Poetry / General

Ijunoon

Taubah ki bhi tofeeq muqder se hai milti
Yeh aakhri bakshesh bhi tere dar se hai milti
Na milta agar yeh taubah ka sahara
Ham kahan jatey
Thikana hi na tha koi hamara
Ham kahan jate
Dar e haq par jhuka k sar
Tuh ikraar e gunah kar ley
Na hota agar yeh rahimat ka ishara
Ham kahan jate
Taubah taubah meri taubah YARAB
Yun daman e rahimat main Chupa leti hai taubah
Dozakh k azaboon se bacha leti hai taubah
Meri taubah taubah meri taubah taubah
So so gunah kiye teri rahimat k zoor par
Meri taubah taubah meri taubah taubah
Meri taubah YARAB
Har chand k main kabil e tahzeer o saza houn
Aashi houn galat kaar houn sar tapa khata houn
MOLA teri makhlooq main
Main sab se bura houn
Lekin mere MAHBOOD
Main banda toh tera houn
Meri taubah taubah meri taubah taubah
Meri taubah YARAB
Nabuwat se shah hadat tak mili un k gharane ko
Na hota kamli wala agar hamara
Ham kahan jate
Na milta agar yeh taubah ka sahara
Ham kahan jate
Taubah taubah meri taubah taubah
Meri taubah YARAB

Advertisement
· 1 Like · Feb 12, 2018 at 10:02
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Jab tum se juda hun to
Posted by dawood ali
Posted on : Sep 20, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS