Search
Articles / Featured
Ijunoon
Antartika Ka Mousam Kabhi Moutadil Tha
انٹارکٹیکا کے ایک حصے پر تحقیق کے دوران سائنسدانوں کو ایسے ثبوت ملے ہیں کہ ایک زمانے میں وہاں پام کے درخت ہوا کرتے تھے۔
انٹارکٹیکا پر کھدائی کے دوران پولن، بعض چھوٹے کیڑوں کی باقیات اور دیگر ایسے ث...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 13, 2017 at 09:10
Category: featured
Poetry / Love
Tum Mousam Mousam Lagty Ho
tum mousam mousam lagty ho
jo pal pal rang badalty ho
tum sawan sawan lagty ho
jo sadyon baad barastay ho
tum pal pal mujh say lartay ho
par phir bhi achy lagty ho
bat tu hai sharmeeli c par
kehny ko dil chahata hai
lo aaj tumhy ye keh dala
k tum apny apny lagty ho...!
jo pal pal rang badalty ho
tum sawan sawan lagty ho
jo sadyon baad barastay ho
tum pal pal mujh say lartay ho
par phir bhi achy lagty ho
bat tu hai sharmeeli c par
kehny ko dil chahata hai
lo aaj tumhy ye keh dala
k tum apny apny lagty ho...!
·
1 Like ·
Sep 18, 2017 at 11:09
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Wisaal Mousam Guzer Gaya Tou Khayal Ban Ker Mila Kerain Gaye
Wisaal mousam guzer gaya tou khayal ban ker mila kerain gaye
Bichar gaye tou hum aik maah e wisaal ban ker mila kerain gaye
Kitab e ehad e wafa k ik ik warq pe apni khabar mila kare gi
Hum ahl e ulfat muhabbaton ki misaal ban ker mila kerain gaye
Abhi tou lamhon ki doorion pe bhatak rahe hain mager kabhi hum
Falak ki gardishon me aa gaye tou hilaal ban ker mila kerain gaye...!

Aug 26, 2017 at 08:08
Category: love
Poetry / Sad
Koi Mousam Ho Dil Main Hai Tumhaari Yaad Ka Mousam
Koi mousam ho dil main hai tumhaari yaad ka mousam
ke badla hee nahi jana, tumharay baad ka mousam
Nahi to aazma kay daikh lo kaisay badalta hai
tumharay muskuranay say dil-e-nashaad ka mousam
Ruton ka qaida hai waqt per yeh aati jati hain
hamaray shehar main kyun ruk gaya faryaad ka mousam
Kahin say us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
to us kay sath badlay ga dil-e-barbaad ka mousam
Qafas kay baam-o-dar main roshni si ati jati hai
chaman main aagaya shayad lab-e-azaad ka mousam
Na koi gham khizan ka hai, na khuahish hai bahaaron ki
hamary saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam...!!!

Jul 26, 2017 at 10:07
Category: sad
Poetry / Sad
Tumhari Yaad Ka Mousam
TUMHARI YAAD KA MOUSAM
JO HER AIK DUKH SAY GEHRA HAI
NAJANAY KITNI MUDDAT SAY HAMARAY MANN MEI THEHRA HAI
MAGAR!
TUM NAY NHI JANA,MAGAR TUM NAY NHI SOCHA
TUMHARAY PYAR KA MOUSAM
JO HER MOUSAM SAY PYARA THA
MERAY IN BEKARAAN LAMHON KA WAHID SAHARA THA
MAGAR!
TUM NAY NHI SAMJHA,MAGAR TUM NAY NHI SOCHA
TUMHARAY BAAD KA MOUSAM
IK KAALI GHAAT JESA HAI
NA JEETI HO NA HAARI HO,IK AISI MAAT JESA HAI
MAGAR!
TUM NAY NHI DEKHA,MAGAR TUM NAY NHI SOCHA.....

