Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Us K Honton Se Adaa Hone Laga Hun Ab Main
Us k honton se ada hone laga hon ab main
Thaher aye zeest DUAA hone laga hon ab main
Khud se lipta le mujhe , Choom le matha mera
Aye zameen tujh se juda hone laga hon ab main
Shayed ab hijer e musalsal meri kismat thehray
Ik mohabbat mein khara hone laga hon ab main

·
1 Like ·
Apr 18, 2016 at 21:04
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Badan Se Uthti Thi Us K Khushbo
Badan se uthti thi us k khushbo, saba k lehjay mein boolta tha
ye meri aankhein thi uska bistar, wo meray khawabon mein jaagta tha
haya se palkein jhuki hoi thin hawa se saansen ruki hoi thin
wo meray senay mein sar chupaey, najnay kya baat, soochta tha!
koi tha chashm e karam ka talib, kisi pe shouq e wisaal ghalib
sawaal phailay thay chaar janib, bus aik main tha jo chup khara tha
ajeeb muhabbat ajeeb rut thi, khamoosh bethay hoey thay donon
main uski awaaz sun raha tha, wo meri awaaz sun raha tha
wo aur hon gay ke jin ko "AMJAD" naey manazir ki chaah ho gi
main us k cheray ko dekhta hon, main us k cheray ko dekhta tha!

Feb 26, 2016 at 23:02
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kabhi Us Ka Chehra
Kabhi Uska Chehra Gulab Hua Karta Tha,
Sab Ki Nazron Ka Woh Khuwab Hua Karta Tha,
Chand Sitaray Us K Samnay Maand Partay Thay,
Woh Toh Khud Mahtab Hua Karta Tha,
Lehja Aisa Tha Jaise Khilti Hui Kali,
Apni Baaton Mein Woh La-Jawab Hua Karta Tha,
Phir Yun Hua Ishq Ho Gaya Kissi Se,
Muhabbat Lafz Jis K Liye Mazak Hua Karta Tha......!!!!

Feb 18, 2016 at 19:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Haqeeqat Khol Di Us Ne
Mairay Israar Par Aakhir,
Bohat Majboor Ho Kar Aaj.
Mujhay Apni Nigaahoon Ki,
Udaasi Soanp Di Uss Nay.
Bohat Baybas,
Bohat Tanha,
Bohat Bikhri Mohabbat Ki.
Haqeeqat Khol Di Uss Nay.
Khalish Jo Uss Kay Dill Main Thi,
Wo Ab Meri Amaanat Hay.
Shikasta Lehjay Ki Jitnni,
Thakan Thi,
Boal Dii Us Nay.
Meri Khatir Mujhay Apni,
Mohabbat Keh Nahin Paai.
Magar Aaj Apnay Aansoo Say,
Mohabbat Toal Di Uss Nay.
Haqeeqat Khol Dii Uss Nay...........
Bohat Majboor Ho Kar Aaj.
Mujhay Apni Nigaahoon Ki,
Udaasi Soanp Di Uss Nay.
Bohat Baybas,
Bohat Tanha,
Bohat Bikhri Mohabbat Ki.
Haqeeqat Khol Di Uss Nay.
Khalish Jo Uss Kay Dill Main Thi,
Wo Ab Meri Amaanat Hay.
Shikasta Lehjay Ki Jitnni,
Thakan Thi,
Boal Dii Us Nay.
Meri Khatir Mujhay Apni,
Mohabbat Keh Nahin Paai.
Magar Aaj Apnay Aansoo Say,
Mohabbat Toal Di Uss Nay.
Haqeeqat Khol Dii Uss Nay...........
·
1 Like ·
Nov 18, 2015 at 14:11
Category: love
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Us Ki Yaad
Aaj us ki yaad nay humain tarpaya bohat
Aaj na chahattay howay bhi woh yaad aayi bohat
Us kay baad to jaisay vehshatoon say dosti ho gayi
Phir kyon aaj tanhaiyoon nay darraya bohat
Woh mera tha, mera hai, mera rahay ga
Hum nay is khayal say khud ko behlaya bohat
Shamma kay jalnay per hum afsoos kerain kyoon
Hum nay bhi manind shamma khud ko jallaya bohat
Hum nay jis kissi ko bhi humdard samjha "APNA"
Woh humaray dukh pah na janay kyon muskuraya bohat

