Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Per Ataab Rehnay Do
Zindagi per Ataab rehnay Do
Rat jagon ka Azaab rehnay Do
Zikar chero wisaal ka ab to
Hijjar ka iztaraab rehnay Do
Itna kafi hai tum humaray ho
Doosron ko janab rehnay Do
Koi tabeer ho na ho un ki
Meri ankhon mein khuwab rehnay Do
Tum se sailaab ruk nahi saktay
Bastiyaan zair-e-aab rehnay Do
Tum khizaan ka paigaam laye ho
Phir bhi ek do gulaab rehnay Do
Ab na plto naya warq koi
Band ghum ki kitaab rehnay Do
Rat jagon ka Azaab rehnay Do
Zikar chero wisaal ka ab to
Hijjar ka iztaraab rehnay Do
Itna kafi hai tum humaray ho
Doosron ko janab rehnay Do
Koi tabeer ho na ho un ki
Meri ankhon mein khuwab rehnay Do
Tum se sailaab ruk nahi saktay
Bastiyaan zair-e-aab rehnay Do
Tum khizaan ka paigaam laye ho
Phir bhi ek do gulaab rehnay Do
Ab na plto naya warq koi
Band ghum ki kitaab rehnay Do
·
1 Like ·
Feb 03, 2017 at 09:02
Category: sad
Poetry / Love
Asar Dil Per Karay Shikwa
Asar dil per karay shikwa
shikayat ho to aisi ho
Galay lag kar koi roye
Nadamat ho to aisi ho
yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein
Aziat ho to aisi ho
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapkay
talluq ho to aisa ho
MUHABAT ho to aisi ho
shikayat ho to aisi ho
Galay lag kar koi roye
Nadamat ho to aisi ho
yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein
Aziat ho to aisi ho
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapkay
talluq ho to aisa ho
MUHABAT ho to aisi ho
·
1 Like ·
Nov 08, 2016 at 05:11
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil Ki Baat Labon Per Laakar Ab Tak Ham Dukh Sehtay Hain
Dil Ki Baat Labon Per Laakar Ab Tak Ham Dukh Sehtay Hain
Ham Ne Suna Tha Is Basti Mein Dil Waale Bii Rahte Hain
Beet Gaya Saawan Ka Mahina Mausam Ne Nazren Budlin
Lekin In Pyaasi Aankhon Mein Ab Tak Aansuu Bahte Hain
Aik Humain Aawaara Kahna Koi Bara Ilzaam Nahin
Duniya Waale Dil Waalon Ko Aur Bahut Kuchh Kahte Hain
Jis Kii Khaatir Shahar Bhi Chhora Jis Ke Liye Badnaam Hue
Aaj Wohi Ham Se Begaane Begaane Se Rahte Hain
Woh Jo Abhi Is Raahguzar Se Chaak E Garebaan Guzra Tha
Us Aawaara Diwaane Ko Jalib Jalib Kahte Hain.

Sep 13, 2016 at 16:09
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Kisi Morr Per...
Milay kab they hum kisi mod per na ussay khaber na mujhe khaber
K khayal-o-khawab ka tha safer,na ussay khaber na mujhe khaber
Na woh saan main na guman main , na salam tha na payam tha
Kisay kis nay dekha tha chonk ker,na ussay khaber na mujhe khaber
Dar-e-dil pay naram see dastakein , kisay roktay kisay tokatay
Woh mehak thi jan main gai utar,na ussay khaber na mujhe khaber
Kabhi uss kay seenay main mera dil , bada natawaan , bada muzmahal
Meray rukh pay uss ki hai chashm-e-ter,na ussay khaber na mujhe khaber
Dil muztarab, rahin kab talak kisi bay khaber kay khayal main
Kisay dhoondatay rahin umer bhar,na ussay khaber na mujhe khaber
Kabhi kho gay sabhi rastay kabhi rastoon say palat gay
Kahan uss ka ghar,kahan mera ghar,na ussay khaber na mujhe khaber
They nazar main ajnabi rastay to yeh kaisay aa gaya yak ba'yk
Sir-e-rah chahtoon ka nager,na ussay khaber na mujhe khaber.....!!!!,

May 13, 2016 at 08:05
Category: general
Social Wall / Photos
Aras Rahes
Aap Per Lakhon Durood Our Salaam.
·
1 Like ·
Mar 11, 2016 at 11:03
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ai Dil Un Ankhoon Per Na Ja
Ai Dil Un Ankhoon Per Na Ja
Jin Mein Wafoor-E-Ranj Hai
Kuch Dair Ko Tere Liye
Ansoo Agar Lehra Gaye
Yeh Chand Lamhoon Ki Chamak
Jo Tujh Ko Pagal Ker Gai!
In Jugnuon Ke Noor Se
Chamki Hai Kab Woh Zindagi
Jis Ke Muqadar Mein Rahi
Subh-E-Talb Se Teergi
Kis Sooch Mein Gum-Sum Hai Tu
Ai Be-Khabar! Nadaan Na Ban
Teri Fusarda Rooh Ko
Chahat Ke Kantoon Ki Talab
Aur Us Ke Daman Main Faqt
Humdardion Ke Phool Hein
Jin Mein Wafoor-E-Ranj Hai
Kuch Dair Ko Tere Liye
Ansoo Agar Lehra Gaye
Yeh Chand Lamhoon Ki Chamak
Jo Tujh Ko Pagal Ker Gai!
In Jugnuon Ke Noor Se
Chamki Hai Kab Woh Zindagi
Jis Ke Muqadar Mein Rahi
Subh-E-Talb Se Teergi
Kis Sooch Mein Gum-Sum Hai Tu
Ai Be-Khabar! Nadaan Na Ban
Teri Fusarda Rooh Ko
Chahat Ke Kantoon Ki Talab
Aur Us Ke Daman Main Faqt
Humdardion Ke Phool Hein
·
1 Like ·
Feb 05, 2016 at 01:02
Category: sad
Poetry / 0
Hazaroo Azmatey Quraban Us Daman Ki Azmat Per
HAZAROO AZMATEY QURABAN US DAMAN KI AZMAT PER
JO MAJBOORI KE AALAM MEIN BHI PHELAYA NAHI JATA
FAQEERI ME BHI MUJH KO MANGNE ME SHARM AATI HAI
SAWALI HO KE MUJH SE HAATH PHELAYA NAHI JATA
JUDA KISI SE KISI KA HABEEB NA HO
YE DaAG WO HAI JO DUSHMAN KO BHI NASEEB NA HOO
HUM TUJHE BHooL GAYE HAY TERI SADA DILLII
KOI TAIYER KABHI BHOLA HAI NASHEMAN APNA
DEKH LE BULBUL O PARWANA KI BETAABI KO
HIJAR ACHA NA HASEENO KA WISAL ACHA HAI
KAMZARF SE RAKHTE HAI UMEEDE WAFA NADAA
BeHTay HUYE PAANI PE TASWEER BANA TE HAin

Apr 11, 2015 at 17:04
Category: 0
Articles / Health
Ijunoon
Jism K Mudafiyati Nizaam Se Cancer Per Control
برطانیہ کی کیمبرج یونیورسٹی کے طبی ماہرین نے وہ نظام تلاش کرلیا ہے جس کے تحت کینسر کی رسولیاں خود کو جسم کے قدرتی دفاعی نظام سے محفوظ رکھتی ہیں۔سائنسی و طبی محققین اب ایک ایسی ویکسین تیار کرنے کے قریب...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Feb 05, 2015 at 19:02
Category: health
Sponored Video