Search
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Us K Honton Se Adaa Hone Laga Hun Ab Main

Us k honton se ada hone laga hon ab main
Thaher aye zeest DUAA hone laga hon ab main
Khud se lipta le mujhe , Choom le matha mera
Aye zameen tujh se juda hone laga hon ab main
Shayed ab hijer e musalsal meri kismat thehray
Ik mohabbat mein khara hone laga hon ab main

·
1 Like ·
Apr 18, 2016 at 21:04
Category: sad
Poetry / Love

Muzammil Shahzad
Lutf Vo Ishq Main Paye Hain

Lutf Vo Ishq Main Paye Hain Kay Ji Janta Hai
Ranj Bhi Itne Uthaye Hain Kay Ji Janta Hai
Jo Zamane Kay Sitam Hain Vo Zamana Jane
Tune Dil Itne Dukhaye Hain Kay Ji Janta Hai
Tum Nahin Jante Ab Tak Ye Tumhare Andaz
Vo Mere Dil Main Samaye Hain Kay Ji Janta Hai
Dosti Main Teri Darparda Hamare Dushman
Is Qadar Apne Paraye Hain Kay Ji Janta Hai,

Apr 15, 2016 at 17:04
Category: love
Advertisement
Poetry / General

Muzammil Shahzad
Yeh Tajarubaa Bhi Karon Yeh Bhi Ker Dikhlaon Main

Yeh tajarubaa bhi karon yeh bhi ker dikhlaon main
K khud ko yaad rakhon us ko bhool jaaon main
Faraib-e-kaar mein kuchh to hai koi baat to hai
K jaan boojh k itne faraib khaon main
Woh pal kahaan hain ju duniyaa se jorta tha mujhe
Jo paon tujh ko to sab ke qareeb aaon main
Kabhi to ho mere ehasaas-kam-tarii mein kami
Kabhi to ho ki use khul ke paaon main
Wo shakhs hai ki naseem-e-sahar kaa jhonka hai
Bikhar hi jaon ju us ko gale lagaaon main
Azaan ke baad duaa ko jo haath uthaye woh
"Imam" apni namaazein bhi bhool jaon main,

Apr 14, 2016 at 22:04
Category: general
Poetry / General

Ijunoon
Dil Main Tumara Piyar

Dil main tumara piyar hay aise
Payal main jhankaar ho jaise
Soch k tuj ko man lahrae
Sansoon main mahkaar ho jaise
Ben tere mahsos ho muj ko
Soona sab sansaar ho jaise
Tere ane se lagta hay
Ayi aik bahaar ho jaise
"Haider"aik tujhi ko chaye
Baki sab bekaar ho jaise,
Payal main jhankaar ho jaise
Soch k tuj ko man lahrae
Sansoon main mahkaar ho jaise
Ben tere mahsos ho muj ko
Soona sab sansaar ho jaise
Tere ane se lagta hay
Ayi aik bahaar ho jaise
"Haider"aik tujhi ko chaye
Baki sab bekaar ho jaise,
·
1 Like ·
Apr 03, 2016 at 12:04
Category: general
Poetry / General

Ijunoon
Main Kab Kahtaa Hun Vo Acchaa Bahut Hai

maiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
magar us ne mujhe chaaha bahut hai
Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai
maiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
tumhaare saath ek lamhaa bahut hai
meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai
vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai
magar us ne mujhe chaaha bahut hai
Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai
maiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
tumhaare saath ek lamhaa bahut hai
meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai
vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai
·
1 Like ·
Mar 31, 2016 at 14:03
Category: general
Poetry / General

Muzammil Shahzad
Main Aap Apne Ghar Ka Tamashai Bun Gaya

iss darja ishq mojab ruswai ban gaya
mein aap apnay ghar ka tamashayi ban gaya
dair o haram ki raah say bach gaya magar
teri gali kay more peh sodai ban gaya
bazm wafa mein aap say ik pal ka saamna
yaad aa gaya tou ehad shanasaai ban gaya
bay sakhta bikher gayi jloon ki kainaat
ainaa toot kar tari angrai ban gaya
dekhi jo raqs karti hui mouj zindagi
mera khayaal waqt ki shehnai ban gaya

Mar 28, 2016 at 12:03

Mar 27, 2016 at 18:03
Category: general
Poetry / Love 
Ijunoon
Aina Hoon Main

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aao ge Jo Aankh Mila Ker Dekho
Mere Gham Mai Meri Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaao ge Mera Dard Utha Ker Dekho
Youn Tou Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raah Se Jaaker Dekho
Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho
Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi De doon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho
Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho

Mar 22, 2016 at 08:03
Category: love
Social Wall / Photos 
Anam Lateef
Larkiyon Ke Chakar Main Mat Parr Na Dosto

Larkiyon ke chakar main mat parr na dosto.
Kiyon ke
ye aati hain heer ki tarha,
lagti hain kheer ki tarha,
chubti hain teer ki tarha.
our aakhir main haalat kardeti hain faqeer ki tarha.
Kiyon ke
ye aati hain heer ki tarha,
lagti hain kheer ki tarha,
chubti hain teer ki tarha.
our aakhir main haalat kardeti hain faqeer ki tarha.
·
0 Like ·
Mar 19, 2016 at 15:03
Category: photos

Sponored Video