Nov 04, 2015 at 14:11
Category: general
Social Wall / Photos
Sobia Malik
Us Ki Kali Aankhon Mein Hain Antar Mantar Sab.
·
1 Like ·
Oct 13, 2015 at 07:10
Category: photos
Poetry / 24
Teri Us Ada Say Bhi Houn Aashna
Teri us ada say bhi houn aashna
tujhay jis pay itna ghuroor hai
Mein jeeoun ga teray baghair bhi
mujhay zindagi ka shaoor hai
Na hawis mujhay maya naab ki
na talub saba-o-sahab ki
Teri chashm-e-naz ki khair ho
mujhay bay piye hi saroor hai
Jo samajh liya tujhay bay wafa
to phir is mein teri bhi kiya khataa
Yeh khalal meray dimagh ka
yeh meri nazar ka qasoor hai
Koee baat dil mein woh thaan kay
na ullajh paray teri shan say
Woh niyazmand jo kay sir ba khum
kaee din say teray huzoor hai
Mein nikal kay bhi teray daam say
na giron ga apnay maqaam say
Mein QATEEL-e-jor-o-sitam sahi,
mujhay tum say ishq zaroor hai..!!
tujhay jis pay itna ghuroor hai
Mein jeeoun ga teray baghair bhi
mujhay zindagi ka shaoor hai
Na hawis mujhay maya naab ki
na talub saba-o-sahab ki
Teri chashm-e-naz ki khair ho
mujhay bay piye hi saroor hai
Jo samajh liya tujhay bay wafa
to phir is mein teri bhi kiya khataa
Yeh khalal meray dimagh ka
yeh meri nazar ka qasoor hai
Koee baat dil mein woh thaan kay
na ullajh paray teri shan say
Woh niyazmand jo kay sir ba khum
kaee din say teray huzoor hai
Mein nikal kay bhi teray daam say
na giron ga apnay maqaam say
Mein QATEEL-e-jor-o-sitam sahi,
mujhay tum say ishq zaroor hai..!!
·
1 Like ·
Sep 12, 2015 at 19:09
Category: 24
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Ab Tak Us Ki Muhabbat
Ab Tak Us Ki Muhabbat Kaa Nashaa Taarii Hai
Phool Baaqii Nahiin Khushbu Ka Safar Jaari Hai
Sehar Lagtaa Hai Pasiine Mein Nahaayaa Huaa Jism
Ye Ajab Khuaab Mein Dobi Hui Bedaari Hai
Aaj Kaa Phool Teri Kokh Se Zaahir Hoga
Shaakh-E-Dil Khushk Na Ho Ab Ke Teri Baari Hai
Dhyaan Bhi Us Ka Hai Milte Bhii Nahin Hain Us Se
Jism Se Bair Hai Saaye Se Vafadaari Hai
Dil Ko Tanhaai Kaa Ahasaas Bhi Baaqi Na Rahaa
Vo Bhi Dhundhalaa Gayi Jo Shakl Bahut Pyaari Hai
Is Tag-O-Taaz Mein Tote Hain Sitaare Kitane
Aasmaan Jeet Sakaa Hai Na Zameen Haari Hai
Koi Aayaa Hai Zaraa Aankh To Kholo 'Shehzad'
Abhi Jaage The Abhi Sone Kii Taiyaari Hai

Jul 15, 2015 at 00:07
Category: general
Poetry / Sad
Meri Zandagi Ko Ik Tamasha Bana Dia Us Nay
meri zandagi ko ik tamasha bana dia us nay
bhari mehfil me tanha bitha diya os nay
aisi kya nafrat us ko is masoom dill say
khushian chura kar gham thma dia us nay
bohat naz tha us ki wafa pay kabhi hum ko
mujh ko hi meri nazroon me gira dia us nay
khud bewafa thi meri wafa ki kya qadar karti
anmol thaa main khak me mila dia us nay
kisi ko yad karna to us ki fitrat mai shamil nahie
hawa ka jhonka samaj kar bhula dia us nay

Jul 11, 2015 at 01:07
Category: sad
Sponored Video