Search
Poetry / Sad
Sakoot E Jaan Ka Matlab Batado Phir Chali Jana
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chali jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chali jana,
Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay me
Usay puri tarha se tum bhulado phir chali jana,
Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai
Tum aakay ek baar inko sula do phir chali jana,
Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chali jana,
Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chali jana,
Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki
Samaat ko talab hai wo suna do phir chali jana,
Na janay kyu hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-waja aadat churra do phir chali jana,
Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho
Mujhe tum doosra unwan laa do phir chali jana,
Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan
Mujhe es sabr ka kuch phal dila do phir chali jana...!

·
1 Like ·
Oct 01, 2017 at 11:10
Category: sad
Poetry / Sad
Suno Jana
Suno jana..!
humeiN jab sey mila hey ye sandesa..
Ab Judaai hey
humaari aankh k aansoo
taRaptay dil ki noha gari karti ye dhaRkan
Bikharti saans ka resham
merey haathoN ki ye larzish
Meri baatoN ka toota pan
merey hontoN ki neeli chup
ragoN meiN barf banta ye lahu mera
meri bikhri huwi neendoN ki kul poonji
adhooray khawaab sab merey
(tumhaarey lams ki khaahish)
tamanaoN k tootey Aainey saarey
merey kamrey meiN bikhrey heiN
mujhey har pal adhoori mout detey heiN…..
magar………
meiN kitni be-bass hooN
k kuch bhi kar nahi sakti
bicharney sey zara pehley
mukamal mar nahi sakti...!

Sep 20, 2017 at 00:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai
Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai,
Unko Khona Bhi Mushkil Hai Unko Pana Bhi Mushkil Hai...
zara Si Baat Pe Aankhe Bhigokar Baith Jate Hain,
Unko To Apne DIL Ka Haal Batana Bhi Mushkil Hai...
Udasi Unke Chehre Par Gawara Bhi Nahi,
Uski Khatir Sitare Toor kar Lana Bhi Mushkil Hai...
Yaha Logon Ne Khud Par Itne Parde Daal Rakhe Hain,
Kis Ke DIL Me Kya Hai Nazar Aana Bhi Mushkil Hai...
Maana Ki Khwab Me Mulakat Hogi Unse Magar,
Unke Bina Neend Aa Pana Bhi Mushkil Hai...!

Aug 25, 2017 at 00:08
Category: sad
Poetry / Love
Bhool Na Jana Kahin Apna Irada Yaad Rakhna
Kia Hay Tum Nay Hum Say Ak Haseen Wada Yaad Rakhna
Bhool Na Jana Kahin Apna irada Yaad Rakhna
Ab Na Hamain Rulana Tum, Ab Na Door Jana Tum
Pehlay Hi Seh Chukay Hain Dukh Itna Ziada Yaad Rakhna
Dil Tu Na Dukhao Gay, Mujhay Chorr Tu Na Jao Gaye
Dil Main Hi Basay Ho Tum, Ab Isay Abaad Rakhna
Tum Jo Chorr Jao Gaye Hum Tu Mar Hi Jayen Gaye
Tumharay Dam Say Zindagi Hay Sirf Itna Yaad Rakhna
Chahaton Ki Dunya Main Roshni Tum Hi Say Hay
Dil Torr Kay Hamain Chorr Kar Kahin Na Jana Yaad Rakhna...!

