Search
Poetry / Love
Tum Se Mile Bin Chain Nahee Ata
tum se mile bin chain nahee ata me kya karu
muje to ye kehna b nahee ata me kya karon
yaad tumhareee aakay nahee jati me kya karu
kuch b karo muje nend nahee ati me kya karu
mushkil se men ye dil sanbhala dil ne muje kis mushkil me dala
yeh mushkil asaan nahe hoti me kya karu
jaan me jaise jaan nahee hoti me kya karu

·
1 Like ·
Nov 23, 2018 at 10:11
Category: love
Poetry / Poetry Sms
Ebrahim Ali Ali
Is Qehat E Dosti Mein Koi Mujh Se Kya Mile
is qehat e dosti mein koi mujh se kya mile
khud apnay aap ko bhi muyaasar nahee hoon mein
khud apnay aap ko bhi muyaasar nahee hoon mein
·
1 Like ·
Aug 07, 2018 at 04:08
Category: poetry-sms
Advertisement
Poetry / Sad
Fozia Iqbal
Fursat Mile
Hujoom-e-yaraan se kbhi fursat mile mohsin
Agar samjho munasib to, hamen bhi yaad kar lena
Agar samjho munasib to, hamen bhi yaad kar lena
·
1 Like ·
Jun 26, 2018 at 18:06
Category: sad
Poetry / Love
Tumhe Jb Kabhi Mile Fursat Meray Dil Se Bhoj Utaar Do
Tumhe jb kabhi mile fursat meray dil se bhoj utaar do
Main bht Dino se udaas hoon muje koi shaam udhaar do
Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do
Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khaad o khaal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!

2 Like ·
Dec 01, 2017 at 05:12
Category: love
Poetry / Relegious
Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa Bhi Ho Bandagi Chahiye
Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye
Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye
Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaon Main
Mere Malik Aagahi Chahiye
Main Jhuko Or Jhuko Bus Jhuka He Rahun
Ibadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye
Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye...!
Dard Kaisa Bhi Ho Bandagi Chahiye
Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi
Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye
Tere He Aage Haath Phelaon
Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye
Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaon Main
Mere Malik Aagahi Chahiye
Main Jhuko Or Jhuko Bus Jhuka He Rahun
Ibadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye
Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe
Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye...!
·
1 Like ·
Nov 11, 2017 at 09:11
Category: relegious
Poetry / Love
Mile Kisii Se Nazar To Samajho Gazal Hoi
mile kisii se nazar to samajho Gazal hoi
rahe apanii Khabar to samajho Gazal hoi
milaa ke nazaron ko vo hayaa se phir
jhukaa le ko_ii nazar to samajho Gazal hoi
idhar machal kar unhen pukaare junuuN meraa
bhaDak uThe dil udhar to samajho Gazal hoi
udaas bistar kii silavaTain jab tumhen chubhen
na so sako raat bhar to samajho Gazal hoi
vo badgumaN ho to sher sughay na shayari
vo maherban ho Zafar to samajho Gazal hoi...!

Nov 07, 2017 at 11:11
Category: love
Poetry / Love
Har Tarannum Me Mile He Teri Awaz Mujhe
har tarannum me mile he teri awaz mujhe
ek hii naghma sunata hai har ek saaz mujhe
ishq ka bhi koi anjaam hua karta hai
ishq me yaad hai aghaz hi aghaz mujhe
jaise virani se Takaraa ke palatti hai sadaa
dil ke har goshe se aa_ii terii aavaaz mujhe
jo kisi ko bhi na chaahe usay chahana
umar bhar apni muhabbat par raha naaz mujhe

Jun 26, 2017 at 06:06
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Khushboo Jaise Log Mile Afsanay Mein
Khushboo jaise log mile afsanay mein
Ek Purana Khat khola anjane mein
Shaam ke saaye balishon se naapay hain
Chand ne kitni der laga di aane mein
Dil par dastak dene ye kaun aaya hai
Kiski aahat sunta hoon veerane mein
Jaane kiska zikr hai is afsaanay mein
Dard maze leta hai jo dohranay mein
Ek Purana Khat khola anjane mein
Shaam ke saaye balishon se naapay hain
Chand ne kitni der laga di aane mein
Dil par dastak dene ye kaun aaya hai
Kiski aahat sunta hoon veerane mein
Jaane kiska zikr hai is afsaanay mein
Dard maze leta hai jo dohranay mein
·
1 Like ·
Feb 16, 2017 at 10:02
Category: love
Poetry / Friendship
Khushnaseeb Hain Hum K Mile Aap Mujhe
Khushnaseeb hain hum k mile aap mujhe
Tanha zindagi k safar mein mila saathi anmol mujhe
Ghum ke badalon ne kabhi gher rakha tha mujhe
Ab badalon ko cheer ke bhi suraj deta hai roshni mujhe
Ae dost kismat mein mere iss se pehle itni khushi kabhi na thi
Aap ne saath humara dey k dard ko bhulana sikha diya mujhe
Hum to rotey the uski yaad mein
Dost aap ne aansuon ko peena sikha diya mujhe
Uss dhokebaaz ne to maar hi dala tha humein
Dosti ki taqat se jeena sikhaya aap ne mujhe..!!!

Jul 07, 2015 at 21:07
Category: friendship
Poetry / General
Kabhi Waqt Mile To A Jao
Kabhi waqt mile to a jao
ham jheel kinare ja beithein
in sabz ruton k daman men
hum pyar ki khusboo mehkaein
in bikhray sabz nazaaron ko
hum ankhon men tasveer karen
patthar pe girtay paani ko
hum khuwabon se tabeer karen
iss waqt k doobtay suraj ko
hum chahat ki jageer karen
phir apney pyar k jadoo se
hum lamhon ko zanjeer karen
Kabhi Waqt Mile To A Jao !
ham jheel kinare ja beithein
in sabz ruton k daman men
hum pyar ki khusboo mehkaein
in bikhray sabz nazaaron ko
hum ankhon men tasveer karen
patthar pe girtay paani ko
hum khuwabon se tabeer karen
iss waqt k doobtay suraj ko
hum chahat ki jageer karen
phir apney pyar k jadoo se
hum lamhon ko zanjeer karen
Kabhi Waqt Mile To A Jao !
·
1 Like ·
Jun 21, 2015 at 02:06
Category: general
Sponored Video