Poetry / Love

Rafeeq

Pyar Bhi Tum Say Hai...

TUM say Hai...
KHUSHI Bhi TUM say Hai...
Gam Bhi TUM say Hai...
Takraar Bhi TUM say Hai...
Pyar Bhi TUM say Hai...
Roothna Bhi TUM say Hai...
Manana Bhi TUM say Hai...
Baat Bhi TUM say Hai...
Misaal Bhi TUM say Hai...
Nasha Bhi TUM say Hai...
Shaam Bhi TUM say Hai...
Zindagi Ki Shuruvaat Bhi TUM say Hai...
Zindagi Main Mulakaat Bhi TUM say Hai...
Mohabbat Bhi TUM say Hai...
Inaayat Bhi TUM say Hai...
Kaam Bhi TUM say Hai...
Naam Bhi TUM say Hai...
Khyal Bhi TUM say Hai...
Armaan Bhi TUM say Hai...
Khvab Bhi TUM say Hai...
Maahol Bhi TUM say Hai...
Yaadein Bhi TUM say Hain...
Mulakaatein Bhi TUM say Hain...
Sapne Bhi TUM say Hain...
Apne Bhi TUM say Hai...
Mere Dil Ne Kaha Hai Janu
Apni Toh Duniya Hi TUM say Hai...

· 2 Like · Nov 22, 2018 at 07:11
Category: love
 
Poetry / Love

Rafeeq

Yun Dost Saarey Apney Apney Rastey Badal Gaey

YuN dost saarey apney apney rastey badal gaey
kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey

Haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui
jitney wafaa ke peikar thay saarey pighal gaey

waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey
iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey

wafaaoN ke rang shabnam ke qatroN ney dho deeye
mohabbat ke phool jazboN ki 'shiddat' sey jal gaey

taanoN ke teer dunya ki kamaanoN pe jab charrhey
sabar ke daaman haathon sey yak'dam phisal gaey

aaNkheiN khuleiN to khwaboN ko bura laga magar
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey

pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yuN huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey

· 1 Like · Nov 21, 2018 at 23:11
Category: love
 
Poetry / Love

Rafeeq

Bichhra Hai Jo Ik Bar To Milty Nahi Dekha

Bichhra hai jo ik bar to milty nahi dekha
Is zakham ko hum ny kabhi silty nahi dekha

Ik bar jisy chaat gayi dhoop ki khwahish
phir shakh peh us phool ko khiltay nahi dekha

Yak lakht gira hai to jaren tak nikal ayin
Jis paer ko aandhi mein bhi hiltay nahi dekha

Kanton me ghiry phool ko choome gaye lakin
Titlee k paron ko kabhi chiltay nahi dekha

Kis tarha meri rouh huri kar gya akhir
Woh zeher jisay jism me khiltay nahi dekha

· 1 Like · Nov 21, 2018 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Poetry Sms

Rafeeq

Udasiyoon Ka Koi Sabab Ho To Batlaein

Udasiyoon ka koi sabab ho to batlaein
K hm aksar bay sabab udaas rahtay hain

· 3 Like · Nov 21, 2018 at 10:11
Category: poetry-sms
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Kabhii Mujh Ko Saath Lekar

kabhii mujh ko saath lekar, kabhii mere saath chal kar
vo badal gaye achaanak merii zindagii badal kar

huye jis pe meharabaaN tum koi Khushnasiib hogaa
merii hasaratein to nikaliin mere aaNsuuon mein Dhal ke

terii zulf-o-ruKh ke qurbaaN dil-e-zaar dhondta hai
vahii champai ujaale vahii suramai dhundalkey

koi phuul ban gayaa hai koi chaaNd koi taaraa
jo chiraaG bujh gaye hain terii anjuman mein jal ke

mere dosto Khudaaraa mere saath tum bhii DhuuNDo
vo yahiin kahiin chhupe hain mere Gam kaa ruKh badal ke

terii bejhijhak haNsii se na kisii kaa dil ho mailaa
ye nagar hai aainon kaa yahaaN saaNs le sambhal ke

· 1 Like · Nov 21, 2018 at 03:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Apanii Aag Ko Zindaa Rakhanaa Kitanaa Mushkil Hai

apanii aag ko zindaa rakhanaa kitanaa mushkil hai
patthar beech aainaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

kitanaa aasaaN hai tasviir banaanaa auron kii
Khud ko pas-e-aainaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

tumane mandir dekhe honge ye meraa aaNgan hai
ek diyaa bhii jaltaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

chullu mein ho dard kaa dariyaa dhyaan mein usake hont
yuuN bhii Khud ko pyaasaa rakhanaa kitanaa mushkil hai

· 2 Like · Nov 20, 2018 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Guftagoo Ke Lamhon Mein

guftagoo ke lamhon mein
deikh hi nahi paatey
ham tumhare chehre ko
tum hamari ankhon ko
aaj aisa karte hain
chashm-o-lub ko parhte hain
baat chor dete hain...

jane kia lamha ho ga
jab yeh haath haathon se
gar kabhi juda ho ga
aaj aisa karte hain
zabt-e-jaan parkhte hain
haath chor dete hain...

kash koi samjha dey
log kis tarha dil ki
manzilein alag kar ke
saath chor dete hain
aaj aisa karte hain
be-sabab bikharte hain
zaat tor dete hain...

· 1 Like · Nov 20, 2018 at 13:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Jab Rishte Tootne Lagte Hain Teri Yaad Buhat Tarpati Hai

Jab rishte tootne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai
Tanha jab rootey lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Dukh ke sooraj ki dhoop taley tanha jab khudko paata hoon
Sab khuwab bikharne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Maazi ke ujhre gulshan ke auraaq palatne lagta hoon
Jab zakham sulagne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Mere sheher mein aksar ati hai chahat ki nasheeli thandi hawa
Jab log behekne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Sansaar ke hanthon jab bhi kabhi do pyar se hanste baste dil
Roo Roo kar bicharhne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

Jab saste damon bikne lage ehsaas ke moti gali gali
Jazbaat sisakne lagte hain teri yaad buhat tarpati hai

· 3 Like · Nov 20, 2018 at 06:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Main Tera Ajj Hoon Kal Par Nah Dekh Taal Mujhe

Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe
main tera roop hoon joban main hi sanbhaal mujhe

mere hi dum se hain teri yeh dharkanain zinda
main tera qalab hoon siney se mat nikaal mujhe

main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe

milain mujh main mohabat ke goher tujh ko
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe

tu dharkanoon ko choranay ke fun se waaqif hai
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe

usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe

main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 23:11
Category: love
 
Now i Get it..
Posted by Moiz Malik
Posted on : Oct 06, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS