Search
Poetry / Poetry Sms
Abdul Rehman Rehman
Kitni Jaldi Zindagi Guzar Jaati Hai.
Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai.
Pyaas bujtee nahin barsaat chali jaati hai.
Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hain.
Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai.
Pyaas bujtee nahin barsaat chali jaati hai.
Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hain.
Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai.
·
1 Like ·
Nov 10, 2018 at 13:11
Category: poetry-sms
Articles / Featured
Ijunoon
Dumdar Sitaray Ka Hamare Nizaam Shamsi Se Guzar
یہ دمدار ستارہ آٹھ مارچ کو دور بین کے ذریعے دیکھا گیا ہے لیکن اس کے بعد کے دنوں میں یہ اتنا زیادہ چمکدار ہو جائے گا کہ یہ بغیر دوربین کے بھی دیکھا جا سکے گا۔
زمین کے جنوبی نصف کرے کے لوگ پہلے ہی یہ ن...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jun 27, 2018 at 09:06
Category: featured
Advertisement
Poetry / Sad
Ak Motiwala
Habs E Duniya Sey Guzar Jatay Hain.
Habs-e-Duniya Sey Guzar Jatay Hain...
Aesa Kartay Hain K Mar Jatay Hain,,,,
Kaisay Hotay Hain Bicharrnay Walay...?
Hum Ye Sochien Bhi To Dar Jatay Hain,,,,,
Dil Jo Tootay Bhi To Sar-e-Mehfil Bhi....
Baal Bey_Waja Bikhar Jatay Hain,,,,,,
Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhien....
Charrtay Darya To Uttar Jatay Hain,,,,
Dhoop Ka Roop Rachaanay Walay....
Shaam Ko Aur Nikhar Jatay Hain,,,,
Tum Kahan Ja''o Gay Socho Mohsin......
Log Thak Haar K Ghar Jatay Hain,,,,,

0 Like ·
Apr 15, 2018 at 01:04
Category: sad
Poetry / General
Shahid Siddiqui
Hum Apne Ikhtiyaar Ki Had Se Guzar Gaye
Hum Apne Ikhtiyaar Ki Had Se Guzar Gaye,
Chaha Hamein Pyaar Ki Had Se Guzar Gaye,
Likhi Gayi Naseeb Mein Kuch Aisi Hijratein,
Har Ajnabi Dayar Ki Had Se Guzar Gaye,
Jagi Hai Apne Dil Mein Gulabon Ki Aarzu,
Jab Mausam-E-Bahar Ki Had Se Guzar Gaye,
Ab Zakhm Haaye Dil Ka Kahan Tak Shumar Ho,
Ye Zakhm To Shumar Ki Had Se Guzar Gaye,
Teri Nigah-E-Mast Se Hum Itni Pee Gaye,
Itni Ke Har Khumaar Ki Had Se Guzar Gaye,
Ehsaas Mar Chuka Hai Khushi Hai Na Gam Koi,
Jaise Ke Jeet Haar Ki Had Se Guzar Gaye,
Hasrat Se Mauj-E-Gam Bhi Hamein Dekhti Rahi,
Hum Behr-E-Kinaar Ki Had Se Guzar Gaye,
Aati Hai Saaf Saaf Nazar Gam Ki Manzilein,
Ye Qaafle Ghubaar Ki Had Se Guzar Gaye,
Wo Log Roz-E-Qayamat Se Kya Darein,
Jo Tere Intezaar Ki Had Se Guzar Gaye...

Feb 07, 2018 at 03:02
Category: general
Poetry / Sad
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Wo Udaas Dhoop samaitt Kr
Kahin Wadiyon Mein Chal Dia
Ay Mere Dil Tu Na De Sada
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Ye Safar Kitna Taveel Hai
Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai
Kahan Lot Kr Koi Ayega?
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Wo Wafaien Thi ya Jafaien Thi
Ye Na Soch Kis Ki Khataien Thi
Wo Tera Hai UsKo Gale Laga
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Ye Duniya aik Fareb Hai
Yahan Koi Kisi Ka ApNa Nahi
Ye ujaar Mehlon Ki Sun Sada
Jo Guzar Gia So Guzar Gia...!
Kahin Wadiyon Mein Chal Dia
Ay Mere Dil Tu Na De Sada
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Ye Safar Kitna Taveel Hai
Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai
Kahan Lot Kr Koi Ayega?
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Wo Wafaien Thi ya Jafaien Thi
Ye Na Soch Kis Ki Khataien Thi
Wo Tera Hai UsKo Gale Laga
Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Ye Duniya aik Fareb Hai
Yahan Koi Kisi Ka ApNa Nahi
Ye ujaar Mehlon Ki Sun Sada
Jo Guzar Gia So Guzar Gia...!
·
1 Like ·
Dec 30, 2017 at 22:12
Category: sad
Poetry / Sad
Phir Usi Raah Guzar Par Shayad
Phir Usi Raah Guzar Par Shayad
Hum Kabhi Mil SakeiN Magar, Shayad
Jinke Hum Muntazar Rahe Unko
Mil gaye Aur Humsafar Shayad
Jaan Pahchaan Se Bhi Kya Hoga
Phir Bhi Ae Dost, Ghaur Kar Shayad
Ajnabaiyat ki Dhund Chhaat Jaye
Chamak Uthay Teri Nazar Shayad
Zindagi Bhar Lahu Rulaaye ge
Yaad-e-Yaaran-e-Bekhabar Shayad
Jo Bhi BichhRe Wo Kab Mile haiN FARAZ
Phir Bhi Tu Intezaar kar Shayad..!!!
Hum Kabhi Mil SakeiN Magar, Shayad
Jinke Hum Muntazar Rahe Unko
Mil gaye Aur Humsafar Shayad
Jaan Pahchaan Se Bhi Kya Hoga
Phir Bhi Ae Dost, Ghaur Kar Shayad
Ajnabaiyat ki Dhund Chhaat Jaye
Chamak Uthay Teri Nazar Shayad
Zindagi Bhar Lahu Rulaaye ge
Yaad-e-Yaaran-e-Bekhabar Shayad
Jo Bhi BichhRe Wo Kab Mile haiN FARAZ
Phir Bhi Tu Intezaar kar Shayad..!!!
·
1 Like ·
Dec 29, 2017 at 14:12
Category: sad
Poetry / Sad
Jab Teri Yaad Ka Tufaan Guzar Jaey Ga
jab teri yaad ka tufaan guzar jaey ga
dil kisi aur samandar main uter jaey ga
dasht se door sahi saya-e-diwaar to hai
hum na ruk ske tu koi aur thehar jaey ga
daagh rehne keliye hote hain reh jaain ge
waqt ka kaam guzarna he guzar jaey ga
apne halaat se main sulah to kar lon lekin
mujh main ruposh jo ek shaks hai mar jaey ga
dopehar main wo karri dhoop paregi ke
jiske cheray pe jo dagh he utar jaey ga...!

2 Like ·
Dec 03, 2017 at 13:12
Category: sad
Poetry / Love
Ab Khof Nahi Mjhe Ksi Raah Guzar Se
ab khof nahi mjhe ksi raah guzar se
mai door nikal aye hoon pathar k nagar se
wo mjh se mile ga ksi bhi morr per zaroor
ye baat mjhe maloom hai aghaz-e-safar se
jesi bhi hoon achi ya buri apne liye hoon
mai khud ko nahi dekhti auron ki nazar se...!

Nov 25, 2017 at 17:11
Category: love
Poetry / 24
Lahu Lahu Hai Har Ek Sang E Rah Guzar Jana
Lahu lahu hai har ek sang e rah guzar Jana
Hua na tha u mere dard ka safar Jana
Ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon mein raha
Talaash phir bhi kiya tujhko umr bhar Jana
Ke sheher bhar ne to chehre ka karb dekhaa hai
Jo dil pe guzri hai uski kise khabar Jana
Bichad ke tujhse to lamhe bhi maah o saal huye
Ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jana...!

Oct 22, 2017 at 03:10
Category: 24
Poetry / Sad
Yunhi Ranjishon Main Guzar Gaye
Yunhi ranjishon main guzar gaye
Kabhi wo khafa
Kabhi main khafa
Chahton k morr per
Kabhi wo ruka
Kabhi main ruka
Wohi rastey wohi manzilen
Na usy khabar
Na mujhe pata
Apni apni ana main gum
Kabhi wo juda
Kabhi main juda...!
Kabhi wo khafa
Kabhi main khafa
Chahton k morr per
Kabhi wo ruka
Kabhi main ruka
Wohi rastey wohi manzilen
Na usy khabar
Na mujhe pata
Apni apni ana main gum
Kabhi wo juda
Kabhi main juda...!
·
1 Like ·
Aug 18, 2017 at 08:08
Category: sad
Sponored Video