Poetry / 0

Ghazal Noor

Chupky Chupky

khud ko chupa kr b ayan hote rahy chupky chupky
taskeen-e- ruh k lye mehrbanoo ko zuban mil gayi chupky chupky

dhuwa esa utha k shehar k shehar taba ho gaye
pr ham gohar e maqsad samaitte rahy chupky chupky

gam-e-zindagi se nikala to khabar ye huwi
nusoo mein base raten churane lagy thy chupky chupky

taana zan tha tabasum bakherta hr moti
wafa k motion ki mala bikheir gaye chupky chupky

gulastan-e kantoon ki hukmarani mein hath lahoo luhan huwe
sehra-e-jazbat jane kab samandar ho gaye chupky chupky

khalish kasak ban kr muskarai b to kese
ab to sans ki dori chut rahi hy chupky chupky

· 1 Like · Oct 07, 2014 at 09:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Adhuri

churiyoon k bgair kalayan adhuri si hein
tery naam likhi to buhat tahrirein sab adhuri si hein

taqdeer k likhy pr ghaour kia to mehsoos huwa
rang-e-hina k bgair hatheliyan adhuri si hein

khwab to wohi hein jahan numa qafiloon jesy
pr inki sab taberien adhuri si hein

tut kr ghirtey b nhi shakhon se kuch phool
be bo sy hein khashboein inki adhuri si hein

chehkarein parindoon ki mehkar hamari pehli si nhi
muskrahtein abhi b hamari kuch adhuri si hein

muntazir iqrar e-qaid mein abhi b hy
zanjeroon k bgair pairoon ki rawaniyan adhuri si hein

· 1 Like · Oct 07, 2014 at 02:10
Category: 0
 
There is no row at position 273.There is no row at position 274.There is no row at position 275.There is no row at position 276.There is no row at position 277.There is no row at position 278.There is no row at position 279.

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS