Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Naya Hai Shehr, Naye Asray Talaash Karun
Naya hai shehr, naye asray talaash karun
Tu kho gaya hay, kahan ab tujhay talash karun
Tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar mai utar
Teray liye main kahan aainay talaash karun
Ghazal kahun, kabhi saada se khat likhun us ko
Udaas dil ke liye mashghalay talaash karun
Meray wajood se shayad milay suraakh uska
Mai khud ko bhi teray waastay talaash karun
Mai chup rahun, kbi be wajha hans parron Mohsin
Usay ganwa ke ajab hauslay talaash karun

·
1 Like ·
Feb 18, 2017 at 09:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Bakht Se Koi Shikaayat Hai Na Aflak Se Hai
baKht se koi shikaayat hai na aflak se hai
yahii kyaa kam hai ke nisbat mujhe is Khaaq se hai
Khwaab meN bhi tujhe bholoun tau rawaa rakh mujhse
vo rawaiya jo hawaa ka Khas-o-Khashaak se hai
bazm-e-anjum meN qabaa Khaaq kii pahnii maine
aur merii saarii fazilat isii poshak se hai
itnii raushan hai terii subH ke dil kahtaa hai
ye ujaala to kisi deeda-e-namnaak se hai
haath to kaat diye kuzagarooN ke hamne
moajezay kii wahii ummid magar chaak se hai

Feb 15, 2017 at 16:02
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aisa Toota Hai Tamanaon Ka Pinddar K Bus
Aisa toota hai tamanaon ka pinddar k bus
Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus
Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye
Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus
Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech
Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus
Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharay they donon
Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus
Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun
Warna shikway to hain itnay mere yaar k bus

Feb 13, 2017 at 10:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai
Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai
Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai
Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai

Feb 10, 2017 at 14:02
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aisa Ho Sakta Hai Na
Aisa Ho Sakta Hai Na
K Mai Ney Jaan Liya Ho,
Tujhe Teri Zaat Ki geharie Tak,
Terey Mehel Sey Leker Teri Tanhai Tak,
Aisa Ho Saktaa Hai Na
K Mai Ney Bohat Karb Saha Ho,
Tairay Sitam Sey Leker Teri Masihai Tak,
Aur
Aesa Bhi Tou Ho Sakta Hai Na,
K Tujhey Koi Dukh Na Ho,
Marey Milney Sey Leker Meri Judai Tak,
Han Yaqeen Karo,
Aisa Ho Sakta Hai Shayed
K Umer Bher K Liye Kafi Ho
Yehi Dukh,
K Mai Ney Safar Kia
Apni Zaat Sey Lekar Teri Zaat Ki Rasayi Tak

Feb 08, 2017 at 12:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Der E Qafas Se Paray Jab Hawa Guzarti Hai
Der e qafas se paray jab hawa guzarti hai
kise khabar k aseeron pe kya guzarti hai
Taluqat kabhi is qadar na tootay they
K teri yaad bhi dil se khafa guzarti hai
Wo ab mila bhi to milta hai is tarah jaisay
Bujhay charagh ko choo kar hawa guzarti hai
Faqeer-e-ishq gaye janglon ki simt magar
Gali se aaj bhi unki sada guzarti hai
Ye ahl-e-ishq ki basti hai ahtiyat se chal
Musibaton ki yahaan inteha guzarti hai

2 Like ·
Feb 06, 2017 at 19:02
Category: sad
Social Wall / Photos
Abdul Qaddoos
Kya Ban Raha Hai
Kya Ban Raha Hai...
·
0 Like ·
Feb 06, 2017 at 10:02
Category: photos
Social Wall / Text
Ashraf Shahid
Un Bewaqoofon Ko Azad Karana Mushkil Hai Jo Apni Zanjeeron Ki Izzat Karte Hain
un bewaqoofon ko azad karana mushkil hai jo apni zanjeeron ki izzat karte hain
·
1 Like ·
Feb 03, 2017 at 02:02
Category: text
Social Wall / Text
Ashraf Shahid
Un Bewaqoofon Ko Azad Karana Mushkil Hai Jo Apni Zanjeeron Ki Izzat Karte Hain
un bewaqoofon ko azad karana mushkil hai jo apni zanjeeron ki izzat karte hain
·
0 Like ·
Feb 02, 2017 at 10:02
Category: text
Sponored Video