Search
Poetry / Love
Reh Reh K Dil Tarpaye Ga (pak Old)
Hansti hui aankhon ka kajal
Urti hui zulfon ka baadal
Reh reh k dil tarpaye ga
Jab jab meri yaad aye gi
Itna pyaar kiya hay tum se
Bhulo kabhi mumkin hi naheen hay
Jab bhi poukara pyaar se tum ne
Muj ko apne dil pe yaqeen hay
Samne mera saya ho ga
Jab jab meri yaad aye gi
Chhup jaoun gi in palkoon main
Bas jaoun gi main sansoon main
Jin raahon pe tum jao ge
Muj ko pao ge un raahon main
Qadmon main dil a jaye ga
Jab jab meri yaad aye gi
Urti hui zulfon ka baadal
Reh reh k dil tarpaye ga
Jab jab meri yaad aye gi
Itna pyaar kiya hay tum se
Bhulo kabhi mumkin hi naheen hay
Jab bhi poukara pyaar se tum ne
Muj ko apne dil pe yaqeen hay
Samne mera saya ho ga
Jab jab meri yaad aye gi
Chhup jaoun gi in palkoon main
Bas jaoun gi main sansoon main
Jin raahon pe tum jao ge
Muj ko pao ge un raahon main
Qadmon main dil a jaye ga
Jab jab meri yaad aye gi
·
1 Like ·
Apr 07, 2015 at 12:04
Category: love
Poetry / Love
Yeh Tumare Gham K Chirag Hain (pak Old)
Kabhi aah lab pe machal gayi
Kabhi ashq aankh se dhal gaye
Yeh tumare gham k chrag hain
Kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
Main khayaal_o_khuwab ki mahfilen
Na baqadre shoq saja saka
Teri ek nazar k sath hi
Mere sab iraade badal gaye
Jo fana huwe gham e ishq main
Unhain zindagi ka na gham huwa
Jo na apni aag main jal sake
Woh parayi aag main jal gaye
Tha unhain bhi meri tara junoon
To phir un main muj main yeh farq kyun
Main greft_e_gham se na bach saka
Woh hadoud gham se nikal gaye
Yeh tumare gham k chrag hain
Kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
Kabhi aah lab pe machal gayi
Kabhi ashq aankh se dhal gaye
Kabhi ashq aankh se dhal gaye
Yeh tumare gham k chrag hain
Kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
Main khayaal_o_khuwab ki mahfilen
Na baqadre shoq saja saka
Teri ek nazar k sath hi
Mere sab iraade badal gaye
Jo fana huwe gham e ishq main
Unhain zindagi ka na gham huwa
Jo na apni aag main jal sake
Woh parayi aag main jal gaye
Tha unhain bhi meri tara junoon
To phir un main muj main yeh farq kyun
Main greft_e_gham se na bach saka
Woh hadoud gham se nikal gaye
Yeh tumare gham k chrag hain
Kabhi bujh gaye kabhi jal gaye
Kabhi aah lab pe machal gayi
Kabhi ashq aankh se dhal gaye
·
2 Like ·
Apr 07, 2015 at 06:04
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Jeenay Ki Tamana Koun Kare (pak Old)
Marne ki duayeen kyun mangon
Jeene ki tamana koun kare
Yeh duniya ho ya woh duniya
Ab khuwaish e duniya koun kare
Jo aag lagayi thi tum ne
Us ko to bujhaya ashkon ne
Jo ashkoon ne bharkayi hay
Us aag ko thanda koun kare
Jab kashti sabit_o_salim thi
Sahil ki tamana kis ko thi
Ab asi shikesta kashti par
Sahil ki tamana koun kare
Duniya ne humain chhora ae dil
Hum chhoor na den kyun duniya ko
Duniya ko samjh kar bathe hain
Ab duniya duniya koun kare
Jeene ki tamana koun kare
Yeh duniya ho ya woh duniya
Ab khuwaish e duniya koun kare
Jo aag lagayi thi tum ne
Us ko to bujhaya ashkon ne
Jo ashkoon ne bharkayi hay
Us aag ko thanda koun kare
Jab kashti sabit_o_salim thi
Sahil ki tamana kis ko thi
Ab asi shikesta kashti par
Sahil ki tamana koun kare
Duniya ne humain chhora ae dil
Hum chhoor na den kyun duniya ko
Duniya ko samjh kar bathe hain
Ab duniya duniya koun kare
·
1 Like ·
Apr 07, 2015 at 00:04
Category: love
Poetry / Love
Neele Neele Amber (Pak Old) By M.Ali S...
