Sad
Poetry / Sad
Minu Malik
Ik Ghazal Us Kay Naam Or Sahi
Phool sa kuch qalaam or sahi,
Ik ghazal us kay naam or sahi,
Us ki zulfien bohat ghaneri hain,
Ek shab ka qayam or sahi,
Zindagi kay udaas qissey hain,
Ek larki ka naam or sahi,
Kursiyon ko sunaiye ghazlien,
Qatal ki ek sham or sahi,
kapkapati hai rat seeney me,
zehar ka ek jaam or sahi.
Ik ghazal us kay naam or sahi,
Us ki zulfien bohat ghaneri hain,
Ek shab ka qayam or sahi,
Zindagi kay udaas qissey hain,
Ek larki ka naam or sahi,
Kursiyon ko sunaiye ghazlien,
Qatal ki ek sham or sahi,
kapkapati hai rat seeney me,
zehar ka ek jaam or sahi.
·
1 Like ·
May 14, 2018 at 12:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ghairon Se Lagana Dil Ka
·
0 Like ·
May 13, 2018 at 18:05
Category: sad
Poetry / Sad
Mooria Ul Ain
Shab E Intezar
Sooraj pighal k raat ki waadi mai beh gaya
Is haadsay ka nam shab-e-intezar hai
Is haadsay ka nam shab-e-intezar hai
·
0 Like ·
May 12, 2018 at 16:05
Category: sad
Poetry / Sad
Obaidullah Khan
Uzr Any Main Bhi Hai Aur Bulatey Bhi Nahi.
Uzr any main bhi hai aur bulatey bhi nahi,
baais-e-tarq-e-mulaqat batatey bhi nahin,
khoob parda hai k chilman se lge bethe hain,
saaf chupatey bhi nahi samney atey bhi nahi,
dekhtey hi mujhe mehfil me ye irshaad hua,
kon betha ha? isy log uthatey bhi nahi,
ho chuka qata ta''lluq to jafaen kiun hon,
jinko matlab nahi rehta wo satatey bhi nahi,
zeest se tang ho e Daagh to jeety kyun ho,
jan pyari bhi nahi jan se jatay bhi nahi.....
baais-e-tarq-e-mulaqat batatey bhi nahin,
khoob parda hai k chilman se lge bethe hain,
saaf chupatey bhi nahi samney atey bhi nahi,
dekhtey hi mujhe mehfil me ye irshaad hua,
kon betha ha? isy log uthatey bhi nahi,
ho chuka qata ta''lluq to jafaen kiun hon,
jinko matlab nahi rehta wo satatey bhi nahi,
zeest se tang ho e Daagh to jeety kyun ho,
jan pyari bhi nahi jan se jatay bhi nahi.....
·
6 Like ·
May 12, 2018 at 04:05
Category: sad
Poetry / Sad
Aman Ullah
khwaahiSh-e-iShq b bhar p00r Saza daiti hai.
khwaahiSh-e-iShq b bhar p00r Saza daiti hai aag ban kar j0 jawani k0 jala daiti hai itna bhi na t00t kar Chaho kiSi k0 itni Chaht bhi M0habat k0 gira daiti....
·
1 Like ·
May 11, 2018 at 20:05
Category: sad
Poetry / Sad
Shahid Siddiqui
Baat Phoolon Ki Suna Kerte Thay,
Baat phoolon ki suna kerte thay,Hum kabhi shair kaha kerte they,Mashalen le ker tumhare gham ki,Hum andheron main chala kerte thay,Ab kahan aesi tabiyat wale,Chot kha ker jo dua kerte thay,Tark_e_ehsaas_e_mohabbat mushkil,Haan, magar ahl_e_wafa kerte thay,Bikhri bikhri zulfon waale,Qaafile rok lia kerte thay,Aaj gulshan main shagoof_e_Saagar,Shikwe baad_e_saba se kerte thay...
·
1 Like ·
May 11, 2018 at 13:05
Category: sad
Sponored Video