Search
Poetry / Sad
Phir Kisi Yad Nay Shab Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko
Dukh to yeh hay k zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko
Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehlo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko
kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko

·
2 Like ·
Aug 28, 2015 at 04:08
Category: sad
Poetry / 24
Abdul Ghaffar
Mujh Ko Raton Ki Siyahi Ke Siwa Kuch Na Mila
Mai wo nagma hon jise pyaar ki mahfil na mili
Wo musafir hon jise koi bhi manzil na mili
Zakham paye hain baharon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Kisi gaisu kisi anchal ka sahara hi nahi
Raste mai koi dhandla sa sitara hi nahi
Meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi

Dil me nakam ummidon ke basere paye
Roushi lene ko nikla to andhere paye
Rang aur noor ke dharon ki tamanna ki thi

Jo baat tujh me hai teri tasweer me nahi
Rangon me tera aks dhala na to dhal saki
Dilbar se pyaar ke shararon ki tamanna ki thi

Duniya me koi cheez nahi hai teri tarah
Phir ek bar aaja samene mere kisi tarah
Apne sanam se me ne bahanon ki tamanna ki thi

Poet :saaher loudhiyanwi

1 Like ·
Aug 02, 2015 at 09:08
Category: 24
Advertisement
Poetry / Poetry Sms
Mujh Mein Doob Jao K Meri Gehraiyon Ka Pata Chale
Mujh mein doob jao k meri gehraiyon ka pata chale
Mere dard ki shiddat meri tanhayon ka pata chale
Aise to har roz WAFA k naam par toote hain Dil
Mujh ko bhi chaho k meri Bewafaiyon ka pata chale
Ye or baat k lafz mere ho kr nahi rehte
Phir bhi pucho koi sawal k meri sachaiyon ka pata chale…..

Jul 03, 2015 at 09:07
Category: poetry-sms
Poetry / General
Mujh Se Kahta Hai Kabhi Dill Main Malal Aty Hain
Mujh se kahta hai kabhi dill main malal aty hain
Kasy kasy mery dushman ko sawal aty hain
Yah jo hum rootay hain chhup kar kabhi tanhai main
Rafta rafta tujhy ankhoon se nikaal aty hain
Hum mohabat pe Bhi ahsan koi rakhtay nahi
Nekiyan karty hain daryaoon main dall aty hain!!!

Jun 30, 2015 at 12:06
Category: general
Poetry / Sad
Meri Sanam Mujh Se Kyon Khafa Ho Gai
Meri Sanam Mujh se kyon Khafa Ho gai
Meri Kya Khataa thi, Bewafa Ho gai
Apne Dard-E-Dil Mujhko to Batati
Mujhko Teri Judai, ek Saza Ho gai.
Rukhsat tune apne dil se kyon kar diya
Bin kiye Shikayat, to Hawa Ho gai.
Khuwabo ka mahal mere ek pal mai tod dala
Itna na sata to, kya khuda ho gai.
Begana banake mujhko itna to rulati
Aansoo bahanaa mere, kya ada ho gai.
Maut mujhko deti haske Qubool karta
Arif ki jaan tujhpe, kyon fida ho gai...

Jun 11, 2015 at 23:06
Category: sad
Poetry / 0
Ya Rab Na Takht O Taj De Mujh Ko Na Maal De
YA RAB NA TAKHT O TAJ DE MUJH KO NA MAAL DE
INSANIYAT KA DARD MERE DIL ME DAAL DE
YE ALAG BAAT HAI K TAMEER NAHI HO SAKTE
WARNA HAR ZEHAN ME KUCH TAAJ MAHAL HOTE HAIn
YUN TO HAR DuR PE LAHKTE NAZAR AAYE DAMAN
KHENCHTE NAAZ SE JIS KO WAHI DAMAN nA MILA
YUN LAG RAHA HAI TERE RUKHSAAR KE QAREEB
JAISE CHIRAG KOI SURAJ KE SAAMNE
YE KAH KAH KE HUM DIL KO BAHLA RAHE HAIn
WO AB CHAL CHUKE HAIn WO AB AARAHE HAIn
YUN TU DUNIYA ME MIL JAATE HAI AHBAAB BoHaT
PAR KISI SE BHI WAFA KA NA TAQAZA KARNA

Apr 12, 2015 at 05:04
Category: 0
Poetry / 0
Usay Mujh Se Muhabat Hai
Boht muddat se aisa hai,
K wo khamosh rehta hai,
Koi gehra hai ghum shayd,
Jisay chup chap sehta hai,
Yunhi chaltey huay tanha,
Koi ghamgeen sa naghma,
wo aksar gungunata hai,
Doran-e-guftagu yunhi,
Milen nazron se jb nazren,
To baten bhool jata hai,
Kisi gum sum si halat main,
Ya phir barish k mausam main,
Fakat itna hi kehta hai,
Udasi bewaja si hai,
Bohat bojhal tabiyat hai,
Bhala sach kyun nahi kehta,
USAY mujh se MUHABAT hai...!
K wo khamosh rehta hai,
Koi gehra hai ghum shayd,
Jisay chup chap sehta hai,
Yunhi chaltey huay tanha,
Koi ghamgeen sa naghma,
wo aksar gungunata hai,
Doran-e-guftagu yunhi,
Milen nazron se jb nazren,
To baten bhool jata hai,
Kisi gum sum si halat main,
Ya phir barish k mausam main,
Fakat itna hi kehta hai,
Udasi bewaja si hai,
Bohat bojhal tabiyat hai,
Bhala sach kyun nahi kehta,
USAY mujh se MUHABAT hai...!
·
1 Like ·
Apr 02, 2015 at 12:04
Category: 0
Poetry / 0
Mere Mehboob Ki Jo Mujh Par Nazar Ho Jaye
Mere Mehboob ki jo mujh par nazar Ho Jaye
Zindagi chain say meri bhi basar ho jaye
Sabkey hothon say tabassum ki shu’ayen niklein
Uskey aaney Ki Jo Mehfil Mei Khabar Ho Jaye
Hanstey Hanstey Wo mila ley jo Nigahen mujh say
Hasraton ka meri shaadab shajar ho jaye
Rukh pay aanchal jo giraye tau andherey chaayen
Rukh say aanchal jo uthayein tau seher ho jaye
Aashiyan dil mei wo jo bana le aakar Sana
Phir tau jannat say bhi pyaara yeh nagar ho jaaye
Wo Ghazal pad kar mulakaat ko aayein ghar par
Merey ash’aar mei Itna Tau asar Ho Jaaye

Mar 31, 2015 at 02:03
Category: 0
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujh Gum Naam Tak Nahi Pohancha
Abhi Fasana-E-Ishq anjaam tak nahi pohancha
Din hijr ka visl ki sham tak nahi pohancha
Jany kis raqèèb ko milty rahy payam tèry!
K koi khat mèry Dar-O-Bam tak nahi pohancha
Kia Bataon ay masèèha tèri masèèhai k Baad
Dard kuch kam to hua, aaram tk nahi pohancha
Ay SANAM! tèri Qasam! hum Sar Bhi Kataa dèty mgr!
K tèra hukam Jo tèry ghulam tk nahi pohancha
Bhala kis naam sè rakhy ga zmana yad mujhy,,
K koi naam abhi mujh gumnam tak nahi pohancha~...

Feb 23, 2015 at 03:02
Category: sad
Sponored Video