Poetry / Love

Asiya Faheem

Kuch Is Ada Se Yaar Ne Poocha Mera Mizaaj

Kuch is ada se yaar ne poocha mera mizaaj
kehna pada ke shukar hai parwardigaar ka

· 4 Like · Oct 26, 2018 at 13:10
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Afzal

Sochna

koi aur kaam sonp do mujh ko
ye kya...
tujh ko socha aur sochte rehna

· 0 Like · Oct 26, 2018 at 06:10
Category: love
 
Poetry / Love

Fatima Zehra

Teray Haath Se Meray Haath Tak Jo Fasla Tha Ab Tay Hoa

Teray Haath Se Meray Haath Tak Jo Fasla Tha Ab Tay Hoa.

Meri Zindagi Meri Bandagi Ab Tujh Se Hi Mansoob Hai...!!!❤


· 4 Like · Oct 25, 2018 at 23:10
Category: love
 
Poetry / Love

Hira Chaudhry

Mere Dil Ki Har Dhadkan Tere Naam Likhdi.

Mere dil ki har dhadkan Tere naam likhdi
Mere jine ki har ek Sans Tere liye likhdi
Tum Meri zindagi ka aks ho Mera wajud ho
Ab ye zindegi maine Tere naam likhdi.....!!!❤


· 5 Like · Oct 25, 2018 at 16:10
Category: love
 
Poetry / Love

Kashif Mali

Likhi Hai Ye Ghazal "sirf Tere Liye"

❤ GHAZAL ❤

❤Likhi Hai Ye Ghazal "SIRF TERE LIYE" ❤

❤Dewane Bane B To "SIRF TERE LIYE" ❤

❤ Kisi Ko Nahi Dekhengi Ab Ye AANKHEN,❤

❤Nazren Tarsengi B To "SIRF TERE LIYE" ❤

❤ Hr Pyaar Se Pyary Lagty Ho Tum Mujhe "jana"❤

❤Mene Pyaar Sikha B To "SIRF TERE LIYE" ❤

· 2 Like · Oct 25, 2018 at 10:10
Category: love
 
Poetry / Love

Kashif Mali

Likhi Hai Ye Ghazal "sirf Tere Liye"

❤ GHAZAL ❤

❤Likhi Hai Ye Ghazal "SIRF TERE LIYE" ❤

❤Dewane Bane B To "SIRF TERE LIYE" ❤

❤ Kisi Ko Nahi Dekhengi Ab Ye AANKHEN,❤

❤Nazren Tarsengi B To "SIRF TERE LIYE" ❤

❤ Hr Pyaar Se Pyary Lagty Ho Tum Mujhe "jana"❤

❤Mene Pyaar Sikha B To "SIRF TERE LIYE" ❤

· 2 Like · Oct 25, 2018 at 01:10
Category: love
 
Poetry / Sad

Arsalan Ahmed

Wafaa Ke Baab Mein Ilzaam E Aashiqui Na Lia.

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia.

· 0 Like · Oct 24, 2018 at 19:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mohammad Iqbal

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon?

· 1 Like · Oct 24, 2018 at 12:10
Category: sad
 
Poetry / General

Abdul Kareem

Pal Ki Khabar

· 3 Like · Oct 24, 2018 at 05:10
Category: general
 
Dad car ki chabi dain.
Posted by shama qadir
Posted on : Aug 18, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS