Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zinda The To Kisi Ne Na Poucha Haal E Jigr
Zinda the to kisi ne na poucha Haal-E-jigr,
Ab mr gaye hain tu mitti mein dabane aa gaye,
Chorr k dunya ko madhosh howe the hm,
Who na jane kye soch kr hum ko jagane aa gaye,
Na jane kis se pucha hai wafa na pata mera,
Meri qabr per bhi mujhe satane aa gaye,
Hum to andhere mein sone k aadi the,
Or woh bewafa hamari qabr per diye jalane aa gaye,
Zinda the to ek nazar na dekha pyar se mujhe,
Mar gaye hain to ab qabr pr aansu bahane aa gaye

·
1 Like ·
Aug 05, 2016 at 06:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Muhabbaton Mein Kuch Aise Bhi Haal Hotay Hain
Muhabbaton Mein Kuch Aise BHi Haal Hotay Hain
Khafa Hon Jinse Un Hi K Khayal Hotay Hain,
Machaltay Rehtay Hain Zehnon Mein Waswason Ki Tarah
Haseen Log Bhi Jaan K Wabaal Hotay Hain,
Main Dil Ka Zakham Chupaon Teri Tarah Kaise
K Tere Paas Toh Lafzon K Jaal Hotay Hain,
Bas Aik Tu HI Sabab Toh Nahi Udasi Ka
Tarah Tarah K Dilon Ko Malal Hotay Hain,
Siyaah Raat Mein Jaltay Hain Jugnuon Ki Tarah
Dilon K Zakham Bhi Kitnay Kamaal Hotay Hain,

Apr 17, 2016 at 21:04
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Haal Mat Pooch Ishq Karny Ka
Haal Mat Pooch Ishq Karny Ka..
Umar Jeenay Ki, Shoq Marny Ka.
Wo Mohabbat Ki Ahtiyat K Din..
Haaye Mosam Wo Khud Se Darny Ka..
Ab Usy Aayiny Se Nafrat Hai..
Kal Jisy Shoq Tha Sanwarny Ka.
Khud Kushi Ko Bhi Rayigan Na Samjh..
Kaam Ye Bhi Hai Kr Guzrny Ka..
Umar Bhar K Azaab Se Mushkil..
Ek Lamha Sawal Karny Ka..
Khoon Rona Bhi Ek Hunar Thehra..
Baanjh Mosam Mein Rang Bharny Ka..
Toot'ty Dil Ko Shoq Hai MOHSIN,,
Soorat-E-Barg-E-Gul Bikharnay Ka..,
Umar Jeenay Ki, Shoq Marny Ka.
Wo Mohabbat Ki Ahtiyat K Din..
Haaye Mosam Wo Khud Se Darny Ka..
Ab Usy Aayiny Se Nafrat Hai..
Kal Jisy Shoq Tha Sanwarny Ka.
Khud Kushi Ko Bhi Rayigan Na Samjh..
Kaam Ye Bhi Hai Kr Guzrny Ka..
Umar Bhar K Azaab Se Mushkil..
Ek Lamha Sawal Karny Ka..
Khoon Rona Bhi Ek Hunar Thehra..
Baanjh Mosam Mein Rang Bharny Ka..
Toot'ty Dil Ko Shoq Hai MOHSIN,,
Soorat-E-Barg-E-Gul Bikharnay Ka..,
·
1 Like ·
Apr 08, 2016 at 01:04
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Khawatain Khud Ko Pareshan Haal Samaghte Hain
ایک حالیہ سروے میں یہ بات سامنے آئی ہے کہ دنیا بھر میں بسا اوقات خواتین خود کو پریشان حال سمجھتی ہیں اور بھارتی خواتین خود کو زیادہ پریشان حال سمجھتی ہیں۔ گلوبل انفارمیشن تنظیم نے اپنے ایک سروے میں ک...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Feb 09, 2016 at 23:02
Category: health
Poetry / Humorous
Muzammil Shahzad
Na Kapray Hi Badlay Na Haal Acha
Na Kapray Hi Badlay Na Haal Acha Hai
Kis Manhos Ne Kaha Tha K Shadi Ka Khayal Acha Hai
Hum Tu Bachpan Se Ashiq Rahy, Janty Hein
Aik Doshiza Se Kaein Hasenaoun Ka Janjal Acha Hai
Mein Ne Pocha K Koi Dost Koi Boy Friend
Muskurati Hui Boli K Sawal Acha Hai
Bohat Dhonday Bahany Bhi Tu Asa Hai K Kabi Kabi
Meri Amaa Ka Halka Sa Jalal Acha Hai
Lazatein Flirt-O-Wafa Ki Hein Apni Apni
Mustakil Na Husan Acha Na Jamal Acha Hai
Azdawaji Zindagi Apni Ka Muqadar Kya Maloam
Iss Ka Kamal Acha Hai Na Zawal Acha Hai
Shadi Apni Jagha, Par Ye Hakiqat Hai Soni
Tery Andaz-E-Bayan Se Kahein Tera Ehval Acha Hai

2 Like ·
Feb 08, 2016 at 14:02
Category: humorous
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hua Hai Haal Yeh Barish Ki Mehrbhani Se
Hua Hai Haal yeh Barish Ki Mehrbhani Se,
Zameen K Zakham Haray Hogaye Hain pani Se,
Dhalay Hain Ashak Shab-e-Gham Bari Rawani Se,
Abhi Charagh Jalaye Hain Humne Pani Se,
Na Kaam Ayi Meri Jurrat-e-Lab-e-Izhar,
Woh Badgumaan Hi Hua Aur Khushbayani Se,
Main Chahta Hun Tumara Bharam Rahay Qayim,
Nikaal Do Mere Kirdaar Ko Kahani Se,
Mujhe Bhi Chehra Shinasi Ka Agaya Hai Hunar,
Mila Kamaal Yeh Dushman Ki Mehrbhani Se,
Kissi Se Kuch Na Kaha Aur Kehdiya Sab Kuch,
Zubaan Ka Kaam Liya Maine Be-Zubani Se,
Abhi Zameen Se Nahi Rabta Mera "AIJAAZ",
Guzar Raha Hun Abhi Dor-e-Asmaani Se......!!!!

Feb 05, 2016 at 19:02
Category: sad
Poetry / 24
Muzammil Shahzad
Haal Usaka Tere Chehare Pe Likha Lagta Hai
Haal Usaka Tere Chehare Pe Likha Lagta Hai
Vo Chup Chaap Kharra Hai Tera Kyaa Lagta Hai
Yun To Har Cheez Salamat Hai Meri Duniya Mein
Ek Taalluq Hai Jo Toota Hua Lagta Hai
Main Ne Socha Tha Ke Aabaad Hun Ek Shahar Mein Main
Yaa.N To Har Shakhs Ka Andaaz Juda Lagta Hai
Moddaten Beet Gayin Tay Na Hui Manzil-E-Shauq
Ek Aalam Mere Raste Mein Parra Lagta Hai
Ay Mere Jazbaa-E-Daaron Mujh Mein Kashish Hai Itni
Jo Khata Hota Hai Vo Teer Bhi Aa Lagta Hai
Jaane Kaun Si Pasti Men Ghiraa Hun "Shehzad"
Sooraj Bhi Is Qadar Door Hai Ke Diya Lagta Hai

Jul 20, 2015 at 09:07
Category: 24
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Mera Ishq Mein Bura Haal Kar
Meray Ishq Ko Nidhal Kr.
Kbhi Hijar Ko B Wisal Kr,
Meri Ankh Ko Binai Day,
Meray Kalb Ko Ujaal Kr,
Mujy Dars Day Tu FANA Ka.
Mera Ishq Mein Bura Haal Kr,
Mujy Day Saza Koi Sakht Si,
Mujy Iss Jahaan Mein Misal Kr,
Meri Asal Surat Bigar Day,
Kisi Ishq Bhatti Mein Daal Kr,
Mujy B Pila Koi Aisi Shay,
Kbhi Meri Ankhen B Lal Kr,
Wo Jo Us Jahan Mein Halal Hai,
Kabi Is Jahan Mein Halal Kr,
Kbhi Hijar Ko B Wisal Kr,
Meri Ankh Ko Binai Day,
Meray Kalb Ko Ujaal Kr,
Mujy Dars Day Tu FANA Ka.
Mera Ishq Mein Bura Haal Kr,
Mujy Day Saza Koi Sakht Si,
Mujy Iss Jahaan Mein Misal Kr,
Meri Asal Surat Bigar Day,
Kisi Ishq Bhatti Mein Daal Kr,
Mujy B Pila Koi Aisi Shay,
Kbhi Meri Ankhen B Lal Kr,
Wo Jo Us Jahan Mein Halal Hai,
Kabi Is Jahan Mein Halal Kr,
·
1 Like ·
Jan 23, 2015 at 12:01
Category: general
Sms / Dard
Abid Abi
Aakar Tu Dekh Ja Kya Mera Haal Hai
Aakar tu dekh ja kya mera haal hai
Saans chal rahi hai jeena mahaal hai.
Mere dil mein sirf tera hi khyal hai
Teri ek nazar ki baat hai meri zindgi ka sawal hai.
Saans chal rahi hai jeena mahaal hai.
Mere dil mein sirf tera hi khyal hai
Teri ek nazar ki baat hai meri zindgi ka sawal hai.
·
4 Like ·
Jan 08, 2015 at 19:01
Category: dard
Sponored Video