Search
Jokes / Miscellaneous
Shahbaz Ishaq
Chup Rehne Se Naraz Na Huwa Kro
Mere chup rehne se NARAZ na huwa kro
"DOSTO",
Suna he k Khobsorat log kum bola krte he
)(
_//_ Oh My God..!
Ammi meri 'az'r 't'r'':-).
Dj!
"DOSTO",
Suna he k Khobsorat log kum bola krte he
)(
_//_ Oh My God..!
Ammi meri 'az'r 't'r'':-).
Dj!
·
3 Like ·
Jan 30, 2018 at 04:01
Category: miscellaneous
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Bujhta Huwa Diya Ye Saza De Gaya Mujhay
bujhta huwa diya ye saza de gaya mujhay
mai shola e junoon tha, hawa de gaya mujhay
mai lehlahaati shakh ko samjha tha zindagi
patta gira to dars e fana de gaya mujhay
sooraj ki chund jaagti kirnon ka qafila
khwabeeda manzilon ka pata de gaya mujhay
khushboo ka aik narm sa jhonka bahaar mai
guzray huway dinon ki sada de gaya mujhay
merey liye to saans bhi laina mahaal hai
ye kaun zindagi ki dua de gaya mujhay
mai khamoshi ka paikar e be rang tha "SEHAR"
ik shakhs bolnay ki ada de gaya mujhay

1 Like ·
Mar 20, 2017 at 12:03
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Eik Masoom Taqadus Me Bhigoya Huwa Lams
Eik Masoom Taqadus Me Bhigoya Huwa Lams,
Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams.
Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sunehra Ehsas,
Jis Terha Chand K Haalay Me Piroya Huwa Lams.
Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaa'n Hota Hay,
Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams.
Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho,
Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams.
Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bheega Bheega,
Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams.
Tishnagi Aan Basi Hay Meri Poron Me WASI,
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams.

Jul 26, 2016 at 00:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Koi Khwab Dasht E Firaq Mai Sar E Sham Chehra Kusha Huwa
koi khwab dasht-e-firaq mai sar-e-sham chehra kusha huwa
meri chashm-e-tar mai ruka nahi kay tha rut jago ka dasa huwa
mery dil ko rakhta tha shadma’n, meray hont rakhta tha gulfisha’n
wohi ek lafz jo ap nay mery kaan mai hai kaha huwa
hai nigah mai meri aj tak woh ek niga’h koi jhuki huwi
woh jo dehan tha kisi deha’n mai, wohi aj bhi hai laga huwa
mery rat-jago’o kay fishar mai, meri khwahisho’n kay gubar mai
wohi ek wada gulab sa sar-e-nakhl-e-jaan hai khila huwa
teri chashm-e-khush ki pana’h mai kisi khwab zar ki rah mai
mery gham ka chand thehar gya kay tha raat bhar ka jaga huwa
hai ye mukhtasir rah-e-ishq par, nahi ap hum rahay hum safar
to ho kis liye ye mubahisa, kaha! kon! kasay! juda huwa
kisi dil kusha si pukar say usi ek bad-e-bhar say
kahi barg barg namo mili, kahi zakhm zakhm hara huwa
tery shehr-e-adal say aj kya sabhi dard-mund chalay gaye!
nahi kaghzi koi perhan, nahi hath koi utha huwa ,

2 Like ·
Jun 05, 2016 at 08:06
Category: sad
Poetry / 24
Aditya
Aaj Rutha Huwa Dost
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.
Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus.
aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya.

