Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Humaisha ki tarha aaj bhi,
Sarma ki in sard shaamo main,
Daftar se wapis laotey hue,
Mere barhtey kadam, is landa bazaar key nukarh par,
Ruk say gay hain,
Har saal sochta hon k,
Is bar atay jarhon main,
Dhaani rang ki ake ooni shaal,
Tumhain tohfay main zarur donga,
Jisey orh kar tum jab kabhi,
Dhalti shaam main ghar se niklo ge,
To tumhare gulaabi arez ka damakta rang is dhalti shafak ko mand kar dega,
Aur jisey orh kar kisi sahpaher jab,
Bhaap uratti piyali k uqab se tum,
Mujhey sharaarat bhari nazron se dekho ge,
To mere mann main na janey kitney komal sapney,
Is dhanak rang shaam ki tarha utar ayain gay,
Par kia karon aye meri hum nafas,
Main ake adna sa kalark hon,
Jo sirf khoab hi bonta rehta hai,
Kaash!
In khoabon ki ooni salayan,
Tumhari dhaani shaal bhi bun patti,
Leken nahi'.
Ab aur nahi keh,
Tum to har saal atti sardiyon main,
Mujhe koi na koi tohfa zarur deti ho,
Khud apney hathon se bun kar,
Poorey saal paise jorh kar,
Maslan mere galay se lipta yeh naya garm maflar, yeh swetter,
Aur mere shaano ko dhaanpta yeh koat,

Advertisement
· 1 Like · Feb 03, 2012 at 15:02
Category: ghazal
 

Latest Posts in sms

Hina Rabbani Khar
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 10, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS