Poetry / 24

Abdul Rehman Rehman

Kaash Mai.n Tere Hasiin Haath Kaa Kangan Hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

tuu baDe pyaar se baDe chaao se baDe aramaan ke saath
apanii naazuk sii kalaaii me.n chaDhaatii mujh ko
aur betaabii se furqat ke Khizaa.N lamho.n me.n
tuu kisii soch me.n Duubii jo ghumaatii mujh ko
mai.n tere haath kii Khushbuu se mahak saa jaataa
jab kabhii muuD me.n aa kar mujhe chuumaa kartii
tere ho.nTho.n kii shiddat se mai.n dahak saa jaataa

raat ko jab bhii tuu niindo.n ke safar par jaatii
marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa kartii
mai.n tere kaan se lag kar kai baate.n kartaa
terii zulfo.n ko tere gaal ko chuumaa kartaa
jab bhii tuu band qubaa kholne lagatii jaanaa
apanii aa.Nkho.n ko tere husn se kheraa kartaa
mujh ko betaab saa rakhataa terii chaahat kaa nashaa
mai.n terii ruuh ke gulashan me.n mahaktaa rehtaa
mai.n tere jism ke aa.Ngan me.n khanaktaa rehtaa
kuchh nahii.n to yunhi benaam saa bandhan hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

· 4 Like · Jul 06, 2021 at 21:07
Category: 24
 
Poetry / Poetry Sms

Judai

Q hasad karti hai darya ki rawani mjse
aa k le jay meri aankh ka pani mjse
mass nakhun se juda kar k dikhaya main ne
us ne pooche thay judai k maani mjse

· 2 Like · Jun 26, 2021 at 14:06
Category: poetry-sms
 
Poetry / 24

Hafeez Ur Rehman

Kuch Wakt Lagay Ga

dil ko wapis lanay mein kuch wakt lagay ga
pagal ko samjhanay mein kuch waqt lagay ga

abhi to herat see chhaiii hei ankhon per
hosh thikanay anay mein kuch wakt lagay ga

rothta rab to usay kateel mana bhi leta
rootha yar mananay mein kuch wakt lagay ga

· 3 Like · Jun 13, 2021 at 21:06
Category: 24
 
Poetry / 24

Hafeez Ur Rehman

Mairay Dil Ki Raakh

mairay dil ki raakh kuraid mat, iss muskura kay hawa na day
yeah charagh phir bhi charagh hai kaheen taira hath jala na day

naye door kay naye khawb hain, naye mousmon kay gulaab hain
yeah mohabtoon kay charagh hain inhain nafratoon ki hawa na dey

zara diakh chaand ke patiyoon nay bikhar bikhar kar tamaam shab
taira naam likha hai rait par koi lehar aa kar mita na day

mein udaasiyaan na saja sakoon kabhi jisam o jaan kay mizar par
na diyeah jallay mairi ankh mein mujhay itni sakhat saza na day

mairay sath chalnay kay shouq mein bari dhoop sar pay uthaye ga
taira naak naqsha hai moum ka kaheen gham ki aag ghulla na day

mein ghazal ke shabnami ankh say yeah dukhoon kay phool chuna karon
mairi saltanat maira fun rahay mujh taj o takhat khuda na day..

· 3 Like · Jun 12, 2021 at 12:06
Category: 24
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Wafa Say Choot Lagti Hai

mohabbat say anayaat say wafa say choot lagti hai
bikharta phool hoon mujh ko hawa say choot lagti hai

mairi ankhoon mein ansoo ki tarhaan aik raat aa jaoo
takaluf say banawat say adaa say choot lagti hai

mein shapnam ki zubaan say pholoon ki awaz sunta hoon
ajab ehsaas hai apni sadda say choot lagti hai

tujhay khud apni majboori ka andaza nahi shaid
na kar ehad e wafa, ehad e wafa say choot lagti hai..

· 3 Like · Jun 06, 2021 at 01:06
Category: 0
 
Poetry / Sad

Hafeez Ur Rehman

Mousam Ki Khusboo Mein

mousam ki khushbo mein aksar gham ki khushbo mill jati hai
aamoon kay baagh mein kaisay sawan sawan barsa aanso

apnay bachpan ka qissa hai aik tasveer banayi uss nay
mehandi wallay haath rachay thay, beech hathailee tapka ansoo

aik gaoon mein do barattain shaid dulha badal gaya
mairi ankh mein taira ansoo tairi ankh mein maira aanso

pas say daikho jugnoo ansoo, door say daikho taara ansoo
mein pholon ke saij pay baitha adhi raat ka tunha ansoo

mairi in ankhoon mein aksar gham kay dono pehlo daikhay
thehar gaya tu pathar ansoo, beh nikla tu darya ansoo

payaar ajeeb talvar hai jis pay hum dono kay naam likhay hain
tehni tehni kaliyaan ansoo, pathar jharna ansoo

· 4 Like · Jun 03, 2021 at 17:06
Category: sad
 
· 3 Like · Jun 02, 2021 at 23:06
Category: sad
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Gulaboon Ki Tarhaan Dil

gulaboon ki tarhaan dil apna shabnam mein bhigootay hain
mohabbat karnay wallay khobsourat loug hotay hain

puranay mousmon kay naam mittay jatay hain
kaheen pani kaheen shabnam, kaheen ansoo say dhotay hain

yeahi andaas hai maira samandar fatah karnay ka
mairi kaghaz ki kashti mein kayi jugnoo bhi hootay hain

suna hai badar sahib mahfiloon ki jaan hotay hain
bohat din say woh pathar hain hanstay hain na rootay hain

· 2 Like · May 28, 2021 at 02:05

· 2 Like · May 27, 2021 at 05:05
Category: 0
 
ipod ipad ipaid
Posted by Abdullah Shahid
Posted on : Nov 17, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us

Facebook

Twitter

Google +

RSS