Sad
Poetry / Sad
Fatima Zehra
Urr Jaayein Gay Tasweer K Rangon Ki Tarah Hain.
Urr Jaayein Gay, Tasweer K Rangon Ki Tarah Hain
Hum Waqt Ki Tehni Pay Prindon Ki Tarah Hein
Tum Sahil Pay Kharray Huey Phoolon Ki Tarah Ho
Hum Rait Pay Likhay Huey Harfon Ki Tarah Hein
Tum Aaj Bhi Aainda Zamanon Ki Jhalak Ho
Hum Aaj Bhi Guzray Huey Lamhon Ki Tarah Hein
Tanhaai K Yakh Lamhon Mein Aayein Gay Tere Kaam
Ash''aar Mere Sardi Mein Shaalon Ki Tarah Hein
Ik Umar Tarastay Hein Kisi Aik Khushi Ko
Hum Log Bhi Banjar Zameeno Ki Tarah Hein
Duniya K Liye Kuch Bhi Sahi Tere Liye Hum
Mukhlis Kisi Maa Ki Duaon Ki Tarah Hein
Taareekh Ki Nazron Mein Hum Ek Umar Say MOHSIN
School Say Bhaagay Huwe Bachon Ki Tarah Hein.

·
0 Like ·
Jun 30, 2018 at 07:06
Category: sad
Poetry / Sad
Sakeena Hussain
Ban K Tasweer E Gham Reh Gaye Hain.
Ban K Tasweer-e-Gham Reh Gaye Hain,
Khoye-Khoye Say Hum Reh Gaye Hain.
Baant Li Sab Nay Aapas Mein Khushiyan,
Mere Hissay Mein Gham Reh Gaye Hain.
Ab Na Uthna Sarhanay Say Mere,
Ab To Ginti K Dum Reh Gaye Hain.
Qaafila Chal Ke Manzil Ko Pohncha,
Thehro Thehro Mein Hum Reh Gaye Hain.
Ay Sabah Ek Zehmat Zara Phir,
Unki Zulfon Mein Kham Reh Gaye Hain.
Dekh Kar Unke Mangton Ki Gairat,
Danng Ehal-e-Haram Reh Gaye Hain.
Un Ki Saptariyan Kuch Na Poocho,
Aasiyon K Bharam Reh Gaye Hain.
Qaynaat-e-Jafa-o-Wafa Mein,
Ek Tum Ek Hum Reh Gaye Hain.
Aaj Saaqi Pila Shaikh Ko Bhi,
Ek Ye Mohtaram Reh Gaye Hain.
Allah Allah Ye Kiski Gali Hai,
Uthtay Uthtay Qadam Reh Gaye Hain.
Khoye-Khoye Say Hum Reh Gaye Hain.
Baant Li Sab Nay Aapas Mein Khushiyan,
Mere Hissay Mein Gham Reh Gaye Hain.
Ab Na Uthna Sarhanay Say Mere,
Ab To Ginti K Dum Reh Gaye Hain.
Qaafila Chal Ke Manzil Ko Pohncha,
Thehro Thehro Mein Hum Reh Gaye Hain.
Ay Sabah Ek Zehmat Zara Phir,
Unki Zulfon Mein Kham Reh Gaye Hain.
Dekh Kar Unke Mangton Ki Gairat,
Danng Ehal-e-Haram Reh Gaye Hain.
Un Ki Saptariyan Kuch Na Poocho,
Aasiyon K Bharam Reh Gaye Hain.
Qaynaat-e-Jafa-o-Wafa Mein,
Ek Tum Ek Hum Reh Gaye Hain.
Aaj Saaqi Pila Shaikh Ko Bhi,
Ek Ye Mohtaram Reh Gaye Hain.
Allah Allah Ye Kiski Gali Hai,
Uthtay Uthtay Qadam Reh Gaye Hain.
·
2 Like ·
Jun 29, 2018 at 18:06
Category: sad
Poetry / Sad
Abdulla Bhatti
Kehtay Ho Na Dien Gay Hum Dil Agar Parra Paaya.
Kehtay Ho Na Dien Gay Hum Dil Agar Parra Paaya.....
Dil Kahaa''n K Gum Kijiye.? Hum Nay Mud''aa Paaya....
Dil Kahaa''n K Gum Kijiye.? Hum Nay Mud''aa Paaya....
·
0 Like ·
Jun 29, 2018 at 05:06
Category: sad
Poetry / Sad
Farah Gulzar
Shaam Bakhair
***** Shaam Bakhair *****
Sakoot-e-Shaam Mien Goonji Sadaa Udaasi Ki.....
K Hai Mazeed Udaasi Dawaa Udaasi ki,,,,,
Amoor-e-Dil Mien Kisi Teesray Ka Dakhal Nahi.....
Yahaa''n Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki,,,,,
Bohat Shareer Tha Mian Aur Hansta Phirta Tha.....
Phir Ek Faqeer Nay Day Di Dua Udaasi Ki,,,,,
Chiraagh-e-Dil Ko Zara Ehteyaat Sey Rakhna.....
K Aaj Raat Chalay Ge Hawa Udaasi Ki,,,,,,
Bohat Dinno''n Sey Mulaqaat He Nahi Mohsin.....
Kahien Sey Khair Khabar Lay K Aa Udaasi Ki....!!!

Jun 28, 2018 at 16:06
Category: sad
Poetry / Sad
Phati phati hui aankhon sy yon na dekh mujhay...
Tujhay talaash hy jis shakhs ki, wo mr bhi gya...
Hira Chaudhry
Phati Phati Hui Aankhon Sy Yon Na Dekh Mujhay.
Phati phati hui aankhon sy yon na dekh mujhay...
Tujhay talaash hy jis shakhs ki, wo mr bhi gya...
·
1 Like ·
Jun 28, 2018 at 10:06
Category: sad
Poetry / Sad
Shama Qadir
Mujh Se Kitni Hi Mohabbat Karta..
·
0 Like ·
Jun 28, 2018 at 04:06
Category: sad
Poetry / Sad
Seddiq Al Khan
Aik Pal
Koi pal ho tere sath ka, meri umar bhar ko samait le
mai fanna, baqa, k sabhi safar, usi aik pal mai guzar lun
mai fanna, baqa, k sabhi safar, usi aik pal mai guzar lun
·
0 Like ·
Jun 27, 2018 at 21:06

Jun 27, 2018 at 14:06
Category: sad
Sponored Video