Search
Poetry / Sad
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Sharmatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Raakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat He Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Sharmatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Raakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat He Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
·
2 Like ·
Jul 19, 2017 at 03:07
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Bujhta Huwa Diya Ye Saza De Gaya Mujhay
bujhta huwa diya ye saza de gaya mujhay
mai shola e junoon tha, hawa de gaya mujhay
mai lehlahaati shakh ko samjha tha zindagi
patta gira to dars e fana de gaya mujhay
sooraj ki chund jaagti kirnon ka qafila
khwabeeda manzilon ka pata de gaya mujhay
khushboo ka aik narm sa jhonka bahaar mai
guzray huway dinon ki sada de gaya mujhay
merey liye to saans bhi laina mahaal hai
ye kaun zindagi ki dua de gaya mujhay
mai khamoshi ka paikar e be rang tha "SEHAR"
ik shakhs bolnay ki ada de gaya mujhay

1 Like ·
Mar 20, 2017 at 12:03
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Aisee Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia
Aisee bhi mohabbat ki saza deti hai dunia
mar jaye tu jenay ki dua deti hai dunia
hum kon say momeen thay jo ilzam na sehtay
pather ko bhagwan bana deti hai dunia
ye zakham mohabbat ka hai dikhnana na kisi ko
La kar saray bazar saja deti hai dunia
Qismat per karo naz na itna bhi faqeero
haton ki lakeeron ko mita deti hai dunia
marnay kay liye majboor tu karti hai ye lekin
Jeenay kay tareeqay bhi sekha deti hai dunia

Dec 18, 2016 at 17:12
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Saza Pe Chhor Diya Jaza Pe Chhor Diya
Saza Pe Chhor Diya Jaza Pe Chhor Diya
Har Ek Kaam Hum Ne Khuda Pe Chhor Diya
Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chhor Diya
Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chhor Diya
Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Misl Dua Ka Tha Dua Pe Chhor Diya
Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhor Diya……!! !

Sep 28, 2016 at 10:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Ko Na Bana Lain Woh Saza Mere Baad
zindagi ko na bana lain woh saza mere baad
hosla dena unhain mere Khudaa mere baad
haath uThate hue un ke na koi daikhe gaa
kis ke aane kii karain ge vo duaa mere baad
kaun ghooNghaT ko uThaaye gaa sitamgar keh kar
aur phir kis se karain ge vo haya mere baad
phir zamaane main muhabbat ki na pursish ho gi
roye gi siskiyaaN le le ke vafaa mere baad
Woh jo kehta tha ke 'Nasir' ke liye jiitaa hon
Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad

Jul 23, 2016 at 22:07
Category: sad
Poetry / Sad
Zindagi Ko Na Bana Lain Woh Saza Mere Baad
zindagi ko na bana lain woh saza mere baad
hosla dena unhain mere Khudaa mere baad
haath uThate hue un ke na koi dekhega
kis ke aane kii karain ge vo duaa mere baad
kaun ghonghat ko uthaye ga sitamgar keh kar
aur phir kis se karain ge vo haya mere baad
phir zamaane main muhabbat ki na pursish ho gi
royegi siskiyaaN le le ke vafaa mere baad
Woh jo kehta tha ke 'Nasir' ke liye jiitaa hon
Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad ,

Jul 20, 2016 at 07:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Koi Achi Si Saza Do Mujhko
Koi achi si SAZA do mujhko
Chalo aisa karo BHULA do mujhko
Apne DIL mein basi TASVIR meri
Aisa karo JALA do usko
Meri WAFA peh agar SHAK hai tumko
To phir NAZAR say gira do mujhko
Muddat hogai hai tere HIJR mein jaagtey huey
Apni saanso ki HARARAT say sula do mujhko
Kuch to TARAS karo apne DIWANE par
JAAM na sahi ZEHAR hi pila do mujhko
Tum se bichhron to MOUT aa jaye mujhko
Dil ki Gehrayon say aisi DUA do mujhko

Feb 17, 2016 at 05:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bejurm Saza
Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise
Saath Chal Mauj-E-Saba Ho Jaise
Log Yun Dekh Kar Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise
Ishq Ko Shirk Ki Had Tak Na Barhaa
Yun Na Mil Hamse Khuda Ho Jaise
Maut Bhi Aai To Is Naaz Ke Saath
Mujh pe Ehasan Kiya Ho Jaise
Aise A.Njaan Bane Baithe Ho
Tum Ko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise
Hichakiyaan Raat Ko Aati Hi Rahin
Tu Ne Phir Yaad Kiya Ho Jaise
Zindagi Beet Rahi Hai "Daanish"
Ek Bejurm Sazaa Ho Jaise
Saath Chal Mauj-E-Saba Ho Jaise
Log Yun Dekh Kar Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise
Ishq Ko Shirk Ki Had Tak Na Barhaa
Yun Na Mil Hamse Khuda Ho Jaise
Maut Bhi Aai To Is Naaz Ke Saath
Mujh pe Ehasan Kiya Ho Jaise
Aise A.Njaan Bane Baithe Ho
Tum Ko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise
Hichakiyaan Raat Ko Aati Hi Rahin
Tu Ne Phir Yaad Kiya Ho Jaise
Zindagi Beet Rahi Hai "Daanish"
Ek Bejurm Sazaa Ho Jaise
·
1 Like ·
Oct 13, 2015 at 16:10
Category: sad
Poetry / Poetry Sms
Zindagi Jaise Ek Saza Si Ho Gayee Hai
Zindagi jaise ek saza si ho gayee hai
gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai
tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri
mujhe shayad tumhari aadat si ho gayee hai
gham ke saagar mein is qadar kho gayee hai
tum aa jao waapis yeh guzaarish hai meri
mujhe shayad tumhari aadat si ho gayee hai
·
1 Like ·
Jul 06, 2015 at 11:07
Category: poetry-sms
Sponored Video