Search
Poetry / General
Safia Saeed
Harf E Tasalli... Tou Ik Tukf Hai
·
4 Like ·
Oct 31, 2018 at 04:10
Category: general
Poetry / Sad
Mere Liay To Harf E Dua Ho Gya Wo Shakhs
Mere liay to harf e dua ho gya wo shakhs
saare dukhon ki jese dua ho gya wo shakhs
men aasman pe tha to zameen ki kashish tha wo
utra zameen pe to khlaa ho gya wo shakhs
men us ka haath dhekh raha tha k dafatan
simta simat k rang e hina ho gya wo shakhs
phirta hay le k aankh ka kashkol dar ba dar
dil ka bharam luta to gadaa ho gya wo shakhs
yun bhi nahi k pass hay mere wo hum nafas
ye bhi ghalat ke mujh se juda ho gya wo shakhs
parhta tha men namaz samajh ker usse rasheed
phir yun hua k mujh se qazaa ho gya wo shakhs....!

1 Like ·
Dec 16, 2017 at 09:12
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Bayaan Mein Thi Wo Chaashni Ke Mehak Raha Tha Harf Harf
Wo khayal tha koi dhanak numa ya koi aks tha merey rubaru
jo mujhey har taraf sey tu laga, woh tu hi tha ya koi hu bahu
bayaan mein thi wo chaashni ke mehak raha tha harf harf
jesey khushbuon ki zubaan meiN koi kar raha ho guftagu
nahi kuch khabar ke kis gharri terey raastoN ka sira miley
terey naqsh-e-pa ki talaash meiN lagi to hey meri justuju
bas deikhna hey kis terha wo ji raha hey merey baghair
yun to dil mein hey wo aaj bhi jisey dhoondta hoon ko ba ko
yeh yaad tha ke duwa karoon par uthay rahey merey haath yun
jese khowishon ke hajoom mein kaheen kho gayi teri aarzu...!

2 Like ·
Sep 06, 2017 at 09:09
Category: love
Poetry / Sad
Hazoor E Yaar Men Harf Iltija Kay Rakhay Thay
hazoor-e-yaar men harf iltija kay rakhay thay
chiragh saamnay jesay hawa kay rakhay thay
bus ik ashk-e-nadaamat nay saaf kar daalay
woh sab hisaab jo hum nay utha rakhay thay
tumhi nay paaon na rakha wagarna wasl ki shab
zameen pay hum nay sitaray bichha kay rakhay thay
bikhar rahay thay so hum nay utha liay khud he
gulab jo teri khatir saja kay rakhay thay
hawa kay pehlay hi jhonkay say haar maan gaey
wohi chiragh jo hum nay bachaa kay rakhay thay
mita saki na unhain roz o shab ki barish bhi
dilon men naqsh jo rang-e-hina kay rakhay thay
hasool-e-manzil-e-duniya kuch aisa kaam na tha
magar jo raah men pathar ana kay rakhay thay...!

Aug 12, 2017 at 01:08
Category: sad
Poetry / Sad
Hazoor E Yaar Mein Harf Iltijaa Kay Rakhay Thay
Hazoor-e-Yaar mein harf ILTIJAA kay rakhay thay,
Charaagh saamnay jaisay hawa kay rakhay thay,
Bas ik ashk-e-Nadaamat se saaf ker dalay,
Wo sab hisaab jo ham ne Utha kay rakhay thay,
Tum hee nay Paon na rakha,warna wasal kee Shab,
Zameen pe ham ne sitaray bicha kay rakhay thay,
Hawa kay pehlay hee jhonkay say haar maan gaey,
Wohi charaagh jo ham ne bacha kay rakhay thay,
HASOOL-E-MANZIL-E-DUNYAA KUCH AISA KAAM NA THA,
MAGER JO RAH MEIN PATHAR "ANAA" KAY RAKHAY THAY.

Jun 19, 2017 at 05:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Main Hai
Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Main Hai
Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Main Hai
Tere Badalnay K Ba Wajood Tujh Ko Chaaha Ha
Ye Aitraaf Bhi Shamil Mere Gunaah Main Hai
Azaab De Ga To Phir Mujh Ko Khuwaab Bhi De ga
Main Mutmaen Hun Mera Dil Teri Panaah Main Hai
Jisse Bahar K Mehmaan Khaali Choar Aay
Wo Ek Makaan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Main Hai
Ye Hi Wo Din They Jab Ek Doosray Ko Paaya Tha
Humari Saal girah Theek Ab K Maah Main Hay
Main Bach Bhi Jaoon To Tanhaai Maar Dalay Gi
Mere Qabeelay Ka Har Fard , Qatal Gaah Main Hai

Jan 25, 2017 at 16:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Wo Jo Harf Harf Chiraag Tha
wo jo harf harf chiraag tha
usse kis hawa ne bujha diya ?
kabhi lab helain gey to poochna !
abhi kya kahein abhi kya sunaye
yunhi khuwahishon k fishaar mein
kabhi be'sabab kabhi be'khalal
kahaan kon kis se bichar gya ?
kise kis ne kaise ganwa diya ?
kabhi phir milein gey to poochna
usse kis hawa ne bujha diya ?
kabhi lab helain gey to poochna !
abhi kya kahein abhi kya sunaye
yunhi khuwahishon k fishaar mein
kabhi be'sabab kabhi be'khalal
kahaan kon kis se bichar gya ?
kise kis ne kaise ganwa diya ?
kabhi phir milein gey to poochna
·
1 Like ·
Jan 14, 2017 at 16:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Koi Harf E Tassali Koi Dilasa B Nahi Hay
Koi Harf E Tassali Koi Dilasa Bhi Nahi Hay
Iss Bharay Sheher Mein Koi Aur Shanasa Bhi Nahi Hay
Kabhi Lagta Hay Mai Uski Raahon Mein Hun Shamill
Kabhi Lagta Hay Woh Mera Zara Bhi Nahi Hai
Uski Talab Mein Roz O Shab Khoon K Ansun Pion
Dill Mera Iss Kadar Pyasa Bhi Nahi Hay
Tark E Taluk Kar To Doun Lekin Ye Souch Kar Darta Hun
K Uskay Siwa Zindagi Mein Koi Assasa Bhi Nahi Hay
Mai Oss Say Door Ho Jaon Ye Mumkin Hay
Magar Oskay Bina Jee Paon Ye Mumkin Bhi Nahi Hay

Apr 08, 2016 at 20:04

Apr 08, 2016 at 14:04
Category: sad
Poetry / 0
Ali
Ab Vahii Harf E Junuu.n Sab Kii Zubaa.n Thahrii Hai
ab vahii harf-e-junuu.N sab kii zubaa.N Thahrii hai
jo bhii chal nikalii hai vo baat kahaa.N Thahrii hai
aaj tak shaiKh ke ikaraam me.n jo shay thii haraam
ab vahii dushman-e-dii.n raahat-e-jaa.N Thahrii hai
hai Khabar garm ke phirtaa hai gurezaa.N naaseh
guftaguu aaj sar-e-kuu-e-butaa.N Thahrii hai
hai vahii aariz-e-lailaa vahii shiirian kaa dahan
nigaah-e-shauq gharii bhar ko yahaa.N Thahrii hai
vasl kii shab thii to kis darjaa sabak guzrii hai
hijr kii shab hai to kyaa saKht garaa.N guzarii hai
bikharii ek baar to haath aa_ii kab mauj-e-shamiim
dil se nikalii hai to kab lab pe fuGaa.N Thahrii hai
dast-e-sayyaad bhii aajiz hai kaf-e-gulchii.n bhii
buu-e-gul Thahrii na bulbul kii zabaa.N Thahrii hai
aate aate yuu.N hii dam bhar ko rukii hogii bahaar
jaate jaate yuu.N hii pal bhar ko Khizaa.N Thahrii hai
ham ne jo tarz-e-fuGaa.N kii hai qafas me.n ijaad
"Faiz" gulashan me.n vo tarz-e-bayaa.N Thahrii hai

Dec 03, 2014 at 07:12
Category: 0
Sms / Dard
Kashif Yaqoob
Khaali Kaghaz Pe Harf Sajaya Karta Tha,
Khaali Kaghaz Pe Harf Sajaya Karta Tha, Tanhai Me Shehar Basaya Karta Tha. Kesa Pagal Shakhs Tha Sari Sari Raat, Deewaron Ko Dard Sunaya Karta Tha. Ro Deta Tha Aap Hi Apni Baton Par, Or Phir Khud Ko Aap Hansaya Karta Tha. Jalne Lagti Lahoo Me Judai Tu Ro Deta, Tanhaiun Ki Khak Uraya Karta Tha. Kachi Umar Ka Pyar Use Le Doba "Dost" Jo Logon Ko Pyar Karna Sikhaya Karta Tha.
·
0 Like ·
Mar 03, 2014 at 16:03
Category: dard
Tags: Dost Dard Poetry Friend Sms
Sponored Video