Neele neele amber par
Chaand jab aye pyaar barsaye
Hum ko tarsaye
asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Unche unche parbat
Jab chumte hain amber ko
Piyasa piyasa amber
Jab chumta hay sagar ko
Pyaar se kasne ko
Bahoon main basne ko
Dil mera lalchaye
Koy to a jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Thande thande jhonke
Jab baloon ko sehlayeen
Tapti tapti kirneen
Jab galoon ko chu jayeen
Sanson ki garmi ko
Hathon ki narmi ko
Mera mann tarsaye
Koy to chu jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Cham cham karta sawan
Boondon k baan chalaye
Satrangi barsaton main
Jab tan man bhiga jaye
Pyaar main nahane ko
Duub hi jane ko
Dil mera tarpaye
Khuwab jaga jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Neele neele amber par
Chaand jab aye pyaar barsaye
Hum ko tarsaye
asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Unche unche parbat
Jab chumte hain amber ko
Piyasa piyasa amber
Jab chumta hay sagar ko
Pyaar se kasne ko
Bahoon main basne ko
Dil mera lalchaye
Koy to a jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Thande thande jhonke
Jab baloon ko sehlayeen
Tapti tapti kirneen
Jab galoon ko chu jayeen
Sanson ki garmi ko
Hathon ki narmi ko
Mera mann tarsaye
Koy to chu jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Cham cham karta sawan
Boondon k baan chalaye
Satrangi barsaton main
Jab tan man bhiga jaye
Pyaar main nahane ko
Duub hi jane ko
Dil mera tarpaye
Khuwab jaga jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Neele neele amber par
·
1 Like ·
Apr 06, 2015 at 17:04
Category: love
Poetry / Love
Bewafa Sangdil (pak Old)
Tera kisi pe aye dil
Tera koy dukhaye dil
Tu bhi kaleja thaam kar
Muj se kahe k haye dil
Tera bhi dil KHUDA kare
Mere liye ho bekaraar
Tu bhi tarap tarap uthe
Asi chale hawaye dil
Neend na aye raat bhar
Bhatke idar udhar nazar
Chain ki ho duaa magar
Chain kaheen na paye dil
Tere bhi dil main dard ho
Tera bhi chaira zard ho
Meri tara na mil sake
Tuj ko kaheen dawaye dil
Tera koy dukhaye dil
Tu bhi kaleja thaam kar
Muj se kahe k haye dil
Tera bhi dil KHUDA kare
Mere liye ho bekaraar
Tu bhi tarap tarap uthe
Asi chale hawaye dil
Neend na aye raat bhar
Bhatke idar udhar nazar
Chain ki ho duaa magar
Chain kaheen na paye dil
Tere bhi dil main dard ho
Tera bhi chaira zard ho
Meri tara na mil sake
Tuj ko kaheen dawaye dil
·
1 Like ·
Mar 22, 2015 at 08:03
Category: love
Poetry / Love
Yun ruth nah gori muj se
Dil tuut gaya tu tuj se
Jora nah jaye ga
Tu chhor k jis ko chal de
Chahat to naheen woh daman
Zanjeer naheen hay lekin
Yeh piyar hay aisa bandhan
Tu chahe bhi to tuj say
Tuj se tora nah jaye ga
Yeh piyar naheen woh kajal
Jo aankhon main chhup jaye
