Poetry / Sad

Hafeez Ur Rehman

Mousam Ki Khusboo Mein

mousam ki khushbo mein aksar gham ki khushbo mill jati hai
aamoon kay baagh mein kaisay sawan sawan barsa aanso

apnay bachpan ka qissa hai aik tasveer banayi uss nay
mehandi wallay haath rachay thay, beech hathailee tapka ansoo

aik gaoon mein do barattain shaid dulha badal gaya
mairi ankh mein taira ansoo tairi ankh mein maira aanso

pas say daikho jugnoo ansoo, door say daikho taara ansoo
mein pholon ke saij pay baitha adhi raat ka tunha ansoo

mairi in ankhoon mein aksar gham kay dono pehlo daikhay
thehar gaya tu pathar ansoo, beh nikla tu darya ansoo

payaar ajeeb talvar hai jis pay hum dono kay naam likhay hain
tehni tehni kaliyaan ansoo, pathar jharna ansoo

· 4 Like · Jun 03, 2021 at 17:06
Category: sad
 
· 3 Like · Jun 02, 2021 at 23:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yehi Wafaa Ka Silaah Hai

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se,
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main chupa ke tumko,
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi,
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi,
Kisey majaal kahe koi mujh ko deewana,
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

· 3 Like · Dec 17, 2018 at 22:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Amjad Z

Kya Khabar Thi Is Tarah Se Wo Juda Ho Jayega

KYA KHABAR THI IS TARAH SE WO JUDA HO JAYEGA
KHWAB MEIN BHI USKA MILNA KHWAB SA HO JAYEGA

DOST BANKAR JISKO CHAHA YEH MAGAR SOCHA NA THA
DOSTI HI DOSTI MEIN WO KHUDA HO JAYEGA

USKA JALWA HOGA KYA JISKA KI PARDA NOOR HAI
JO BHI DEKH LEGA USKO WO FIDA HO JAYEGA

JINDGI KI KAID-E-GAM SE KYA NIKALOO AB USE
MAUT JAB AAYEGI TO KHUD RIHA HO JAYEGA

· 3 Like · Dec 17, 2018 at 15:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Rashid Chaudhary

Har Kissi Se Choopaye Rakha Tere Iss Afsaney Ko

har kissi se choopaye rakha tere iss afsaney ko
phir kesey khabar houi iss bedard zamaney ko

chaar qadam agey hi rahi mujh se meri ruswai
rasta kon sa bacha hai khud ke sudhar janey ko

ujrey houey dil ki sunaein dastan kya
ke lagi aag ghar ke charag se mere ashiyaney ko

kash sagar aa jayein wo hum se milney aik baar
hum bhi sajayein baray maan se apney gareeb khaney ko!!

· 3 Like · Dec 09, 2018 at 04:12

· 3 Like · Dec 08, 2018 at 20:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Usaman Khan

Hona Kya Hai

hona kya hai
zindagi ko bhugat rahay hain
zindagi ke bina

· 0 Like · Nov 12, 2018 at 12:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Adeel Baig

Baray Ranjoor Kyoun Na Hoon

Baray RANJOOR Kyoun Na Hoon
Baray MAJBOOR kyoun Na Hoon
Awail Main Mahinay Kay
Sub Apnay Khoon Paseenay Kay
Jo Paisay Jorr Laitay Hainnnn
Gharon Ko Bhaij Daitay Hain
Or Apnay Khat Main Likhtay Hain
Hum Apna Dehaan Rakhtay Hain
Bari KHUSHBAKHT Ghariyan Hain
Yahan KHUSHEYAN HE KHUSHEYAN Hain

· 3 Like · Nov 09, 2018 at 12:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Adeel Baig

Bari Mishikl Say Eik Kamrah

Bari Mishikl Say Eik Kamrah
Jahan Koi Na Ho Rahta.
Nagar Say Paar Milta Hay
Bohat Baikar Milta Hay
To Phir Do Teen Hum Jaisay
Mila Laitay Hain Sub Paisay
Aur AApas Main Yeh Khtay Hain
K Mil Jul ker He Rahtay Hain
Koi Khana Banaye Ga
Koi Jharoo Lagaye Ga
Koi Dhoaye Ga Sub Kapray
To Reh Lain gey Baray Sukh Say

· 4 Like · Nov 09, 2018 at 03:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Adeel Baig

Jo Ghar Say Door Hotay Hain

Jo Ghar Say Door Hotay Hain
Bohat Majboor Hotay Hain
Kabhi Baghoon Main Sotay Hian
Kabhe Chhup Chhup Kay ROTAY Hain
Gharon Ko Yaad Kartay Hain
To Phir Feryaad Kartay Hain
Magar Jo Be Sahara Hoon
Gharon say Be Kinarah Hon
Inhain Gher Kon Daita Hay
Yeh Khatra Kon Laita Hay.

· 4 Like · Nov 08, 2018 at 21:11
Category: sad
 
Welcom to Student Life
Posted by farhan bilal
Posted on : Dec 14, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us

Facebook

Twitter

Google +

RSS