Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad

Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho
…. Toh itihaas banaati hai !

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki ae dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !

Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston peh haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hain toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

Jazbaat ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai k raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hain !


Dost ek saahil hai tufaano ke liye,
Dost ek aaina hai armaano ke liye,
Dost ek mehfil hai anjaano ke liye,
Dosti ek khawaahish hai aap jaise dost ko paane ke liye !!

Raatein gumnaam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch iss tarah jeete hain,
K har lamha doston ke naam hota hai !

Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse milay bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Apni aankh ka aanso teri aankh se gira sakta hoon !!

Ae dost teri dosti uss ghadi tadpaayegi,
Jab zindagi kahegi alvida, Aur maut bhi naa aayegi

Advertisement
· 1 Like · Jan 20, 2015 at 05:01
Category: friendship
 

Latest Posts in poetry

Stop dreaming start owning
Posted by iJunoon
Posted on : Jun 06, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS