Poetry / Sad

Mian Chandio

Raat Darwazy Pr Kitni Dastakon K Zakham Thy

Raat darwazy pr kitni dastakon k zakham thy...
Phir wohi pagal hawa thi phir mujhy dhoka hua...

· 0 Like · Jul 05, 2018 at 19:07
Category: sad
 
Poetry / General

Muhammad Aftab

Zindagi Tujhe Buhat Ghor Kia

Zindagi tujh pe Buhat Ghor kia maine
To Rangeen khayalon k siwa kuch bhi nahi

· 0 Like · Jul 05, 2018 at 13:07
Category: general
 
Poetry / Sad

Shagufta Yasmeen

Door Tak Duniya Nazar Aanay Lagi

Door tak Duniya nazar aanay lagi,
Aisi Deewar giri hai Mujh mein...!

· 0 Like · Jul 05, 2018 at 06:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jiya Daniyal

Wohi Ranjishein, Wohi Hasratein

Wohi Ranjishein, Wohi Hasratein Na He Dard-e-Dil Mein Kami Hue,,,

Ajab Si Hai Meri Zindagi Na Guzar Saki Na Khatam Hue..!!

· 1 Like · Jul 05, 2018 at 00:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Imran Khan

Khuda Ka Shukr Hai Ki Aansu Berang Hote Hai.

Khuda ka shukr hai ki aansu berang hote hai..!

Warna..

Raaton ko bheeg jane wale takiye kya raaz bayan kar dete...!!!

· 2 Like · Jul 04, 2018 at 18:07
Category: sad
 
Poetry / Love

Shahida Malik

Tum Ko To Maloom Hai Sab Kuch

tUm Ko tO MalOom hAi Sab Kuch tUm tO Meray hUmSaaye hO
Bail tO Kab Kii SOokh Chukii Ab Kaliyaan dhOondnay Aaye hO
mOm Kay PutlOn Nay Ab Kay Yeh hUmSafrii Kii Shart Rakhii
dhOop Ka Sehra Bhi Kat Jaye Safar Bhi Saaye Saaye hO
Kis Ki Aamad gUlshan gUlshan KhUwbOo Ban Kay Phailii hAi
Aey PhOolo! tUm Tehnii Tehnii Kis Ka Sandaisa Laaye hO
Taro ! tUmhien tO Teh Karnii Thii Meray Saath mUsaafat e Gham
HijR Kii Pehlii Shab hAi Abhi Say dhUndlaaye dhUndlaaye hO
Har DhArkAn Mein tUmhien Utaara Har Sapney Mein tUmhien Pukara
SadiyOn Tak Chaha hAi tUm Ko Lekin Phir Bhi Paraaye hO
Main Nay PalkOn Say Chunay hAin Is DhARtii Kay Mah o NajOom
Meray Baaray Mein Ab jO Bhi Us Kii Raaye hO.

· 0 Like · Jul 04, 2018 at 09:07
Category: love
 
Poetry / Love

Faisal Razzaq

Khuda Hi Janta Hai

· -1 Like · Jul 04, 2018 at 02:07
Category: love
 
Poetry / Sad

Imran Rashid Malik

Sakoon

· 0 Like · Jul 03, 2018 at 19:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mohammad Yaseen

Pahale Pahal To Khwabon Ka Dam Bharne Lagti.

pahale pahal to khwabon ka dam bharne lagti hai
phir aankhen palkon mein chup kar rone lagti hai
jane tab kyon suraj ke khvahish karte hain log
jab barish mein sab divaren girane lagti hai
tasviron ka rog bhi aakhir kaisa hota hai
tanhai mein baat karo to bolane lagti hai
sahil se takarane vali vahashi maujen bhi
zinda rahane ke khvahish mein marane lagti hai
tum kya jano lafzon ke aazar ke shiddat ko
yaden tak sochon ke aag mein jalne lagti hai.

· 1 Like · Jul 03, 2018 at 13:07
Category: sad
 
My Name Is Ranveer Ching
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Jan 06, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS