Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

sar dard mein goli yeh bari zood asar hai
par thora sa nuqsaan bhi ho sakta hai iss say
ho sakti paida koi tabkheer ki soorat
dil tang o pareshan bhi ho sakta hai iss say

hosakti hai kuch saqal samaat ki shikayat
bay kaar koi kaan bhi ho sakta hai iss say
mumkin hai kharabi koi hojaye jigar mein
haan aap ko yarqaan bhi ho sakta hai iss say

par sakti hai kuch jald kharashi ki zaroorat
kharish ka kuch imkaan bhi ho sakta iss say
hosakti hain yaden bhi zara iss say mutasir
mamooli sa nasiyan bhi ho sakta hai iss say

binaie kay haq mein bhi yeh goli nahi achi
deeda koi heran bhi ho sakta hai iss say
ho sakta hai la-haq koi paicheeda marz bhi
ghurda koi weraan bhi ho sakta hai iss say

mumkin hai keh hojaye nasha iss say zara sa
phir aap ka chalaan bhi ho sakta hai iss say

Advertisement
· 1 Like · Nov 11, 2015 at 03:11
Category: humorous
 

Latest Posts in poetry

Free Tip
Posted by wafa chaudhry
Posted on : Dec 18, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS