Poetry / General

Muzammil Shahzad

woh huay meharban dushman par
phatt parrey aasman dushman par
jaan iss bay wafa ko hum nay di
jis ki jati hai jaan dushman par
apni pehchan ko qiyamat mein
kijiyej kuch nishaan dushman par
bohat achi hai aap ki talwar
kijiyej imtihaan dushman par
log kehtay hain kya ؟ suno tou sahi
jhuk para ik jahan dushman par
kis ki mehfil mein yeh hui izzat
kya barasti hai shaan dushman par
tum nay bhi kuch suna ؟ keh hai charcha
ghash hai ik nojawan dushman par
ab barasne lagey woh hum par bhi
khil gayi hai zabaan dushman par ؟
daagh tum dil ko dost samjhay ho
dosti ka gumaan dushman par ؟

Advertisement
· 1 Like · Mar 28, 2016 at 20:03
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS