Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jo Hum Mehsoos Kartay Hain
jo hum mehsoos kartay hain
agar tum tak pahonch jaye
tou bas itna samajh lena
yeh in jazbun ki khushbu hai
jinhein hum keh nahi saktay
magar tum jo ijazat dou
tou chand alfaaz mein keh daloon
keh tum bin ji nahi saktay
keh tum bin mar nahi saktay
agar tum tak pahonch jaye
tou bas itna samajh lena
yeh in jazbun ki khushbu hai
jinhein hum keh nahi saktay
magar tum jo ijazat dou
tou chand alfaaz mein keh daloon
keh tum bin ji nahi saktay
keh tum bin mar nahi saktay
·
1 Like ·
Nov 30, 2015 at 02:11
Category: love
Poetry / Political
Main yeh kis key naam likhoon Jo alam guzar rahay hain
Meray shehar jal rahay hain, Meray log mar rahay hain
Koi ghuncha ho kay gul ho, Koi shaakh ho shajar ho
Woh hawa-e-gulistan hain kay sabhi bikhar rahay hain
Kabhi rehmatain thein nazil is hi khitta-e-zameen par
Wohi khitta-e-zameen hai kay aazaab uttar rahay hain
Wohi taroun ke jhurmat jo hawa main jhooltay thay
Woh fiza ko tak rahay hain tu aah bhar rahay hain
Koi aur to nahin hai pas-e-khanjar aazmai
Ham hi qatal ho rahay hain Ham hi qatal ker rahay hain
Muzammil Shahzad
Main Yeh Kis Key Naam Likhoon Jo Alam Guzar Rahay Hain
Main yeh kis key naam likhoon Jo alam guzar rahay hain
Meray shehar jal rahay hain, Meray log mar rahay hain
Koi ghuncha ho kay gul ho, Koi shaakh ho shajar ho
Woh hawa-e-gulistan hain kay sabhi bikhar rahay hain
Kabhi rehmatain thein nazil is hi khitta-e-zameen par
Wohi khitta-e-zameen hai kay aazaab uttar rahay hain
Wohi taroun ke jhurmat jo hawa main jhooltay thay
Woh fiza ko tak rahay hain tu aah bhar rahay hain
Koi aur to nahin hai pas-e-khanjar aazmai
Ham hi qatal ho rahay hain Ham hi qatal ker rahay hain
·
2 Like ·
Nov 06, 2015 at 21:11
Category: political
Advertisement
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Jo Khushi Tumahray Qareeb Ho
jo khushi tumahray qareeb ho
woh sada tumhein naseeb ho
tujhay woh khuloos milay keh
jo teri zindagi peh muheet ho
jo khayaal dil mein aseer ho
aur dua mein bhi taseer ho
tujhay woh jahan milay
jidhar gamoon ka nah guzar ho
jidhar roshni ho khuloos ki
aur nafratoon ko khabar nah ho
woh sada tumhein naseeb ho
tujhay woh khuloos milay keh
jo teri zindagi peh muheet ho
jo khayaal dil mein aseer ho
aur dua mein bhi taseer ho
tujhay woh jahan milay
jidhar gamoon ka nah guzar ho
jidhar roshni ho khuloos ki
aur nafratoon ko khabar nah ho
·
1 Like ·
Oct 22, 2015 at 21:10
Category: occassional-events
Social Wall / Photos
Kinza Hussain
Yeh Jo Chand Dost Hain Mere
·
1 Like ·
Sep 25, 2015 at 10:09
Category: photos
Poetry / General
Aleezay Abbasi
Jo Guzar Gaya So Guzar Gaya
NA GILA KIYA NA KHAFA HOWE
YUNHI RASTY MEIN JUDA HOWE
NA WOH BEWAFA NA MAIN BEWAFA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA
WOH GHAZAL KI IK KITAB THA
WOH GULON MEIN IK GULAB THA
ZARA DAIR KA KOI KHWAB THA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA
WOH UDAAS DHOOP SAIK KAR
KAHIN WADION MEIN UTAR GAYA
USY AB NA DY MERY DIL SADA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA
YEH SAFAR BHI KITNA TAWEEL HAI
YAHAN WAQT KITNA QALEEL HAI
KAHAN LOUT KR KOI AAYE GA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA
YUNHI RASTY MEIN JUDA HOWE
NA WOH BEWAFA NA MAIN BEWAFA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA
WOH GHAZAL KI IK KITAB THA
WOH GULON MEIN IK GULAB THA
ZARA DAIR KA KOI KHWAB THA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA
WOH UDAAS DHOOP SAIK KAR
KAHIN WADION MEIN UTAR GAYA
USY AB NA DY MERY DIL SADA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA
YEH SAFAR BHI KITNA TAWEEL HAI
YAHAN WAQT KITNA QALEEL HAI
KAHAN LOUT KR KOI AAYE GA
JO GUZAR GAYA SO GUZAR GAYA
·
1 Like ·
Sep 11, 2015 at 16:09
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Khuli Jo Aankh To Wo Tha Na Wo Zamana Tha
Khuli Jo Aankh To Wo Tha Na Wo Zamana Tha
Dehkti Aag Thi Tanhai Thi Fasana Tha
Ghamon Ne Bant Liya Mujhy Yun Aapas Men
K Jaisy Main Koi Loota Hua Khazana Tha
Ye Kia Chund Hi Qadmon Pr Thak K Baith Gaye
Tumhen To Sath Mera Door Tak Nibhana Tha
Mujhy Jo Mery Lahu Men Dubo K Guzra Hai
Wo Koi Ghair Nahi Yaar Ik Purana Tha
Khud Apny Hi Hath Se Us Ko Kaat Diya
K Jis Darakht Ki Tehni Pe Aashiyana Tha

Sep 04, 2015 at 13:09
Category: sad
Social Wall / Photos
Zeeshan Kaliya
Bayan Kar Dain Jo Tootay Hue Dil Ki Halat
·
0 Like ·
Aug 10, 2015 at 14:08
Category: photos
Poetry / Humorous
Muzammil Shahzad
Jo Ho Sakey To Nawaz Do
Jo Ho sakey to Nawaz do!
Meri Subha Ko Nikhaar do!
Meri Sham Ko Sanwaar do!
Mery dukhon Ko Qarar do!
Ye Na Ho sakey to Yun Karo
Mujhey 5 Hazar udhaar do ;-)
Meri Subha Ko Nikhaar do!
Meri Sham Ko Sanwaar do!
Mery dukhon Ko Qarar do!
Ye Na Ho sakey to Yun Karo
Mujhey 5 Hazar udhaar do ;-)
·
2 Like ·
Aug 05, 2015 at 08:08
Category: humorous
Poetry / 24
Muzammil Shahzad
Jo Shajar Sookh Gaya
Jo Shajar Sookh Gaya Hai Vo Hara Kaise Ho
Main Payamabar To Nahin Mera Kaha Kaise Ho
Dil Ke Har Zarre Pe Hai Naqsh Muhabbat Usaki
Noor Aankhon Ka Hai Aankhon Se Juda Kaise Ho
Jis Ko Jaana Hi Nahin Usko Khuda Kyun Maane
Aur Jise Jaan Chuke Hain, Vo Khuda Kaise Ho
Umr Saari To Andhere Mein Nahin Kat Sakati
Ham Agar Dil Na Jalaayen To Zia Kaise Ho
Jis Se Do Roz Bhi Khul Kar Na Mulaqaat Hui
Muddaton Baad Mile Bhi To Gilaa Kaise Ho
Kin Nigaahon Se Usey Dekh Raha Hun "Shehzad"
Mujh Ko Maaluum Nahin, Us Ko Pata Kaise Ho

Jul 21, 2015 at 18:07
Category: 24
Sponored Video