May 15, 2015 at 16:05
Category: 24
Sms / Islamic
Kashif Yaqoob
Apne Nuqsan Par Ghamzada Na Huwa Kro
Aaj Ki Baat: Apne Nuqsan Par GhamzaDa Na Huwa Kro KYun K ALLAH Tum SaY Us Waqt Tk Kuch Wapas Nai Leta Jab Tk Us S Behtar Tum Ko Ata Na Karna Ho....*Jumma mubarak
·
1 Like ·
Dec 20, 2013 at 15:12
Category: islamic
Tags: Jumma Dukh Islam Mubarak Allah Sms Waqt
Sms / Shairi
Kashif Yaqoob
Un Ko Dekha To Kisi Cheez Ki Gumshudgi Ka Ehsaas Huwa..
""'Un Ko Dekha To Kisi Cheez Ki Gumshudgi Ka Ehsaas Huwa...! ""'Hath Seeny Pey Jo Rakha To Dil Maujood Na Tha..
·
1 Like ·
Oct 10, 2013 at 14:10
Category: shairi
Tags: Shairi Dil Poetry Sms
Sms / Golden Words
Shahbaz Ishaq
Soya Huwa Insaan Paani
Soya Huwa Insaan Paani Ki Bondon Se Jagta Hai Lekin Jab Koi Qoam So Jaye To Usy Jagane K Liye Shaheedon K Lahu Ki Bondon Ki Zarurat parti Hai.
·
1 Like ·
Oct 19, 2011 at 11:10
Category: golden-words
Sms / Golden Words
Waseem Mughal
Soya Huwa Insaan
Soya Huwa Insaan Paani Ki Bondon Se Jagta Hai Lekin Jab Koi Qoam So Jaye To Usy Jagane K Liye Shaheedon K Lahu Ki Bondon Ki Zarurat parti Hai.
·
1 Like ·
Feb 21, 2011 at 13:02
Category: golden-words
Sms / Eid Mubarak
Mohammad Asif
Aaj Jab Dard Huwa Tou Bohat Yaad Aaya...
" Eid K Din "
Aaj Rootha huwa Ek Dost Bohat Yaad Aaya,
Acha Guzra huwa Waqt Bohat Yaad Aaya,
jo Mere Dard ko Seenay mey Chupa Leta tha,
Aaj Jab Dard Huwa tou Bohat Yaad Aaya...
Aaj Rootha huwa Ek Dost Bohat Yaad Aaya,
Acha Guzra huwa Waqt Bohat Yaad Aaya,
jo Mere Dard ko Seenay mey Chupa Leta tha,
Aaj Jab Dard Huwa tou Bohat Yaad Aaya...
·
1 Like ·
Sep 19, 2009 at 01:09
Category: eid-mubarak
Tags: Dard Yaad
Sms / Eid Mubarak
Ijunoon
Jab Dard Huwa
Aaj Rootha huwa Ek Dost Bohat Yaad Aaya,
Acha Guzra huwa Waqt Bohat Yaad Aaya,
jo Mere Dard ko Seenay mey Chupa Leta tha,
Aaj Jab Dard Huwa tou Bohat Yaad Aaya..
Acha Guzra huwa Waqt Bohat Yaad Aaya,
jo Mere Dard ko Seenay mey Chupa Leta tha,
Aaj Jab Dard Huwa tou Bohat Yaad Aaya..
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: eid-mubarak
Tags: Dard
Sms / Funny
Unknown
Bag Na Huwa Kia Huwa
ek martaba ek larka bus mein safar kar raha hota hay to us ke samne wali seat per ek aurat bethi hotee hay us ke hath mein ek bacha hota hay conducter karaya laynay ata hay to woh jhat se apna bacha us larkay ke hiwalay kar dauytee hay aur seat ke neechay se ek bag nikaltee hay us ko kholtee hay phir us mein se ek chota bag nikaltee hay phir us baray bag ko band kartee hay aur us chotay bag ko kholtee hay phir us ko band kartee hay aur aur paisay nikaltee hay phir bara bag nikaltee hay aur us ko kholtee aur chota bag rakhtee hay itnay dair mein woh paisay laynay wala chala jata hay aur phir woh bara wala bag nikaltee hay aur us ko kholtee hay aur phir chota bag nikaltee hay aur bara wala bag band kartee hay phir woh chota wala bag kholtee hay aur paisay rakh kar doobara band kar daytee hay aur baray wala bag nikaltee hay aur us ko kholtee hay aur us mein chota wala bag rakhtee hay aur phir baray wala bag doobara band kar ke seat ke neechay rakhtee hay ke itnay dair mein woh phir se a jata hay aur kehta hay ke b.b.G karaya nikalo to woh wohee bag nikaltee hay aur us ke sar per day martee hay hahahaha kioon maza aya agar nahin aya to bhee mail karo agar aya to bhee ok
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: funny
Sms / Uncategorized
Unknown
Acha Huwa.
acha huwa hum wafadaar na hui acha huwa hum nahi hui wafadaar kionkey wafadaar tu kotey hotein hain.
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: uncategorized
Sms / Uncategorized
Unknown
To Kiya Huwa
Aankhon se Tootte hai sitaare to kya huwa
Chalte nahi wo saath hamare to kya huwa
Toofaan ki zad mein azm mere saath saath tha
Kashti ko mil sake na kanare to kya huwa
Tanhayion ne mujh ko gale se laga liya
Wo ban sake na Dilse hamare to kya huwa
Sau hausle hamare qadam choomte rahe
Kuchh be sukoon raat guzare to kya huwa
Manzil bhi, kaarwan bhi, musafir bhi khud raha
Saathi bane na Hamare chaand sitaare tho kya huwa....?
IF U like THIS POETRY PLZ SEND YR COMMENTS
0321-7318981
0300-7332316

Sponored Video