Yeh sath naheen woh mahndi
Jo hathon se chhut jaye
Yeh sath kabhi bhi tuj say
Tuj se chhora nah jaye ga
Jo aaj ko tu ne khoya
To baad main ho ga sadma
Yeh baat bhi sun le meri
Jo beet gaya woh lamha
Aanchal ki tara phir tuj say
Tuj se mora nah jaye ga
Yun Ruth Na Gori Muj Se (pak Old)
Yun ruth nah gori muj se
Dil tuut gaya tu tuj se
Jora nah jaye ga
Tu chhor k jis ko chal de
Chahat to naheen woh daman
Zanjeer naheen hay lekin
Yeh piyar hay aisa bandhan
Tu chahe bhi to tuj say
Tuj se tora nah jaye ga
Yeh piyar naheen woh kajal
Jo aankhon main chhup jaye
Yeh sath naheen woh mahndi
Jo hathon se chhut jaye
Yeh sath kabhi bhi tuj say
Tuj se chhora nah jaye ga
Jo aaj ko tu ne khoya
To baad main ho ga sadma
Yeh baat bhi sun le meri
Jo beet gaya woh lamha
Aanchal ki tara phir tuj say
Tuj se mora nah jaye ga
·
1 Like ·
Mar 22, 2015 at 02:03
Category: love
Poetry / 0
Abdul Rahman
Khawab (pak Old)
Khawab ki tarha bikhar jane
ko je chahata hay
Aisi tanhayi k mar jane
ko je chahata hay
Duub jaoun to koy mouj
Nishaan tak na bataye
Asi nadia main utar jane
ko je chahta hay
Ghar ki wehishat se larazta houn
Magar jane kyun
Shaam hoti hay to ghar jane
ko je chahta hay
ko je chahata hay
Aisi tanhayi k mar jane
ko je chahata hay
Duub jaoun to koy mouj
Nishaan tak na bataye
Asi nadia main utar jane
ko je chahta hay
Ghar ki wehishat se larazta houn
Magar jane kyun
Shaam hoti hay to ghar jane
ko je chahta hay
·
1 Like ·
Mar 17, 2015 at 17:03
Category: 0
Poetry / Love
Dhoond rahi theen jane kab se
Teri surat meri aankheen
Sath raheen ge saya ban k
Teri surat meri aankheen
Kaisa darna phir duniya se
Maang liya jab tuj ko KHUDA se
Karti raheen gi pyaar ko sajde
Teri surat meri aankheen
Armanon ne li angrayi
Goonj uthi dil main shehnayi
Le ayi muj ko manzil pe
Teri surat meri aankheen
Duniya chute sath na chute
Har shay tute pyaar na tute
Sath raheen humrahi ban k
Teri surat meri aankheen
Maang Liya Jab Tuj Ko Khuda Se (pak Old)
Dhoond rahi theen jane kab se
Teri surat meri aankheen
Sath raheen ge saya ban k
Teri surat meri aankheen
Kaisa darna phir duniya se
Maang liya jab tuj ko KHUDA se
Karti raheen gi pyaar ko sajde
Teri surat meri aankheen
Armanon ne li angrayi
Goonj uthi dil main shehnayi
Le ayi muj ko manzil pe
Teri surat meri aankheen
Duniya chute sath na chute
Har shay tute pyaar na tute
Sath raheen humrahi ban k
Teri surat meri aankheen
·
2 Like ·
Mar 06, 2015 at 03:03
Category: love
Sms / Love
Bushra Shah
People & Things
People are made to be loved and things r made to b used. But there--s so much chaos in this world, coz people r being USED and things r being LOVED.!
·
1 Like ·
Feb 16, 2015 at 03:02
Category: love
Sponored Video