Search
Quotes / Urdu Quotes
Arsalan Ahmed
Jiss Shakhs Me Insaniyat Nahe
jiss shakhs me insaniyat nahe uss ka koi mazhab nahe
·
3 Like ·
Oct 17, 2018 at 11:10
Category: urdu-quotes
Poetry / Sad
Kashif Qureshi
Isee Liye To Mera Zakham Bhar Nahe Pata.
Isee liye to mera zakham bhar nahe pata
Keh mere paas mukamal tu aa nahe jata..!
Tere bagair bhi gulshan ma ja nikalta hun
Gullon ka rang magar ab mujhy nahe bhata..!
Hazar tarkk_e_talluk ki main karun koshish
Ye dard_e_ishq mujhy chor kar nahe jata..!
Gaye wo din ky wo milta tha roz roz mujhy
Humari galion main aksar wo ab nahe ata..!
Jo chor jata hy rah_e_wafa muhobat main
Wo jee to leta hy lakin sakun nahe ata..!

1 Like ·
Sep 26, 2018 at 15:09
Category: sad
Advertisement
Social Wall / Photos
Ijunoon
Ab Tou Mera Love Letter Nahe Phaar Sakti
ab tou mera love letter nahe phaar sakti
·
1 Like ·
May 25, 2018 at 20:05
Category: photos
Poetry / General
Maleeha Bukhari
Hamesha Hi Nahe Rehtay Kabhi Chehray Naqabon Mein
hamesha hi nahe rehtay kabhi chehray naqabon mein
sabhi qirdaar khultay hian kahani khatam honay par
sabhi qirdaar khultay hian kahani khatam honay par
·
2 Like ·
Mar 21, 2018 at 03:03
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Ab Kisi Haal Par Nahe Aati
ab kisi haal par nahe aati
qoum hartaal par nahi aati
dukh sahy mein chala he jata hon
baat sasural par nahi aati
kiyon hai aati mithaas par makhi
lobh raal par nahi aateen
haan woh khwaja sira nahi lekin
resh bhi gaal par nahi aati
dukhtar molvi say shadi ki
murgh say daal par nahi aati
ab murree he bhi yaroo
q meri khal par nahi aati
choor ko bandh lay chalo thaanay
plus hai cal par nahi aati
jab harap kar chuki woh maal maraa
ab kise maal par nahi aati
qoum tou so gayi k bedaari
yom iqbal par nahi aati
is ki tan tan suni nahi jo gayi
baat gharyaal par nahi aati
qoum hartaal par nahi aati
dukh sahy mein chala he jata hon
baat sasural par nahi aati
kiyon hai aati mithaas par makhi
lobh raal par nahi aateen
haan woh khwaja sira nahi lekin
resh bhi gaal par nahi aati
dukhtar molvi say shadi ki
murgh say daal par nahi aati
ab murree he bhi yaroo
q meri khal par nahi aati
choor ko bandh lay chalo thaanay
plus hai cal par nahi aati
jab harap kar chuki woh maal maraa
ab kise maal par nahi aati
qoum tou so gayi k bedaari
yom iqbal par nahi aati
is ki tan tan suni nahi jo gayi
baat gharyaal par nahi aati
·
1 Like ·
Jan 27, 2018 at 10:01
Category: general
Poetry / Sad
Ye Dil Bhulata Nahe Hai Mohabbatain Uski
Ye Dil Bhulata Nahe Hai Mohabbatain Uski
Padi Howi Theen Mujhe Kitni Aadatain Uski
Ye Mera Saara Safar Oski Khushbuu Mein Kta
Mujhe Tou Raah Dikhati Theen Chahatain Uski
Ghiri Howi Hun Mein Chehron Ki Bheer Mein Laikin
Kaheen Nazar Nahee Aati Shabahatain Uski
Mein Dard Se Ronay Lagi Hun Tou Aisa Lagta Hai
Ke Chhaon Jaisi Theen Mujh Par Rafaqatain Uski
Ye Kis Gali Mein Ye Kis Sheher Mein Nikl Aaye
Kahan Pe Reh Gayein Loogon Sadaqatain Uski?
Mein Baarishon Mein Juda Ho Gayi Hun Os Se Magar
Ye Mera Dil, Meri Saansain Amanatain Uski...!

Nov 01, 2017 at 10:11
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Khabar Bhe Thee K Hawayein Wafa Nahe Kartein
Dilon mei phir se nayi Chahatein saja bethay
Galay mile to sabhi Ranjishein bhula bethay
Woh jisko pyar ka Mafhoom tak nahe maloom
Usi k dar pe he kion Jan-o-Dil luta bethay
Khabar bhe thee k Hawayein wafa nahe kartein
Unhi k dosh per phir kion Diya jala bethay
Yeh nahi qurb mei Be Ikhtiar rotay hain
Jo baat dil ne chupayi wohi bata bethay
Jo patharon k hawale se Moatbar hai bohat
Hum usi sheher mei Sheeshay ka ghar bana bethay

May 08, 2017 at 12:05
Category: sad
Poetry / Love
Kabi Tu Moheet E Hawaas Tha, So Nahe Raha
KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BEGHAER UDAAS THA, SO NAHE RAHA
MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA
TERI DASTARAS MEIN THEN BAKHSHESHAIN, SO NAHE RAHA
MRY LAB PE HARF-E-PAAS THA, SO NAHE RAHA
MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN BHI CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA
MRY BAT NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LUTF-E-KHOF O HIRAS THA, SO NAHE RAHA

Dec 25, 2016 at 06:12
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zinda Hon Is Tarah K Ghum E Zindagi Nahe
Zinda hon is tarah k GHUM-E-ZINDAGI nahe
Jalta hua diya hon magar ROSHNI nahe
Wo muddatein hoi hain kisi se JUDA huwe
Lekin yeh Dil ki aag abhi tak BUJHI nahe
Aane ko aa chuka tha KINARA b samne
Khud uske pas meri he NAYYA gai nahe
Honton k pas aaye hansi‚ kya MAJAL hai
Dil ka muamla hai koi DILLAGI nahe
Yeh CHAND yeh HAWA yeh FIZA‚ sab hai maand maand
Jo Tu nahe to in mei koi DIL-KASHI nahe..........
,

May 15, 2016 at 06:05
Category: sad
Poetry / Political
Muzammil Shahzad
Nahe Hen Hm Juda Ye Watan Hamara Hy
Otho Otho K Inkelab Lana Hy
Ye Apna Watan Hy Isay Ham Ny He Bachana Hy
Jala Dia Hy Isy Behasi K Maro Ny
Isay Ham Ny He Pholon Sy Sajana Hy
Hamary Mazhab Ko Badnam Kerny Ki Jo Sazish Hy
Usi Sazish Ko Nakam Ham Ny Kerna Hy
Chalo Chalo K Dushmano Ko Jatana Hy
Nahe Hen Hm Juda Ye Watan Hamara Hy
Chalo Phir Ehad Karo Is Shehr E Watan Ki Khatir
Lahu Ka Ik Ik Qatra Hamay Bahana Hy
Nahi Hen Ham Juda Ye Watan Hamara Hy

Sep 19, 2015 at 12:09
Category: political
Sponored Video