Aug 06, 2017 at 18:08
Category: love
Poetry / Love
Tumhara Khat Mila Jana
Tumhara Khat Mila Jana
Woh Tum Ne Jis Main Pucha Hai
K Ab Halaat Kese Hain
Mere Din Raat Kese Hain
Meharbani Tumhari Hai
K Tumne es Tarha Mujhse
Mere Halaat Puche Hain
Tumhain Sub Kuch Bata Donga
Mujhe Itna Bata Do K
Kabhi Sagar Kinary Per
Kisi Machhli Ko Dekha Hai
K Jisko Lehrain Pani Ki
Kinaray Tak To Laati Hain
Magar Phir Chor Jati Hain
Mere Halaat Aisay Hain
Woh Tum Ne Jis Main Pucha Hai
K Ab Halaat Kese Hain
Mere Din Raat Kese Hain
Meharbani Tumhari Hai
K Tumne es Tarha Mujhse
Mere Halaat Puche Hain
Tumhain Sub Kuch Bata Donga
Mujhe Itna Bata Do K
Kabhi Sagar Kinary Per
Kisi Machhli Ko Dekha Hai
K Jisko Lehrain Pani Ki
Kinaray Tak To Laati Hain
Magar Phir Chor Jati Hain
Mere Halaat Aisay Hain
·
1 Like ·
Jul 08, 2017 at 19:07
Category: love
Poetry / Sad
Dhoop Main Chhaaon, Andheray Main Diya Ho Jana
Dhoop main chhaaon, andheray main diya ho jana
Kitna mushkil hai kisi dukh ki dawa ho jana
Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain
Tum bhi us lamhay masroof-e-dua ho jana
Aisa lagta hai taaluq nahi toota tujh say
Zakhm-e-dil ka teray dekhay say hara ho jana
Kabhi jub dhoop ki shiddat nay safar rok diya
Yaad aaya teray gaisoo ka ghata ho jana
ab koo-e-malamat say guzarna hai mujhay
Tum kisi morr per chaho to juda ho jana

Jun 21, 2017 at 22:06
Category: sad
Poetry / Sad
Samajh Jana K Wo Hoon Main
Agar main door ho jaaun
To palkon ko jhapak daina
Agar aansu koi giray
Samajh jana k wo hoon main
Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu girain us main
Jo ruk jaye ga honton per
Samajh jana k wo hoon main
Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
K phir baadal bhi aa jaaye
Samajh jana k woh hoon main
Jo chal jaaye hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho sab say
Samajh jana k wo hoon main
Jo zayada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi aaye
Samaj jana k wo hoon main
Agar tum bhoolna chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana k wo hoon main.....!!
To palkon ko jhapak daina
Agar aansu koi giray
Samajh jana k wo hoon main
Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu girain us main
Jo ruk jaye ga honton per
Samajh jana k wo hoon main
Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
K phir baadal bhi aa jaaye
Samajh jana k woh hoon main
Jo chal jaaye hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho sab say
Samajh jana k wo hoon main
Jo zayada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi aaye
Samaj jana k wo hoon main
Agar tum bhoolna chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana k wo hoon main.....!!
·
1 Like ·
Jun 16, 2017 at 07:06
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Kuch Bhi Ho Jana
Mohabbat Kuch Bhi Ho Jana
Mohabbat Dars Deti Hay
Mohabbat Zabt Deti Hay
Mohabbat Barishain Aisi
Koii Tu Doob Jata Hay
Koii Tu Paar Hota Hay
Ye Wo Unwaan Hay Jana
Jisay Ham Likh Nahi Saktay
Koii Anjaam Ho es Ka
Suhail Itna Zara Socho
Mohabbat Jeet Jati Hay
Mohabbat Haar Deti Hay
Kise Ko Zinda Rakhti Hay
Kese Ko Maar Deti Hay
Mohabbat Dars Deti Hay
Mohabbat Zabt Deti Hay
Mohabbat Barishain Aisi
Koii Tu Doob Jata Hay
Koii Tu Paar Hota Hay
Ye Wo Unwaan Hay Jana
Jisay Ham Likh Nahi Saktay
Koii Anjaam Ho es Ka
Suhail Itna Zara Socho
Mohabbat Jeet Jati Hay
Mohabbat Haar Deti Hay
Kise Ko Zinda Rakhti Hay
Kese Ko Maar Deti Hay
·
1 Like ·
Mar 23, 2017 at 16:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kaanton Say Guzar Jana, Sholoun Say Nikl Jaana
Kaanton say guzar jana, sholoun say nikl jaana
Phoolon ki basti mein, jaana to sambhal jaana
Din apnay charaaghon ki manind guzaartay hain
Her subha ko bujh jaana, her shaam ko jal jaana
Bachon hi si fitrat hai, hum ehl-e-mohabbat ki
Zid karna, machal jaana, phir khud hi sambhal jaana
Woh shakhs bhala mera kya saath nibhaye ga?
Mausam ki tarah jis nay, seekha hai badal jana

Mar 21, 2017 at 05:03
Category: sad
Sponored Video