Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tu Mera Naam Na Poocha Kar
Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon
Main Teri Soch Main Shamil Hoon
Main Teri Neend Ka Qissa Hoon
Main Tery Khawab Ka Haasil Hoon
Main Teri Yaad Ka Mehver Hoon
Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon
Tu Manzar,Main Pas-Manzar Hoon
Main Lamha Hoon,Main Jazba Hoon
Jazby Ka Koi Naam Nahi..
Tu Mera Naam Na Poocha Ker!!!!
Main Teri Soch Main Shamil Hoon
Main Teri Neend Ka Qissa Hoon
Main Tery Khawab Ka Haasil Hoon
Main Teri Yaad Ka Mehver Hoon
Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon
Tu Manzar,Main Pas-Manzar Hoon
Main Lamha Hoon,Main Jazba Hoon
Jazby Ka Koi Naam Nahi..
Tu Mera Naam Na Poocha Ker!!!!
·
1 Like ·
Dec 07, 2015 at 02:12
Category: love
Poetry / Political
Main yeh kis key naam likhoon Jo alam guzar rahay hain
Meray shehar jal rahay hain, Meray log mar rahay hain
Koi ghuncha ho kay gul ho, Koi shaakh ho shajar ho
Woh hawa-e-gulistan hain kay sabhi bikhar rahay hain
Kabhi rehmatain thein nazil is hi khitta-e-zameen par
Wohi khitta-e-zameen hai kay aazaab uttar rahay hain
Wohi taroun ke jhurmat jo hawa main jhooltay thay
Woh fiza ko tak rahay hain tu aah bhar rahay hain
Koi aur to nahin hai pas-e-khanjar aazmai
Ham hi qatal ho rahay hain Ham hi qatal ker rahay hain
Muzammil Shahzad
Main Yeh Kis Key Naam Likhoon Jo Alam Guzar Rahay Hain
Main yeh kis key naam likhoon Jo alam guzar rahay hain
Meray shehar jal rahay hain, Meray log mar rahay hain
Koi ghuncha ho kay gul ho, Koi shaakh ho shajar ho
Woh hawa-e-gulistan hain kay sabhi bikhar rahay hain
Kabhi rehmatain thein nazil is hi khitta-e-zameen par
Wohi khitta-e-zameen hai kay aazaab uttar rahay hain
Wohi taroun ke jhurmat jo hawa main jhooltay thay
Woh fiza ko tak rahay hain tu aah bhar rahay hain
Koi aur to nahin hai pas-e-khanjar aazmai
Ham hi qatal ho rahay hain Ham hi qatal ker rahay hain
·
2 Like ·
Nov 06, 2015 at 21:11
Category: political
Advertisement
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Ami Aur Bhai K Naam
Wo Jo Humaray Dilon Per Raaj Kertay Thay
Apni Anmol Muhabat Say Humay Bhigoya Kertay Thay
Fasana E Dil Kisay Sunaian Hikayat Unhen Sunaya Kertay Thay
Reh Gai Bat Dil Main Ghum Un Kay Sath Bhulaya Kertay Thay
Dukh Hay Ab Humaray Sath nahi Wo Jo Dukh Main Bhi Muskaraya Kertay Thay
Rulaya Zindagi Nay Humain Wo Thanhayon Main Gul Khilaya Kertay Thay

Oct 21, 2015 at 06:10
Category: occassional-events
Social Wall / Photos
Muzammil Shahzad
Surah Fatiha K Naam
·
2 Like ·
Sep 28, 2015 at 07:09
Category: photos
Poetry / Love
Mohabbat naam ho jaye (Pak Old)
Abhi to dil main halki si
Khalish mahsos hoti hay
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Khayalon main yeh koun aya
Sitaroon ki chamak le kar
Mere shanoon pe bikhere hain
Yeh kis ki zulf k saye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Yeh kasi beykhudi hay
Dil main kaisa kaif chaya hay
Yeh meri jaagti aankhon main
Kaise khuwaab lahraye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Ruki hay zindagi ek
Muskarate morr pe a kar
Kaheen yeh muskarahat
Zindagi ka gham na ban jaye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Khalish mahsos hoti hay
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Khayalon main yeh koun aya
Sitaroon ki chamak le kar
Mere shanoon pe bikhere hain
Yeh kis ki zulf k saye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Yeh kasi beykhudi hay
Dil main kaisa kaif chaya hay
Yeh meri jaagti aankhon main
Kaise khuwaab lahraye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
Ruki hay zindagi ek
Muskarate morr pe a kar
Kaheen yeh muskarahat
Zindagi ka gham na ban jaye
Bohot mumkin hay kal is ka
Mohabbat naam ho jaye
·
1 Like ·
Jul 26, 2015 at 06:07
Category: love
Poetry / Poetry Sms
Dillagi Dosto K Naam Hoti Hai
Dillagi dosto k naam hoti hai
Dilldari dosto ki shaan hoti hai
Kahi bhi raho par rahoge dil me mere
Yahi sachchi dosti ki pehchaan hoti hai
Dilldari dosto ki shaan hoti hai
Kahi bhi raho par rahoge dil me mere
Yahi sachchi dosti ki pehchaan hoti hai
·
1 Like ·
Jun 05, 2015 at 13:06
Category: poetry-sms
Poetry / 0
Aamanat Rain
Tere Naam
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne Bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya
Mein hoon Gardishon ka maara huwa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Raston main ganwaa diya
Jiss ko samjha tha tu ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere Haath ki lakeer tha,usey tu ne haath se hi mita diya

May 07, 2015 at 10:05
Category: 0
Poetry / 0
Samra Mushtaq
Maa K Naam
Ye kamyabian ye ezzat
Ye naam tum say hai..
Khuda nay dia hai jo mukaam tum say hai.
Tumharey he dam say hein mery lahoo
Mein kheltay gulaab..
Mery wajood ka sara nizaam tum say hai.
Jahan Jahan hai meri dushmani
Sabab mein hon.
Jahan Jahan hai mera ehtraam tum say hai.
Kahein besaat_e_jaan
Aur mein khamosh nadaan
Ye meri jeet ka sab ehtmaam tum say hai.
I love u Maa

Apr 28, 2015 at 03:04
Category: 0
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujh Gum Naam Tak Nahi Pohancha
Abhi Fasana-E-Ishq anjaam tak nahi pohancha
Din hijr ka visl ki sham tak nahi pohancha
Jany kis raqèèb ko milty rahy payam tèry!
K koi khat mèry Dar-O-Bam tak nahi pohancha
Kia Bataon ay masèèha tèri masèèhai k Baad
Dard kuch kam to hua, aaram tk nahi pohancha
Ay SANAM! tèri Qasam! hum Sar Bhi Kataa dèty mgr!
K tèra hukam Jo tèry ghulam tk nahi pohancha
Bhala kis naam sè rakhy ga zmana yad mujhy,,
K koi naam abhi mujh gumnam tak nahi pohancha~...

Feb 23, 2015 at 03:02
Category: sad
Sponored Video