Jul 15, 2017 at 02:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Barishon Kay Mousam Main
Barishon Kay Mousam Main
Waqt Kay Andheron Main
Main Nay Us Say Pucha Tha
Chorr Tu Na Jao Gaye
Haath Thaam Kar Us Nay
Kaan Main Ye Bola Tha
Kesay Chorr Sakta Hoon
Tum Tu Jaan Ho Meri
Or Aaj Aisa Hay
Waqt Ki Tamaazat Main
Wehshaton Kay Mousam Main
Main Nay Us Say Pucha
Chorr Kar Hi Jana Tha
Muskurati kaliyon ko
Aas Kyun Dilai Thi
Pyaas Kyun Jagai Thi
Meray In Sawalon Per
Chaltay Chaltay Wo Bola
Mousam Ki Tu Aadat Hay
Waqt Per Badal Jana
Waqt Kay Andheron Main
Main Nay Us Say Pucha Tha
Chorr Tu Na Jao Gaye
Haath Thaam Kar Us Nay
Kaan Main Ye Bola Tha
Kesay Chorr Sakta Hoon
Tum Tu Jaan Ho Meri
Or Aaj Aisa Hay
Waqt Ki Tamaazat Main
Wehshaton Kay Mousam Main
Main Nay Us Say Pucha
Chorr Kar Hi Jana Tha
Muskurati kaliyon ko
Aas Kyun Dilai Thi
Pyaas Kyun Jagai Thi
Meray In Sawalon Per
Chaltay Chaltay Wo Bola
Mousam Ki Tu Aadat Hay
Waqt Per Badal Jana
·
1 Like ·
May 06, 2017 at 12:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho
Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho
Kabhi Barastay Ho Kabhi Ak Boond Ko Tarsatay Ho
Pal Main Kehtay Ho Zamanay Main Faqat Teray Hain
Pal Main Izhaar -e- Mohabbat Say Mukar Jatay Ho
Bhari Mehfil Main Dushmano Ki Tarah Miltay Ho
Or Duaon Main Mera Naam Liye Jatay Ho
Dayaar -e- Ghair Main Mujh Ko Talash Kartay Ho
Milon Tu Pass Say Chup Chaap Guzar Jatay Ho
Laakh Mousam Ki Tarah Rang Badaltay Raho
Aaj Bhi Toot Kay Shiddat Say Humay Chahatay Ho

May 03, 2017 at 15:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Udaas Mousam Main Zard Patay
Udaas Mousam Main Zard Patay
Muntazir Hain Bahaar Teri
Na Janay Kitni Ruton Say Pyasay
Ye Dasht Tum Ko Bula Rahay Hain
Kabhi Tu Louto
Kabhi Tu Paltoo
K Zindagi Main Veeraniyaan Hain
Bina Tumharay Ye Mousamon Ki Addain Dekho
Kabhi Hansayain
Kabhi Rulayain
Tum Hi Kaho Ab Kia Karay Hum
Yaad Rakhay Ya Bhool Jaye

May 01, 2017 at 22:05
Category: sad
Poetry / Love
Ghazal Noor
Suna Hai Teray Shaher May Nazool E Wafa Ka Mousam Hota Hay
suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
muhabat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai
suna hai wahan diloon ka milan hota hai
rohoon ka visal aur hijar ka inkar hota hai
wahan zulf bikhray tu raat ka aalam
jo simtay tu savera hota hai
suna hai ashk jab koi bahaye tu
wahan sawan ka mousam hota hai
taara jab bhi tootay kaheen asmaan may
nazuk hatoon may kashkool-e-dua hota hai
suna hai wahan kalaam karti hain Mohabbatein
nafratoon ka qatal-e-aam hota hai
suna hai wo bhi makeen hai teri basti ka
jo sadiyun se rooh-e-jaan hamari hota hai
usko salam-e-muhabat kehna
jiski ankh may ashk meray naam ka hota hai
wo bhi shayed mehsoos karta ho
dard jo firaaq may yahan hota hai
uski muskaan ka bhi aalm kuch biyaan ho
kia ab bhi usay dekh kar chandni ka guman hota hai
suna hai ab bhi wo nazar jhuka kar milta hai
kaheen ankh may uski piyar ka rang hota hai
chalo us basti ki janib chaltey hain Qais
jahan rang-e-qos qazah, aur raqs ishq may hota hai

Dec 24, 2016 at 07:12
Category: love
Sponored Video