Poetry / General

Ijunoon

Kisi kitab main tha aur na dastaan main tha
Ajeeb sooz mere zakhmon ki zubaan main tha
Zameen ne hi mujhye good le liya warna
Sitara saaz ne rakha toh aasman main tha
Main sabaz bakht k soya huwa tha manzel par
Utha toh dhasht e musafat k darmiyan main tha
Sawal karne se pahle hi inkashaf huwa
Mera sakhi toh kisi aur imtahan main tha
"Ziya" pakarta kis ko, sadaeen kia deta
Main chat par pohncha toh darya mere makan main tha

Advertisement
· 1 Like · Jan 25, 2018 at 14:01
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS