Search
Poetry / 0
Hafeez Ur Rehman
Dil Mein Ik Tasveer Chupi Thi
dil mein ik tasveer chupi thee, aa basi hai ankhoon mein
shaid hum nay aaj ghazal see baat likhi hai ankhoon mein
jaisay aik asaami larki mandar kay darvaazay par
shaam diyoon ke thaal sajaye jhaank rahi hai ankhoon mein
iss romaal ko kaam mein laoon apni palkain saaf karoo
mayla mayla chand nahi hai dhool jami hai ankhoon mein
parhta ja yeh manzar nama zard azeem paharoon kaa
dhoop khili palkoon kay opar, baraf jami hai ankhon mein
mein nay aik novell likha hai anay wali subah kay naam
kitni ratoon jaaga hon, neend bhari hai ankhoon mein

·
4 Like ·
May 12, 2021 at 14:05
Category: 0
Poetry / Sad
Amjad Z
Kya Khabar Thi Is Tarah Se Wo Juda Ho Jayega
KYA KHABAR THI IS TARAH SE WO JUDA HO JAYEGA
KHWAB MEIN BHI USKA MILNA KHWAB SA HO JAYEGA
DOST BANKAR JISKO CHAHA YEH MAGAR SOCHA NA THA
DOSTI HI DOSTI MEIN WO KHUDA HO JAYEGA
USKA JALWA HOGA KYA JISKA KI PARDA NOOR HAI
JO BHI DEKH LEGA USKO WO FIDA HO JAYEGA
JINDGI KI KAID-E-GAM SE KYA NIKALOO AB USE
MAUT JAB AAYEGI TO KHUD RIHA HO JAYEGA

3 Like ·
Dec 17, 2018 at 15:12
Category: sad
Advertisement
Jokes / Miscellaneous
Farhan Bilal
Eik Larki Thi Dewani Si
Eik larki thi chichori si, Eik larko ko line deti thi, Nazrain juhka kay sharma kay,Markit say guzra karti thi,chori chori, chupkay chupkay, Email likha karti thi, Kuch khana tha shayid us ko, Janay kis say pati thi, Jub bhi milti thi mujh say, Mujh say kaha karti thi, Date par kab chalo gay, Tum date par kab chalo gay, Aur main sirf yeah hi khay pata tha.
Abay chal na yaar patli gali say rasta naap, Kyonn tame barbad karti hai.
Abay chal na yaar patli gali say rasta naap, Kyonn tame barbad karti hai.
·
2 Like ·
Nov 29, 2018 at 00:11
Category: miscellaneous
Jokes / Miscellaneous
Haseeb Raza
Chandani Raat Thi
chandani raat thi
woh mery saath thi
main uss kr upper tha
woh mery neechey thi
yaroo ghabraty kion ho
woh koi larki nahi
meri honda bike thi
woh mery saath thi
main uss kr upper tha
woh mery neechey thi
yaroo ghabraty kion ho
woh koi larki nahi
meri honda bike thi
·
2 Like ·
Nov 17, 2018 at 20:11
Category: miscellaneous
Jokes / Miscellaneous
Sehar Saeed
Ik Bili Badi Tezi Say Bhag Rahi Thi
ik bili badi tezi say bhag rahi thi ik admi os say poshta hai k kia hoa woo kehti haik sher ma ik kotay k katal hoa hai or police walay mugh par shak kar rahay hai.
·
0 Like ·
Nov 09, 2018 at 17:11
Category: miscellaneous
Poetry / Love
Abdul Rasheed
Pyaar Tha, Mohabbat Thi, Ishq Tha, Ada Thi
pyaar tha, mohabbat thi, ishq tha, ada thi
ik wafa bhi hoti to qayama tha woh shakhs
ik wafa bhi hoti to qayama tha woh shakhs
·
4 Like ·
Oct 26, 2018 at 20:10
Category: love
Poetry / General
Shaheen Fatima
Kaghaz Ki Kashti Thi Paani Ka Kinara Tha.
Kaghaz ki kashti thi paani ka kinara tha
Khelne ki masti thi dil ye awaara tha
Kahan aagaye is samajhdari k daldal mein
Wo nadaan bachpan bhi kitna pyara tha..
Khelne ki masti thi dil ye awaara tha
Kahan aagaye is samajhdari k daldal mein
Wo nadaan bachpan bhi kitna pyara tha..
·
0 Like ·
Oct 01, 2018 at 08:10
Category: general
Poetry / Sad
Memoona Aqeel
Jahan Se Chali Thi Waheen Pe Kharri Hoon
Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon,
Mein teri mohabbat ki aesi gharri hoon,
Tere hath mein thi mohabbat ki gurriya,
Jahan pe rakha tha waheen pe parri hoon,
Tujhe bhool janey ka socha tha lekin,
Barri dair tak aaj khud se larri hoon,
Tere sang barish mein chhatri ke neechey,
Mujhe yoon laga jese mein bhi jharri hoon,
Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar,
Atoot ang hoon zindagi ki karri hoon,
Mera bachpna-pan hai mohabbat mein shamil,
Mohabbat mein qadd se zeyada barri hoon..

Sep 20, 2018 at 10:09
Category: sad
Quotes / Urdu Quotes
Wafa Chaudhry
Moat Ye Nahin Thi.
·
2 Like ·
Sep 14, 2018 at 18:09
Category: urdu-quotes
Poetry / Sad
Iqra Raheem
Zikr E Shab E Firaq Se Wahshat Usey Bhi Thi.
Zikr-e-shab-e-firaq se wahshat usey bhi thi
Meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi
Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka
Rasta badal ke chalane ki adat usey bhi thi
Us raat dair tak wo raha mahw-e-guftaguu
Masroof main bhi kam tha faraGhat usey bhi thi
Mujh se bichhar ke shehar mein ghul mil gaya wo shaKhs
Halanke shahar bhar se raqabat usey bhi thi
Woh mujh se barh ke zabt ka adi tha jee gaya
Warna har ek sans qayamat usey bhi thi
Sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zaroorat usey bhi thi
Tanha huwa safar mein tu mujh pe khula yeh bhaid
Saye se pyar, dhoop se nafrat usey bhi thi
Mohsin mein ousse keh na saka yun bhi haal-e-dil
Dar pesh aik tazaa musibat usey bhi thi.

Aug 26, 2018 at 16:08
Category: sad
Sponored Video