Poetry / General

Simran Chaudhry

Bhingi palkon ka ishara, yaad aaj bhi hai
Wo khuli khidki si parde ka hatna, yaad aaj bhi hai

Wo bheega badan, Wo zulf ghataaon si
Un julfon ka hona juda chehre se, yaad aaj bhi hai

Dar kar zamane se chhupa lena khud ko yaad aaj bhi hai
Kaamptay haatho se karna salam unka, yaad aaj bhi hai

Wo tadap aankhon ki, aur waqt ki bechainiyan
Kaampte hoton ki o bebasi, yaad aaj bhi hai

Soni raahon me pukarna,Wo saaj yaad aaj bhi hai
Sharma kar hatheliyon se chehra chhupana, yaad aaj bhi hai

Nazren utha k dekhna, phir palkon ko jhuka lena
Un lamhon ki wo kashish, yaad aaj bhi hai

Taaron ki chhaun me ik Saaya, yaad aaj bhi hai
Garm saanson ki wo sar-sarahat , yaad aaj bhi hai

Ye ROOh ki bechainiyan, ye sitam yaadon ka
Zekhm purana hai magar, kyon hara aaj bhi hai


Advertisement
· 2 Like · Sep 06, 2015 at 07:09
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Kabhi poori nahin hoti.
Posted by jiya daniyal
Posted on : Oct 12, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS