Poetry / Sad

Fatima Zehra

Urr Jaayein Gay, Tasweer K Rangon Ki Tarah Hain
Hum Waqt Ki Tehni Pay Prindon Ki Tarah Hein
Tum Sahil Pay Kharray Huey Phoolon Ki Tarah Ho
Hum Rait Pay Likhay Huey Harfon Ki Tarah Hein
Tum Aaj Bhi Aainda Zamanon Ki Jhalak Ho
Hum Aaj Bhi Guzray Huey Lamhon Ki Tarah Hein
Tanhaai K Yakh Lamhon Mein Aayein Gay Tere Kaam
Ash''aar Mere Sardi Mein Shaalon Ki Tarah Hein
Ik Umar Tarastay Hein Kisi Aik Khushi Ko
Hum Log Bhi Banjar Zameeno Ki Tarah Hein
Duniya K Liye Kuch Bhi Sahi Tere Liye Hum
Mukhlis Kisi Maa Ki Duaon Ki Tarah Hein
Taareekh Ki Nazron Mein Hum Ek Umar Say MOHSIN
School Say Bhaagay Huwe Bachon Ki Tarah Hein.

Advertisement
· 0 Like · Jun 30, 2018 at 07:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

'Kaum De Heere' Title Song
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Jan 22, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS