Poetry / Sad

Mohammad Iqbal

Khush Rahe Ya Bahut Udas Rahe.

Khush rahe ya bahut udas rahe
zindagi tere aas pas rahe
chand in badaliyon se nikalega
koi aayega dil ko aas rahe
hum muhabbat ke phul hain shayad
koi kanta bhi aas pas rahe
mere sine mein is tarah bas ja
meri sanson mein teri bas rahe
aj hum sab ke sath khub hanse
aur phir der tak udas rahe.

· 0 Like · Jul 14, 2018 at 01:07
Category: sad
 
Poetry / Poetry Sms

Zeeshan Kaliya

Dil Ki Khamoshi Sey Saanso''n K Thehar Jaanay Tak.

Dil Ki Khamoshi Sey Saanso''n K Thehar Jaanay Tak......

Yaad Aaye Ga Mujhay Wo Shakhs Mar Jaanay Tak......!!!


· 1 Like · Jul 13, 2018 at 14:07
Category: poetry-sms
 
Poetry / Poetry Sms

Zeeshan Kaliya

Dil Ki Khamoshi Sey Saanso''n K Thehar Jaanay Tak.

Dil Ki Khamoshi Sey Saanso''n K Thehar Jaanay Tak......

Yaad Aaye Ga Mujhay Wo Shakhs Mar Jaanay Tak......!!!


· 1 Like · Jul 13, 2018 at 06:07
Category: poetry-sms
 
Poetry / Sad

Samreen Qaisar

Asar Dil Par Karay Shikwa, Shikaayat Ho To Aesi Ho.

Asar Dil Par Karay Shikwa, Shikaayat Ho To Aesi Ho......
Galay Lag Kar Koi Roye, Nadamat Ho To Aesi Ho,,,,,,

Yehi Mehsoos Ho Jaisay Kai Sad''diyaa''n Guzri Hain.....
Faqat Ek Pal Ki Doori Mien Aziyat Ho To Aesi Ho,,,,,,

Mujhay Kaanta Chubhay,
Aur Uss Ki Aankhoo''n Sey Lahoo Tapkay.....
Ta''alluq Ho To Aesa Ho, Muhabbat Ho To Aesi Ho,,,,,

· 0 Like · Jul 12, 2018 at 19:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Moiz Arshad

Log Toot Jate Hain Ek Ghar Banane Mein.

Log toot jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahi khate bastiyan jalne mein
aur jam tutenge is sharab-khane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jane mein
har dhadakate pathar ko log dil samajhate hain
umr bit jati hai dil ko dil banane mein
fakhta ke majboori ye bhi kah nahi sakati
kon sanp rakhta hai usake aashiyane mein.

· 1 Like · Jul 12, 2018 at 13:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Javed Akhtar

Sar Se Chadar Badan Se Qaba Le Gai.

Sar se chadar badan se qaba le gai
zindagi hum faqiron se kya le gai
meri mutthi mein sukhe huye phul hain
khushbuon ko uda kar hawa le gai
main samundar ke sine mein chattan tha raat ek mauj aayi baha le gai hum jo kagaz the ashkon se bhige huye kyon chiragon ke lau tak hawa le gai.

· 0 Like · Jul 12, 2018 at 07:07
Category: sad
 
Poetry / General

Urooj Imran

Baat Meri Kabhi Suni Hi Nahi

· 1 Like · Jul 12, 2018 at 01:07
Category: general
 
Poetry / Sad

Qamar Jabbar

Saaqi Roz E Azal Ye Kia Bulaya Tha Mujhe

· 1 Like · Jul 11, 2018 at 19:07
Category: sad
 
Poetry / General

Samra Mushtaq

Mera Seena Hai

· 1 Like · Jul 11, 2018 at 13:07
Category: general
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS