uska kaam hai wo zakhm de k phool tumhain
jo dost maan lya hai to phir gila na karo

tum aadmi bhi ho insan bhi suboot to do
bhalai ho nahi sakti to phir bura na karo

mila hai sabr virasat mai uski laaj rakho
ho dushmani bhi kisi se to baddua na karo

hawas jahaiz ki, insaniat ki qatil hai
kisi gharib ki beti ko be rida na karo...!

Advertisement
· 2 Like · Aug 20, 2017 at 22:08
Category: humorous
 

Latest Posts in poetry

Violence Is Violence!
Posted by Video Ads
Posted on : Aug 28, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS