Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Apnay Hothon Par Sajaana Chahta Hoon

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

Koi aanso tery daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko,
Ab tujhay main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !


Aakhri hichki teray zaano peh aayey,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,
Aa tujhay main gungunana chahta hoon !

· 1 Like · Dec 02, 2018 at 19:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Woh Dil Hi Kaya Jo Tere Milne Ki Dua Na Kare

Woh dil hi kaya jo tere milne ki dua na kare
main tujh ko bhool ke zinda rahoon Khuda na kare
rahe ga sath tera payar zindagi ban kar
yeh or baat meri zindagi wafa na kare
Yeh theek hai nahin marta koi judai main
Khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
Suna hai usko muhabat duaain daiti hai
Ju dil pe waar tu khaye magar gila na kare
Agar wafa peh bharoosa rahe na duniya ko
Tu koi shaks muhabat ka hoosla na kare
Bujha diya hai naseeboon ne mere pyar ka chaand
Koi diya meri palkoon peh abb jala na kare ...
Zamana dekh chuka hai parkh chuka hai usse
Qateel jaan se jaye par ilteja na kare

· 1 Like · Dec 02, 2018 at 12:12
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Hukmaran Muj Ko Baharo Ka Banaya Jaye

Hukmaran muj ko baharo ka banaya jaye
Taaj kanton ka mere sar par sajaya jaye

har koi ab to gunahgaar bana betha hai
parsai ka hunar muj ko sikhaeya jaye

mout bur haq hai magar meri guzarish ye hai
zinda insaan ka janaza na uthaya jaye

me batau ga isay zakhm ki lazzat kya hai
phool ka muj se taaruf to karaya jaye

barh gai umar meri nisaf sadi se b Qateel
jashan ab mere ghamo ka b manaya jaye

· 1 Like · Dec 02, 2018 at 06:12
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Halaat K Qadmo Peh Qalandar Nahee Girta

Halaat k qadmo peh qalandar nahee girta
Tootay b jo taara to zameen par nahee girta

girtay hain samandar me baday shok se darya
lekin kisi darya me samandar nahee girta

samjho wahan phaldar shajar koi nahee hai
wo sehan k jis me koi pathar nahee hai

heran hai kai roz se thehra hua pani
talaab me ab q koi kankar nahee girta

is banda-e-khuddar peh nabiyo ka hai saya
jo bhook me bhi luqma tar par nahee girta

qaai hai Qateel ab ye mere sar k satoon par
bhonchal bhi aye to mera ghar nahee girta

· 2 Like · Dec 01, 2018 at 23:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Kia Kahoon Apney Chaman Se Mai Juda Kiunker Hua

Kia kahoon apney chaman se mai juda kiunker hua
Aur aseere halqa-a-daam e hawa kiunker hua

Jaye hairat hai bura sare zamane ka hoon mai
Mujh ko yeh khilat sharafat ka ataa kiunker hua

Kuchh dikhane dekhne ka tha taqaza taur per
Kia khabar hai tujhko ae dil faisla kiunker hua

Hai talab bemudda hone ki bhi aik mudda
Murgh e dil daam e tamanna se riha kiunker hua

Dekhne wale yehan bhi dekh lete hain tujhe
Phir yeh wada hashr ka sabr aazma kiunker hua

Husne kamil hi na ho is behijabi ka sabab
Wo jo tha pardon mai pinhan khudnuma kiunker hua

Maut ka nuskha abhi baqi hai ai wirde firaq
Charagar deeewana hai mai ladawa kiunker hua

· 2 Like · Dec 01, 2018 at 17:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Eik Nazm Se Iqtabaas

Shamm-e-mehfil ho k tu jab soz se khaali raha
Tere parwaane bhi is lazzat se begaane rahe

Rishta-e-ulfat mein jab in ko piro sakta tha tu
Phir pareshaaN kiyuN teri tasbeeh k daane rahe

Shauq-e-beparvaa gaya, fikr-e-falak paimaa gaya
Teri mehfil mein na diwaane na farzaane rahe

Wo jigar sozi nahi, wo shola aashaami nahi
Faaida phir kya jo gird-e-shamma parwaane rahe

Khair, tu saaqi sahi lekin pilaaye ga kisey
Ab na wo maikash rahe baaqi, na maikhaane rahe

Ro rahi hai aaj ik TooTi hui meena usey
Kal talak gardish mein jis saaqi k paimaane rahe

Aaj hain khaamosh wo dasht-e-junooN parvar, jahaaN
Raqs mein laila rahi, laila k diwaane rahe

Waaye nakaami, mataa-e-kaarvaaN jaata raha
KaarvaaN k dil se ehsaas-e-zyaaN jaata raha

· 1 Like · Dec 01, 2018 at 10:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Dil

Qissa-e-daar o rasan baazi-e-tiflaana-e-dil
Iltejaa-e-Arini surkhi-e-afsaana-e-dil

Ya Rab is saaghar-e-lab-reiz ki mai kya hogi
Jaada-e-mulk-e-baqa hai khat-e-paimaana-e-dil

Abr-e-rehmat tha k thi ishq ki bijli ya Rab
Jal gaee mizra-e-hasti to uga daana-e-dil

Husn ka gunj-e-garaan maaya tujhe mil jaata
Tu ne Farhaad! na khoda kabhi veeraana-e-dil

Arsh ka hai kabhi Ka'be ka hai dhoka is par
Kis ki manzil hai Ilaahi mera kaashaana-e-dil

Is ko apna hai junoo(n) aur mujhe sauda apna
Dil kisi aur ka diwaana main diwaana-e-dil

Tu samajhta nahi aai zaahid-e-nadaa(n) is ko
Rashk-e-sad-sajda hai ik laghzish-e-mastaana-e-dil

Khaak k dheir ko akseer bana deti hai
Wo asar rakhti hai khaakistar-e-parwaana-e-dil

Ishq k daam mein phans kar ye reha hota hai
Barq girti hai to ye nakhl hara hota hai

· 1 Like · Dec 01, 2018 at 03:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Mohabbat Ka Junoon Baaqii Nahin Hai

mohabbat ka junooN baaqii nahin hai
musalamaanon mein Khuun baaqii nahin hai


safen kaj, dil pareshan, sajdaa bezuuk
ke jazabaa-e-andruun baaqii nahin hai


ragon mein lahuu baaqii nahin hai
wo dil, wo aawaaz baaqii nahin hai


namaaz-o-rozaa-o-qurbaanii-o-haj
ye sab baaqii hai tuu baaqii nahin hai

· 1 Like · Nov 30, 2018 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Khird Ke Paas Khabar Ke Siwaa Kuchh Aur Nahin

Khird ke paas Khabar ke siwaa kuchh aur nahin
teraa ilaaj nazar ke siwaa kuchh aur nahin

har muqaam se aage muqaam hai teraa
hayaat zauq-e-safar ke siwaa kuchh aur nahin

rangon mein gardish-e-KhuuN hai agar to kyaa haasil
hayaat soz-e-jigar ke siwaa kuchh aur nahin

uruus-e-laalaa munaasib nahin hai mujhase hijaab
k main nasiim-e-sahar ke siwaa kuchh aur nahin

jise qasaad samajhtay hain taajran-e-firang
wo shay mataa-e-hunar ke siwaa kcuhh aur nahin

giraaN_bahaa hai to hifz-e-Khudii se hai warnaa
gauhar mein aab-e-gauhar ke siwaa kuchh aur nahin

· 2 Like · Nov 30, 2018 at 13:11
Category: love
 
Using magic to feed the homeless
Posted by Interesting Videos
Posted on : Nov 14, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS